MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Members Poetry Collections (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=130)
-   -   Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=61907)

M A H i 07-04-2011 06:59 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Falak Deta Hai Jinko Aish Unko Gham Bhi Hote Hain
Jahaan Bajte Hain Naq’qare Wahaan Maatam Bhi Hote Hain



Gile Shiqwee Kahaan Tak Honge Aadhi Raat To Guzri
Pareshaan Tum Bhi Hote Ho Pareshaan Ham Bhi Hote Hain



Hamaare Aansuon Ki Aabdaari Aur Hi Kuch Hai
Ki Yun Hone Ko Raushan Gauhar-E-Shabnam Bhi Hote Hain



Hamaare Saath Hi Paida Hua Hai Ishq Are Naaseh
Judaayi Kis Tarah Se Ho Judaa Ho Ham Bhi Hote Hain



Tabiyat Ki Kazi Hargiz Mitaaye Se Nahin Mit’ti
Kabhi Seedhe Tumhaare Gesu-E-Pur-Kham Bhi Hote Hain

Owi 07-04-2011 07:15 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Marvelous Poetry
Um Speechless
Keep Shairing Mahi (y)

Shaam 07-04-2011 07:54 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
wo jin ko dunya sarahti rahi mera husn e intikhab kah kar
meri Zaat ke tukrey they Shaam tum tou jantey hona ??? : )

M A H i 07-04-2011 10:35 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Nice one Shaam
Rah ro-e-shehr-e-fana hon teray kis kaam ka hun
ik bujhta sa dia hun teray kis kaam ka hun

To rafaqat k Liay kisi aur ko chun lay
Main to khud aabla pa hun teray kis kaam ka hun

Tujh ko darkaar hain phoolon k mehaktay saaye
Main to sehraa main khara hun teray kis kaam ka hun

Ay parastaar-e-gul-e-tar tera rasta taktay taktay
Shaakh pe sookh gaya hun teray kis kaam ka hun

Tu bhee auron ki tarha mujh say kinara kar lay
Saari duniya say bura hun teray kis kaam ka hun?

Noor ul huda 07-04-2011 10:52 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Quote:

Originally Posted by M A H i (Post 1101272)
Falak Deta Hai Jinko Aish Unko Gham Bhi Hote Hain
Jahaan Bajte Hain Naq’qare Wahaan Maatam Bhi Hote Hain



Gile Shiqwee Kahaan Tak Honge Aadhi Raat To Guzri
Pareshaan Tum Bhi Hote Ho Pareshaan Ham Bhi Hote Hain



Hamaare Aansuon Ki Aabdaari Aur Hi Kuch Hai
Ki Yun Hone Ko Raushan Gauhar-E-Shabnam Bhi Hote Hain



Hamaare Saath Hi Paida Hua Hai Ishq Are Naaseh
Judaayi Kis Tarah Se Ho Judaa Ho Ham Bhi Hote Hain



Tabiyat Ki Kazi Hargiz Mitaaye Se Nahin Mit’ti
Kabhi Seedhe Tumhaare Gesu-E-Pur-Kham Bhi Hote Hain

Very Very Nice Special 2nd and Last Stanza! aur appka apna shair bhi acha hay Jaan-kani wala :) :2191un:

Shaam 07-05-2011 03:28 AM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
: )
yeh zeher kaha sei utar rahey hain


hmmmmm


mei kuch kahoo ?

Owi 07-05-2011 03:09 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Beautiful Collection
Thankx For Shairing Mahi
Aap K Nick Ki Terhan Aap Ka Intaykhaab Bhi Bay-haD Khoobsoorat Hai
Keep Shairing Mahi

anabia 07-05-2011 06:55 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Nyc sharing

M A H i 07-06-2011 08:27 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Many thanks for visiting abv Members ^

Woh baat kar jise phailaa ke mein ghazal keh loon
Sunaa Woh shair jo main ne abhii kaha'a nahe?


Keep visitng.......

M A H i 07-06-2011 08:31 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Woh na dur hai, na qaareeb hai
Ye jo hijar hai, ye naseeb hai...

Jo wisaal tha woh to khwaab tha
Ye khyaal kitna ajeeb hai...

Wohi ansuon mein duaaon mein
Wohi dukh sukh mein kareeb hai...

Jo main sochta hun keh sakun
Mera harf harf rakeeb hai...

Ye falak zameen ko samait le
Mera dil bhi kitna gareeb hai...


All times are GMT +5. The time now is 06:14 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.