![]() |
Re: Share...'' DECEMBER POETRIES''
Yeh kesa Alwidai geet gaaya december ne
jatey jatey nargissi mausam ko rulaya khain pe lalazar banya gulab motia chambeli se tulip ki larioon se goond ke pyar ke rangoon se sainch ke parioon si khawishoon ke jhoormat main hamrieen laboon pe duaaon ke alwidi kalmaat tum hamesh raho mere saat marmareen hatehlioon pe naii umeedoon ke roshan chiragh sadioon se chand ke devi kaat rahi hai charqha narm narm galoon se prem ki dhank se dhunak rahi hai hur ane wali subha ko Rub ne dia hai sub ko ye hi pegham ajj jati december ki sham insaanyat ke naam mohabbat azaadi shanti amaan hai sub ki jaan nafratoon ko kar do tammam choti se hasti hai ye pyar se basti hai hamesha se hai hamesha rahingain Main or Nelaa Asmman |
Re: Share...'' DECEMBER POETRIES''
'' Thitharti Hui Shab-e-Syah Woh Bhi Taweel'tar Mohsin Hijer k Maro'un Per Qayamat Hai DECEMBER '' |
Re: Share...'' DECEMBER POETRIES''
Yaadein saath aati hein December ki Hawao'n key aur un yaado'n k sang sang hotein Meray dil ki Udasiyaa'n, Wo Shaamein key Tumhaari Qurbatoo'n mein jab meray gaaloo'n pey chhaati thein Tumharey Piyaar ki Hiddat, Tumhara Wariftagi say dekhna Tumharey jazbaat ki Shiddat, Zard Lamhon ki Tanhai mein mujhey sab Yaad aata hai, wo dheeray sey meri nam palkoo'n ko Chhuu ker kisi Shoukh Sergoshi say mujhey pal mein Hansa dena mujhey ab her pal Rulaata hai, December Dard deta hai . . . Magar phir bhi naa jaaney Kiu mujhey itna Lubhaata hai, Sard Khamosh mausam mein ab Lamhey Thehar sey jaatey hein aur Phisalta jaata hai Yaadoo'n ka zarya, munjamid Sochein meri hojaati hein pighalta jaata hey bas naino'n ka Darya, aur ye Sab .. mujhey Terpaata hai, Thitherti raatoo'n mein ghantoo'n main Tanha Chaand kay saath sochey jaati hoon her pal Tumhein hee, Qaid hoon Tum mein yun tu na jaaney kab sey main aur mera Faraar bhi shayed Tumhi ho, per December jab bhi aata hai Zakham phir sey lagaata hai main dekho'n taerta Baadal tu Tumhaara Aks banaata hai jo her suu Khaamosh hai Andhaera Tumhaari Baazgasht sunaata hai, December Dard barhaata hai Magar phir bhi Lubhaata he |
Re: Share...'' DECEMBER POETRIES''
وہ آخری چند دن دسمبر کے ہر برس ہی گراں گزرتے ہیں خواہشوں کے نگار خانے سے کیسے کیسے گُماں گزرتے ہیں رفتگاں کے بکھرے سایوں کی ایک محفل سی دل میں سجتی ہے فون کی ڈائری کے صفحوں سے کتنے نمبر پکارتے ہیں مجھے جن سے مربوط بے نوا گھنٹی اب فقط میرے دل میں بجتی ہے کس قدر پیارے پیارے ناموں پر رینگتی بدنُما لکیریں سی میری آنکھوں میں پھیل جاتی ہیں دوریاں دائرے بناتی ہیں نام جو کٹ گئے ہیں اُن کے حرف ایسے کاغذ پہ پھیل جاتے ہیں حادثے کے مقام پر جیسے خون کے سوکھے نشانوں پر چاک سے لائینیں لگاتے ہیں پھر دسمبر کے آخری دن ہیں ہر برس کی طرح سے اب کے بھی ڈائری ایک سوال کرتی ہے کیا خبر اس برس کے آخر تک میرے ان بے چراغ صفحوں سے کتنے ہی نام کٹ گئے ہونگے کتنے نمبر بکھر کے رستوں میں گردِ ماضی سے اٹ گئے ہونگے خاک کی ڈھیریوں کے دامن میں کتنے طوفان سِمٹ گئے ہونگے ہر دسمبر میں سوچتا ہوں میں اک دن اس طرح بھی ہونا ہے رنگ کو روشنی میں کھونا ہے اپنے اپنے گھروں میں رکھی ہوئی ڈائری دوست دیکھتے ہونگے اُن کی آنکھوں کے خواب دنوں میں ایک صحرا سا پھیلتا ہوگا اور کچھ بے نِشاں صفحوں سے نام میرا بھی کٹ گیا ہوگا۔ ×( امجد اسلام امجد )×× *: وہ آخری چند دن دسمبر ک |
Re: Share...'' DECEMBER POETRIES''
December kay guzarte hi, barss aik oor maazi ki jafaun main doob jaye ga, Use Kehna!! December kay guzernay say zara pehle, Mohabbat ki kahani ko koi takmeel dey jana, Usey Kehna!! December ka Maheena jaisay guzrey ga, Umeedain Doob jayein gi, Wo Sapnay toot jayein gay, Usey Kehna!!! December kay guzarnay say zara pehley Mohabbat ko koi tabeer dey jaye, Usey Kehna!! Mukadar ko hamaray doob janay say bacha lena, Usey Kehna!! Decemebr Ja raha hai!!! orr ab aik aur saal guzar gaya........ . __________________ |
Re: Share...'' DECEMBER POETRIES''
Bohat KhoObsuRat Thread Mahi .. :) Or bOhat Achi ParticipatiOn Sab Ki .. Jate Jate Decemeber Men Hum B Apna Kuch Thora Sa Hissa Daal Len .. :) Raiza Raiza Kiya Tha Guzishta December Ne Mera WajOOd .. Ab K Phir Gaya Yeh Nibha Kar , Maazi Ki Riwayat ..! |
Re: Share...'' DECEMBER POETRIES''
Thanks,
Keep visiting . . . |
Re: Share...'' DECEMBER POETRIES''
Badaltay mausam per apni Umedein na rakho Din December k bare mukhtasir huwa karte hain |
Re: Share...'' DECEMBER POETRIES''
Bus ik meri baat nahi thi Sab ka dard December tha Barf k shehar mein rehne wala Ik ik fard December tha Pichlay saal k akhir mein bhi Hairat mein hum Teeno the Ik main tha, Ik mera ghum tha Ik be-dard December tha |
Re: Share...'' DECEMBER POETRIES''
Kuch lamhay December k Hum ne yunh guzare hain Mausam uski yadon k Tasveer mein utare hain Kapkapate honton se, Jagmagati dharkan se Hum ne apne Khaliq se Bus dua ye mangi hai Ab k har sawan mein Jab bhi badal utrein to Bus yahi tamana hai Nafraton ki barish mein Dushmano ki sazish mein Bus aisi guzarish mein Zindagi ko jeenay ka Ikhtiar mil jaye Aey mere Mola ! Sabko apna pyar mil jaye |
All times are GMT +5. The time now is 06:05 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.