![]() |
Re: ek thread sub k naam :(
lo jee abb kis ka siggy avvii dhek liyaa i dnt get app log itna sochtay he qu hooo every one have there own choice abb aur kia kahoun :peace:
|
Re: ek thread sub k naam :(
Agree wid Khushi
Sabki Apni choice hai aap apne liya Aca karo Dn worry abt others :) |
Re: ek thread sub k naam :(
.......
|
Re: ek thread sub k naam :(
Quote:
Soch Achi Hay Tareeka-e-Kaar Thora Sa Badal Lo :) .. Ap Ab Bahes Mat Chairna Kisi Say Bhi..Kion Kay Apki Bahes K Jawab Main Koi Apni Ghalti Ko Defend Karayga Ya Apko Point out Karayga To Wo Gunehgaar Hoga :) .. Intezar KarO Aur Infradi Tor Par Samjhao, Allah Apko Ajar Day K Ap Aisi Soch Rakhti Hain |
Re: ek thread sub k naam :(
Aur Eyesha*! Ji True.. Choice Sab Ki Apni Hay.. Humara Maqsad Impose Ya Implement Karna Nahi.. Aisa To Janwaro K Sath Kiya Jata Hay, .. Insan Ko Aqal Ata Ki Hay Allah Nay, Usay Guidance Di Jati Hay.. Phir Chahay Wo Us Rastay Ko Apna Lay Chahay Wo Na Apnaye Us Par.. Ap Par Koi Guilt Baki Nai Rahayga :) .. |
Re: ek thread sub k naam :(
Walikum Assalam
Thread sab ke naam dekha to maine bhi yahan visit kya......! May be mere liye bhi kuch ho.......! pahli bat to ye hai ke aap ne makhsoos pakistan ko salam kya hai....anyways koi bat nahi......jo de uska bhi bhala.....! jo na de uska bhi bhala.......! haan kahne ka maqsad ye hai ke maine kisi bhi forum main koi sinature nahi lagayi hai.......aur avatar main mera nick hai....! waise yahan kisi bhi Topic per bahes lagi rahti hai.....shayed ye MeraForum ki khasiyat hai.....:) |
Re: ek thread sub k naam :(
janab ager app mind na karain to jo sachi baat hoti hy wo sub k samny hi ki jati hy ...otherwise us ka koe faida nai ager such kaisi ko pata na chaly tu u know us sach ko bhi chupany k liay jhoot bulna perta hy ..is liay zarori hy jo baat ho khul k ker dyni chahiay ..:))
|
Re: ek thread sub k naam :(
APP ki baat theek hy bt ager kisi ki islah kerni ho tu banda usy piyar sy samjha sakta hy na ...so dats why she do ..:)
|
Re: ek thread sub k naam :(
:knockout::knockout:
her insan ka amel us ka apna hota hai mger insan ko ALLAH ne ashraf ul makhloqaat bhe is liye banya hai k dosere insan ki islaah ker sakay phir aap log bhe wo kerain jo ap ko sahe lgta hai mei bhe wo he keron g jo muje sahe lgta hai :) larai aur dushmani meri kisi to hai nhe na :) baki batain main aker kerti hon :P:0039: |
Re: ek thread sub k naam :(
bilkul sahi kaha Ayesha
aik baat zaroor kahoo gi k insaan ko doosre ki islah karni chahiye, ye bhi hamara farz hai aik muslim hone k nate, hum se sirf hamare amaal k bare mein nahi poocha jaye ga, balkay ye bhi poocha jaye ga k jab burai ho rahi thi to hum ne kyon nahi roki Hadees-e-Nabvi hai Burai hote dekho to usse hath se roko, hath se rokne ki taqat nahi to zuban se roko or agar zuban se bhi nahi rok skte to dil mein bura jano, aur ye emaan ki sabse kamzor halat hai han ye zaroor kahoon gi ayesha k sakhat lafzon se guraiz kia jaye, kyon k pyar se kahi gai baat zyda asar rakhti hai, lekin bohat acha lagta hai jab bhi koi buri baat dekhti hoon to usse zaroor point out karti ho, or ye bhi theek kaha k jab burai sar-e-aaam hai to islah bhi sar-e-aaam honi chahiye |
All times are GMT +5. The time now is 05:12 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.