ROSE
02-09-2013, 12:52 PM
iss darja ishq mojib e ruswai bann gaya
mai aap apne ghar ka tamashai bann gaya
dair o haram ki raah se dil batch gaya magar
teri gali k morh pe saudai bann gaya
bazm e wafa mai aap se ik pall ka saamna
yaad aa gaya to ahd e shanasai bann gaya
be-ssakhta bikhar gayee jalvo'n ki kaainaat
aaina toot k teri anghrhai bann gaya
daikhi jo raqs karti hui mauj e zindagi
mera khayal waqt ki shehnai bann gaya