umair8005
03-15-2009, 06:38 PM
kitna sahal jaana hai
khushboo'on ko choo laina
baarishoon k mausam mai
shaam ka har ik manzar
ghar mai qaid kar laina
roshni sitaaroon ki
muthiyoon mai bhar laina
jugnuoon ki baaton say
phool jaisay aangan mai
roshni si kar laina
uski yaad ka chehra
khwaabnaak aankhoon ki
jheel k gulaaboon par
dair tak saja rakhna
kitna sahal jaana hai
ay nazar ki khush fehmi
isstarha nahi hota
titliyaan pakarnay ko
door jana parta hai
jheel k kinaaroon par
doob jana parta hai
jugnuoon say apna hi
ghar jalana parta hai..
khushboo'on ko choo laina
baarishoon k mausam mai
shaam ka har ik manzar
ghar mai qaid kar laina
roshni sitaaroon ki
muthiyoon mai bhar laina
jugnuoon ki baaton say
phool jaisay aangan mai
roshni si kar laina
uski yaad ka chehra
khwaabnaak aankhoon ki
jheel k gulaaboon par
dair tak saja rakhna
kitna sahal jaana hai
ay nazar ki khush fehmi
isstarha nahi hota
titliyaan pakarnay ko
door jana parta hai
jheel k kinaaroon par
doob jana parta hai
jugnuoon say apna hi
ghar jalana parta hai..