Miss Habib
04-15-2013, 12:19 PM
Kabhi lehrein tera chehra jo bananey lag jayein
Meri ankhein mujhe darya mein bahaney lag jayein
Kabhi ek lamha fursat jo mayyasar aajaye
Meri sochein mujhe sooli per charhaney lag jayein
Intazar us ka na itna bhi ziada kerna !
Kia khabar barf pighlne mein zamaney lag jayein
Aankh utha ker bhi na dekhein tujhe din mein hum log
Shab ko kaghaz pe tera chehra bananey lag jayein
Woh humein bhoolna chahein tou bhula dein pal mein
Hum unhein bhoolna chahein tou zamaney lag jayein
Nahin jalta tou utarta nahin qarz-e-zulmat
Jalna chahoon tou loag mujhe bujhaney lag jayein
Ghar mein bethoun to andhere mujhe nochein naseer
Baher aaoon tou ujaale mujhe khaney lag jayein