MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Mohabbat shayari (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=123)
-   -   -:||:- Main Mohabbat Or Tum -:||:- (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=62347)

Owi 07-09-2011 06:17 PM

Re: -:||:- Main Mohabbat Or Tum -:||:-
 
Main aap sab hi logon ka bay-had mashkoor hoon k aap nay meri is thread ko bhi apnay khoobsoorat comments diye
Thankx Alot All Of You
Specially ayaz k aap nay is thread ko bhi is qaabil samjha or is ko bhi sticky kiya
Main koshish karoon ga sooli bro k aap ki chaahat ka paas rakhtay huway aap ki ummedon ko barr laaoon or aap ko naa-ummeed na honay doon
please keep visiting guys
Thankx :)

celebrated 07-10-2011 10:20 PM

Re: -:||:- Main Mohabbat Or Tum -:||:-
 
wonderful poetry thnx for shairing

Aina 07-11-2011 12:43 AM

Re: -:||:- Main Mohabbat Or Tum -:||:-
 
great
thanx for sharing :rainbow:

Owi 07-12-2011 06:34 PM

Re: -:||:- Main Mohabbat Or Tum -:||:-
 
Thankx All

hunny 07-14-2011 02:48 AM

Re: -:||:- Main Mohabbat Or Tum -:||:-
 

Dhond raha hai woh mujhay bhool janey ka tareqa farhan...
Sochta hoon khafa hoker uski mushkil asan kerdonn ...........

Owi 07-14-2011 06:24 PM

Re: -:||:- Main Mohabbat Or Tum -:||:-
 
Reply kernay k liye aap ka bay-had shukriya hunny
Mager aap nay shaayad kaheen or kiya jaanay waala reply yahaan ker diya hai

Owi 07-15-2011 07:03 PM

-:||:- Kamaal Ho Tum Kamaal Jaana -:||:-
 
-:||:- Kamaal Ho Tum Kamaal Jaana -:||:-




Tumhaari zulfein
Tumhaari palkein
Tumhaara chehra
Tumhaari aankhein
Tumhaaray shaanay
Suraahi gerdan
Kalaaiyon mein khanaktay kangan
Hinaai haathon ki ungliyon ki haseen poorein
K jin mein sandal mehak rahi hai
Ye narm saanson ki gud-gudaahat
Qadam uthaao to dherkanein saath chorti hein
Badan ka her zaawiya qayaamat
Tum ho sir say paa tak haseen jaana
Nahi tumhaari misaal jaana
Kamaal ho tum kamaal jaana.

Owi 07-15-2011 07:06 PM

-:||:- Saat Rungon Say Tera Aks Taraasha Main Nay -:||:-
 
-:||:- Saat Rungon Say Tera Aks Taraasha Main Nay -:||:-




Saat rungon say tera aks taraasha main nay
Kitnay jazbon say her ik naqsh taraasha main nay
Sab sitaaray teri palkon pay sajaa ker jaana
Phool raston mein mohabbat k bicha ker jaana
Chaand kirnon say tera chehra sajaaya main nay
Teray aanchal ko bahaaron say banaaya main nay
Her sahar ko teray daaman mein utaara main nay
Teray aangan ko musarrat say sanwaara main nay
Sab ghataayein teri zulfon mein sajaa ker jaana
Or khushboo teri saanson mein basaa ker jaana
Sab say dil-kash tujhay duniya mein bana ker jaana
May-kaday teri nigaahon mein chupa ker jaana
Teray paykar ko mohabbat say taraasha main nay
Apni aankhon say tera husun nikhaara main nay
Tujh ko dherkan ki terhan dil mein basaa ker jaana
Lamha lamha tujhay jeevan mein utaara main nay
Saari sochon ko tera aks diya hai jaana
Sab khayaalon ko tera naqsh diya hai jaana
Dil-e-masnad pay tujhay ooncha bithaa ker jaana
Apni rug rug mein tera ishq basa ker jaana
Main nay her lamha teray wasl ki chaahat ki hai
Main nay ki hai to faqat tum say mohabbat ki hai.

Owi 07-15-2011 07:09 PM

-:||:- Tera Chehra Kuch Aisay Sabz Manzer Lay K Aata Hai -:||:-
 
-:||:- Tera Chehra Kuch Aisay Sabz Manzer Lay K Aata Hai -:||:-




Tera chehra kuch aisay sabz manzer lay k aata hai
K rungon say banay jugnoo
Kinaara-der-kinaara roshni phelaanay lagtay hein
Khizaan k zerd patton say naye manzer ubhertay hein
Hawa khaamosh ho ker sochti hai ….. kon si rutt hai
Samhaj paaye to ithlaaye
Na samjhay tab bhi ye gaaye
Hamaaray dil k dhundlay aainay yun ujlay hotay hein
K ik ik poor say ye roshni chan chan k girti hai
Zameen-o-aasmaan ki gerdishon ko rok layti hai
Ye kaisa silsila hai tornay or jornay waala
K jis mein apni merzi k mutaabiq chal nahi saktay
Rug-o-pay say nikalti roshni mein jall nahi saktay
Hawaaon ki kashish pay lou diye ki or berhti hai
Mohabbat kheench layti hai ye maqnatees hoti hai.

Owi 07-15-2011 07:11 PM

-:||:- Mohabbat Is Terhan Bhejo -:||:-
 
-:||:- Mohabbat Is Terhan Bhejo -:||:-




Mohabbat is terhan bhejo
K jaisay phool per tittli uterti hai
Hawa mein dolti, par tolti tittli
Larazti kapkapaati pankhariyon ko piyaar kerti hai
To her patti nikherti hai

Mohabbat is terhan bhejo
K jaisay chaar-soo khushboo bikherti hai
Mohabbat is terhan bhejo
K jaisay khuwaab aata hai
Jo aata hai to derwaazay pay aahat tak nahi hoti
Bohat sar-shaar lamhay ki madhur chup mein
Kisi halkoray layti aankh ki khaatir
Kisi baytaab say milnay koi baytaab aata hai

Mohabbat is terhan bhejo
K jaisay jheel mein mehtaab aata hai.


All times are GMT +5. The time now is 09:48 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.