ROSE
02-12-2013, 01:36 PM
Gulon mein rang bhare, baad-e-naubahaar chale
Chale bhi aao ki gulshan ka karobaar chale
Qaffas udaas hai yaro, sabaa se kuch to kaho
Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikr-e-yaar chale
Kabhi to subah tere kunj-e-lab se ho aaghaz
Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushkabaar chale
Bara hai dard ka rishta, ye dil gharib sahi
Tumhare naam pe aayenge gham_gusaar chale
Jo ham pe guzri so guzari magar shab-e hijraan
Hamare ashk teri aaqabat sanwaar chale
Huzoor-e-yaar hui daftar-e-junun ki talab
Girah mein leke garebaan kaa taar taar chale
Maqaam 'Faiz' koi raah mein jacha hi nahin
Jo kuu-e-yaar se nikle to suu-e-daar chale