MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Miscellaneous/Mix Poetry (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=129)
-   -   ~!~!~! Ghalib !~!~!~ (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=69385)

CaReLeSs 09-19-2011 02:04 AM

Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
 
پھر کھلا ہے درِ عدالتِ ناز
گرم بازارِ فوجداری ہے

ہو رہا ہے جہان میں اندھیر
زلف کی پھر سرشتہ داری ہے

پھر دیا پارۂ جگر نے سوال
ایک فریاد و آہ و زاری ہے

پھر ہوئے ہیں گواہِ عشق طلب
اشک باری کا حکم جاری ہے

دل و مژگاں کا جو مقدمہ تھا
آج پھر اس کی روبکاری ہے

بے خودی بے سبب نہیں غالب
کچھ تو ہے جس کی پردہ داری ہے

CaReLeSs 09-19-2011 02:06 AM

Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
 
یہ نہ تھی ہماری قسمت کہ وصالِ یار ہوتاا
اگر اور جیتے رہتے ، یہی انتظار ہوتا

ترے وعدے پر جئے ہم تو یہ جان جھوٹ جانا
کہ خوشی سے مر نہ جاتے، اگر اعتبار ہوتا

تری نازکی سے جانا کہ بندھا تھا عہد بودا
کبھی تو نہ توڑ سکتا اگر استوار ہوتا

کوئی میرے دل سے پوچھے ترے تیرِ نیم کش کو
یہ خلش کہاں سے ہوتی، جو جگر کے پار ہوتا

یہ کہاں کی دوستی ہے کہ بنے ہیں دوست نا صح
کوئی چارہ ساز ہوتا، کوئی غم گسار ہوتا

رگِ سنگ سے ٹپکتا وہ لہو کہ پھر نہ تھمتا
جسے غم سمجھ رہے ہو، یہ اگر شرار ہوتا

غم اگر چہ جاں گسل ہے پہ کہاں بچیں کہ دل ہے
غمِ عشق گر نہ ہوتا، غم روزگار ہوتا

کہوں کس سے میں کہ کیا ہے؟شب غم بری بلا ہے
مجھے کیا برا تھا مرنا، اگر ایک بار ہوتا

ہوئے مر کے ہم جو رسوا، ہوئے کیوں نہ غرق دریا؟
نہ کبھی جنازہ اٹھتا نہ کہیں مزار ہوتا

اسے کون دیکھ سکتا، کہ یگانہ ہے وہ یکتا
جو دوئی کی بو بھی ہوتی تو کہیں دو چار ہوتا

یہ مسائل تصّوف یہ ترا بیان غالب
تجھے ہم ولی سمجھتے ،جو نہ بادہ خوار ہوتا

AYAZ 09-19-2011 02:08 AM

Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
 
wow sub ghalib ki ghazlain ek thread main yeh complete hojaey gi tou i will make it sticky really good one

CaReLeSs 09-19-2011 02:11 AM

Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
 
Quote:

Originally Posted by No One (Post 1215582)
wAh careless Kia BAt hAi apKi

Thanks No One,,
K33p Smiling :)

CaReLeSs 09-19-2011 02:12 AM

Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
 
Quote:

Originally Posted by AYAZ (Post 1215631)
wow sub ghalib ki ghazlain ek thread main yeh complete hojaey gi tou i will make it sticky really good one

Thanks Ayaz .
K33p Smiling

CaReLeSs 09-19-2011 02:18 AM

Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
 
Aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
Taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheeN hai.

Dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
Nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai.

Giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko
Haay ! ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai.

Hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir
KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai.

Dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee
GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai.

Qatl ka mere kiya hai 'ahad to baare
Waae ! akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai.

Toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib'
Teree qasam ka kuchch 'eitbaar naheeN hai......!!

CaReLeSs 09-19-2011 02:37 AM

Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
 
Zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai.
Ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai.

Nai muzda-e-wisaal na nazzaara-e-jamaal
Muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai.

Mai ne kiya hai, husn-e-KHud_aara ko be_hijaab
'Ai shauq, yaaN ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai.

Gauhar ko ikd-e-gardan-e-KHubaaN meiN dekhna
Kya auj par sitaara-e-gauhar_farosh hai.

Deedaar, waada, hausla, saaqee, nigaah-e-mast
Bazm-e-KHayaal maikada-e-be_KHarosh hai.
'
Ei taaza waaridan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
Zinhaar gar tumhaiN hawas-e-na-o-nosh hai.

Dekho mujhe jo deeda-e-ibrat_nigaah ho
Meree suno jo gosh-e-naseehat_niyosh hai.

Saaqee jalwa dushman-e-imaan-o-aagahi
Mutrib ba_naGHma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai.

Ya shab ko dekhte the; ki har gosha-e-bisaat
Daamaan-e-baaGHbaan-o-kaf-e-gul_farosh hai.

Lutf-e-KHiraam-e-saaqee-o-zauq-e-sada-e-chang
Yeh jannat-e-nigaah woh firdaus-e-gosh hai.

Ya subh dam jo dekhiye aakar to bazm meiN
Nai woh suroor-o-soz na josh-o-KHarosh hai.

DaaGH-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee hooee
Ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee KHamosh hai.

Aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN
'GHalib', sareer-e-KHaama nawa-e-sarosh hai.

CaReLeSs 09-19-2011 02:44 AM

Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
 
Zikr us pareewash kaa, aur phir bayaaN apnaa
Ban gayaa raqeeb aaKHir thaa jo raazdaaN apnaa.

Main wo kyoN bahut peete bazm-e-ghair meN yarab
Aaj hi hua manzoor un ko imtihaaN apna.

Manzar ik bulandee par aur ham banaa sakte
'Arsh se idhar hotaa kaash ke makaaN apnaa.

De woh jis qadar zillat hum haNsee meN taleNge
Baarey Aashna nikla unka paasbaN apna.

Dard-e-dil likhooN kab tak? jaaooN unko dikhlaa dooN
UNgliyaaN figaar apni KHaamaa_KHooN chakaaN apnaa.

Ghiste ghiste mit jaata aap ne ????? badla
NaNg-e-sajdaH se mere sang-e-aastaN apna.

Ta kare na ghammazee, kar liya hai dushman ko
Dost kee shikayat meN hum ne hum-zabaaN apna.

Ham kahaaN ke daanaa the? kis hunar meiN yaktaa the?
Be_sabab huaa 'GHalib' dushman aasmaaN apnaa.

CaReLeSs 09-19-2011 02:51 AM

Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
 
Ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rehte yahee intezaar hota..

Tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
Ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota..

Teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehed_booda
Kabhee too na toD sakta agar oostuwaar hota..

Koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
Ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota..

Ye kahaaN ki ****** hai ke bane haiN dost naaseh
Koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota..

Rag-e-sang se Tapakta wo lahoo ki fir na thamta
Jise GHam samajh rahe ho, ye agar sharaar hota..

GHam agarche jaaN_gulis hai, pe kahaaN bachaiN ke dil hai
GHam-e-ishq gar na hota, GHam-e-rozgaar hota..

KahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
Mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota..

Hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya
Na kabhee janaaza uThata, na kaheeN mazaar hota..

Use; kauN dekh sakta ki yagaana hai wo yaktaa
Jo dooee ki boo bhee hotee to kaheeN do chaar hota..

Ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaaN 'GHalib' !
Tujhe ham walee samajhate, jo na baada_KHwaar hota.....!!

CaReLeSs 09-19-2011 02:55 AM

Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
 
Ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
Kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN..

Woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
Kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN..

Nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
Ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?

Tere jawaahir-e-tarf-e-kulah ko kya dekhaiN ?
Ham auj-e-taal'a-e-laal-o-guhar ko dekhte haiN.....!!


All times are GMT +5. The time now is 03:00 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.