![]() |
Ishq mera daastaan-e-shamma o parvaana tha Vasl ko ye jeet samjha, dil bhi ik deewaana tha Wo nazar k paas tha to ye haqeeqat-na-shanaas, Hijr se na-aashna dil, be-khud o mastaana tha Har luTeira morid-e-ilzaam Thehraaya gaya Jab k khud saaqi yahaaN ghaarat-gar-e-mai-khaana tha Dil dayaar-e-yaar hai to dil gul o gulzaar hai Dil-nasheeN jab tu na tha ye dil na tha veeraana tha Dard ki shiddat bayaaN to main kiye deta magar Haasil-e-qaamoos koi lafz gham-paimaa __ na tha Ishq mera sar-ba-sehra, dil mera paa-ba-rasan Dasht tha itraaf mein, dil taalib-e-kaashaana tha Jism jaise be-nafas ho yaa dil-e-be-ishq ho Baat to hai eik hi k mai na thi, paimaana tha |
Wehshat mein kiyuN cHoR raha hai paagal ! ghar Ishq mein to khud ho jaata hai jangal, ghar Kab hai waisi ThanDak is mein par phir bhi Yaad dila deta hai tayra aaNchal ghar Phir kehta hooN pagli ! rasta takna mat Nikal paRein to kab aate hain baadal ghar ! Kya pardeis mein itni zyaada raunaq hai ! Kya ho jaata hai aankhoN se ojhal ghar ! LafzoN mein bhi maayoosi ki kaalak hai Dil jalta hai, seena ban gaya kaajal--ghar Tum na ho to ik dunia ka saamaaN heich Tum ho ge to hoga yaar mukammal ghar YooN na ho k shaamil ho jaye bhooloN mein Shaam hui jaati hai ******* ! chal chal ghar |
Karam be-daad jaisa ho bhale sayyaad jaisa ho Bandhe hain zulf se ham ab sitam, eejaad, jaisa ho Wafa k dam pe ham ko mom karne ka wohi soche Wo jis ka hausla kucH aahan o faulaad jaisa ho HaseeN khwaaboN ki jannat to bana li tu ne aai aashiq ! KahiN anjaam par tera bhi na Shaddaad jaisa ho ! Jo aa jaaye to ham ko cHoR kar na phir kabhi jaaye Khudaaya ! kaash k dilbar bhi apni yaad jaisa ho Kise parvaa hai apni zindagi ki, aaj ki, kal ki ! Mohabbat ho gaee yaaro ! ab is k baad jaisa ho Aai koh-e-zeest tujh ko kaaTna phir kaisa mushkil hai ! Agar ho haath mein teisha, jigar Farhaad jaisa ho Nawaazein pyaar ya talvaar, sar hai aap k dar par ! Ab is k baad jaanaaN aap ka irshaad jaisa ho ! Wohi ******** teri mehfil k logoN mein, sanam ! ho ga Wohi, jis ki haNsi ka rang bhi faryaad jaisa ho |
Dil they magar suraagh-e-haraarat koi na tha Baatein bohat theeN, harf-e-sadaaqat koi na tha Chaarah-gari k fan ki numaaish-gari to thi Par zakhm yaaN baraaye jaraahat koi na tha Likkha sach ik ne shaah k baare mein aur phir Poore sheher mein haath salaamat koi na tha Umraa se bair jin ko raha, doghle they sab Un mein kabhi khilaaf-e-amaarat koi na tha Ik jaaN ba-juz, anaaj ki qeemat na thi koi Ik zar ba-juz, mayaar-e-adaalat koi na tha Muta'assireen-e-ishq they, baiThe they khud mein gum Aur kaam ham ko hasb-e-rivaayat koi na tha ******* ! jo mar rahe hain to apni hi maut ham Ham they hamaari wajh-e-halaakat, koi na tha |
Sachi adaalatoN ki kahaani bhi jhooT hai Sab qaatiloN ki aaNkh ka paani bhi jhooT hai YaaroN ki do-rukhi ka abas gham ho jaan par! Hai waqt wo k dushman-e-jaani bhi jhooT hai Afraat-e-zar ki kohna kahaani jo khaam thi Phir jins ki ye taaza giraani bhi jhooT hai Ye daagh eik lafz hai, marham bhi eik lafz Chaara-gari bhi, zakhm-e-nehaani bhi jhooT hai Harza-saraai hain ye mohabbat k mo'jizey Ulfat naee bhi makr, puraani bhi jhooT hai Hai maut maut, is mein koi dil-kashi nahi Yaaro! nigaar-khaana-e-Faani* bhi jhooT hai Is barf-zaar-e-dil mein ugaate ho she'r tum! ******* tumhaari sho'la-bayaani bhi jhooT hai |
great sharing .. Naughty..
|
Thanks Humaila Jeee |
nice sharing
keep it up |
Thanks |
Hua mushkil ye dard-e-dil cHupaana So ab cHoRo mujhe tum aazmaana ! Jo tum bhoole se dekho aasmaaN ko Sitaare bhool jaayeN jagmagaana Hai itna farq kaaghaz aur dil mein Hai aasaaN ik pe likkhe ko miTaana Zara Allaah se ab lau laga lein..... Hua hai ishq-e-jananaaN puraana HueeN kab mom deewaarein k in ko Gaya be-kaar dard-e-dil sunaana Shanaasa hona hoga aandhiyoN se Charaagh-e-aas dil mein mat jalaana ! Jinhein is dil ki gehraai se chaaho To bas laazim hai un pe door jaan |
All times are GMT +5. The time now is 01:33 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.