Nida-H
03-18-2009, 02:14 PM
Muhabbat Jin Se Hoti Hay
Unhein Khoney Ka Dar Har Waqt Daman Geer Rehta Hay
Yaqeen Ki Akhrii Manzil Pe Aa Kar b
Koi Khadsha,Koi Shak,Koi Andesha Bohat BeyChain Rakhta Hay

Kahin Yeh Faseeh k Lamhay Badal Jayein Na Furqat Mein
Kahin Yeh Qurb Ki Gharriyan Judayii Mein Na Dhall Jayein
Kahin Aisa Na Ho k Koi Uss Ko BadGumaan Kar Dey
Kahin Aisa Na Ho k Jis Ko Hum Ne Hasil-e-Umar- e-Rawan Samjha
Jhatak Kar Hath,Monh Pher Kar Sab Kuch Raigan Kar Dey
Kahin Aisa Na Ho Vo Mehruban Aankhein Badal Jaye
Kahin Aisa Na Ho k Yeh Garam Joshiii Sard Parr Jaye
Tarap k Milney Ki Rawish Yakh Basta Ho Jayee
Ada-e-Dil Barana Bey Rukhiii Ka Roop Dhaar Lein
Aur Meetha Dard Ban Jayein

Kabhi Mehfil Mein Sab k Samney
Vo Agar Nazrein Chura Ley To Dil Par Chott Lagti Hay
Aansoun Ka Meenh Barasta hay
Kabhi Masroofiyat Mein,Mehviyat Mein Phone Ki Ghanti Ka Vo Notice Na Ley
Aur Rabtay Ka Silsila Moqoof Ho Jaye
Dharrak Uthta Hay Dil
Kya Janiyee Kya Ho Gaya Uss Ko
Tawajjah Mein Kami Kiun Aa Gayii
k Uss Ki Janib Aik Sannata Sa Chhaya Hay
Jo Apna Iss Qadar Apna Tha Aakhir Kiun Paraya Hay
Muhabbat Jin Se Hoti Hay
Unhein Khonay Ka Dar Har Waqt Daman Geer Rehta Hay
Daman Geer Rehta Hay...!!!