![]() |
Re: Aj Ki Anokhi Generation..
Its very nice topic to discuss on, To be honest wo bachey jo aesa kartay hai wo bhool jatey hai ke agey ja kar wo bhi baap ya maa baneinge aur its a philosophy of life jis ko mei nie jitna samjha hie ke waqt ghoom phir kar ata hie dobara sirf faces change hotay hie tou aun ke samney bhi yahi cheez agey aye gi .
dosri waja yeh muhabbat mei gark hojaney sei hota hie larki aur larkey ki, but yeh kesi muhabbat hei ke apney maa baap ko dukh dei kar muhabbat pana ? mei nahi samjhna ke koiye bhi muhabbat aesi hai ( ALLAH aur Hazrat Muhammad P.B.U.H) ke muhabbat ke ilawa ke aus ke liye maa baap ki khushio ki qurbani di jaye ?. Ager maa baap nahi samjtey ap ki baat try to convince them, wait till they agree. Bajaye ais ke kay aesi harqat ki jaye jis sei wo Zindagi bhar dukhi rahey. Maa Baap dukhi hongei tou ap kesay khush reh saktey ho dunya mei bhi aur akhrat mei bhi ? So think 10 Times before committing such things . |
Re: Aj Ki Anokhi Generation..
Quote:
aur rulna ka b :p khir mujhe ap ki batein bohat achi lagi hain aur is topic pe mai kuch nahi kehna chati..:rose5wd: |
Re: Aj Ki Anokhi Generation..
Quote:
bhot khhoob or me Alumdullih Pakistani ho Or My Proudness.. Or Ha mera topic start kerny ka maqsud ksii ko heart kerna nhi hy but realities sy aware kerwana tha ke hm aj kyu apny parents ko dhuk deny ka mojub bunty ja rhe hy or ye mene apny pass nhi lhekha me kud apni ankho sy 2 sy 3 wakiyaat dhek chukki ho or ye saari nojawan nasul ki beyrha raavi ko zhahir kerti hy bahi mojhe acha laag ap ke views sy lekin apny fane ya phir kabhi life me kisi ko disop.. dhekho to plz osy samjhna zaroor ke galt way sy hm kabhi munzil nhi pasukty Do Good Have Good wala mhuwera suna hy na bro.. anyway thanks for nice views.. |
Re: Aj Ki Anokhi Generation..
Quote:
bilkol shi kha ap ny bro ziayada lerke lerki ki muhabut me ye sb hota hy pata nhi kasi muhabut hy aj ke nojawan nasul ki or otertii bhi sir sy bari juldi hy ye sara kia dhurha hamara apna hy kyu ke hm islam sy door Quran sy dooor or kud rishto sy door hoty ja rhe waja ki asirf itnni mugrab ki tuqleed kerna chatty apny virsy ko jhor ke humhe aj mugrib me charm nazer ata hy kyu kia hmare dil islam ki roshni sy khali ho chuky hy aj shiyed jabhi to hm bageer sochy samjhy galt galt kerty ja rhe hy or bakhber hoty howy galt kerty ja rhe hy veery bad Generation |
Re: Aj Ki Anokhi Generation..
Nice thread
|
Re: Aj Ki Anokhi Generation..
sukriya but thread pe kuch nhi kaho gi sisoo
|
Re: Aj Ki Anokhi Generation..
1st of all hum me se jo b mard hazrat yahan mojood hain to un my se kisi ny ab tk khud kushi ni ki...
aur uska saboot yeh he k wo majood hain.... :10: aur agr khud kushi ni ki to mtlb k abhi tk aisa irada b ni he.. hope so... but.. yeh sochny ki bat baron ki he bachon ki ni.. Q k aisi posision me wo kuch ni sochty.. to baron ko sochna chahy k un ki tarbiat me kea kami baishi he...? blky i think yeh tarbiat me baishi ka nateeja he na k kami ka... baish baha piyar,lad,bacha smjh k zid poori krna,bat munh se niklti ni aur poori ho jati he.. sirf is liy k ley k deny waly aford kr sakty hain... bachy ko kabhi feel hi ni hony dety k kuch cheezain us k liy ni, ya mumkin ni , ya hasool mumkin ni... parents boht slowly un k zahn me feed kr dety hain k JO HUKUM MERY AAQA.. wo bs waldain ki tarbiat ko follow krty huy yeh bat zahn me bitha lety hain k wo jo mangy usy mil jaiy.. Ab aisy waldain bhugtain... Q k jb itni dheel k bad wo rasi ko aik dum se kheenchny ki koshish krty hain to Rasi Toot jati he... aap logon ko lgy ga k shaid me sara blame waldain py dal raha hoon, to me sahi kr raha hoon , Q k bachy me yeh shidat aik dum se ni aati , waldain hi piyar k naam py us me built krty hain.. un ladly bachon ki fitrt hi aisi ho jati he.. so waldain ko chahy k agr 10 saal tk bachon ki prwrish angraizon jesi krni hoti he to 11th year me usy paindo bnany ki koshish mt kea krain...yah apny hath se bacha mar dain.. Q k koi b khud kushi ka aik dum faisla ni krta,kitna larta hoga wo andr hi andr , lgta hoga k piyar khatm ho gea us k liy.. so parents aap shoro se hi midle way py chalain , miyana ravi ka rasta ikhtiyar krain.. aap humsaion ko apni imart dikhany k liy her cheez bachy ki jholi me na dalain warna aap ki aapni goud khali ho sakti he.. zindga kuch pa k seekhny ka naam ni , kuch na milna b jeena seekhata he. yeh sirf aik raiy he meri, mujhy pta he k bachon ko smjhany ka koi faida ni,ghusa me aql ,aur smjh boht door bhag jati he.. buniyad ko bs theek krna chahy, taky bachon me yeh khatrnak ruhjan paida hi na ho. |
Re: Aj Ki Anokhi Generation..
nice thread bahna ...
but mujhey is topic per baat kerney ka koi experience nahi thanks ata hoon again topic per .. break key baad .. :p |
Re: Aj Ki Anokhi Generation..
Hmmm Bilkul aajkal aisa ho raha hai or ye Walidain ke he kautahi hai k wo bachay ko pehlay itna laad iaar day daitay hain k wo bigar jaata hai phir baad main pachtawa hoota hai or rahe aaj kal k naujawanon ke baat wo ye hai k koi kisi ke nae sunta sub apnay aap main magan hai .....
|
Re: Aj Ki Anokhi Generation..
nice topic :):eyes-brows:
|
All times are GMT +5. The time now is 12:59 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.