ROSE
02-12-2013, 01:37 PM
Tou ne daikha hai kabhi ik nazar shaam ke baad
Kitne chup chaap se lagtay hain shajar shaam ke baad
Itne chup chaap ke rastay bhi rahain ge la-ilm
Chorr jyen ge kisi roz nagar shaam ke baad
Main ne aisay hi gunah teri judaee main kiye
Jaise toofan main koi chorr de gher shaam ke baad
Shaam se pehle wo mast apni uranon main raha
Jis ke haathon main thay tootay huwe per shaam ke baad
Raat beeti to gay aablay aur phir socha
Kon tha baa-is-e aaghaz-e-safer shaam ke baad
Tou hai sooraj tujhe maaloum kahan raat ka dukh
Tou kisi roz meray gher main uter shaam ke baad
Laut aye na kisi roz wo awara mizaj
Khol rakhay hain isi aas pe der shaam ke baad
( Farhat Abbas Shah)