PDA

View Full Version : ab tak mai uskay naam par ruswa huwa na tha


ROSE
02-09-2013, 12:46 PM
ab tak mai uskay naam par ruswa huwa na tha
shehr e hunar mai koi mujhay janta na tha

aawargi e shauq ne nindain bhi chheen lee'n
warna mai sari raat kabhi jagta na tha

nazuk mizaj tha wo mohabbat k naam par
lekin wo apni haar kabhi maanta na tha

uski mohabbato'n ne mujhay hausla diya
mainay bhi umr bhar usay dhoka diya na tha

uski talab mai naql e makani qubool ki
mujh ko zameen o zarr ka koi mas'ala na tha

wo ham safar huwa to ujalay bikhar gaye
shab zaad rasto'n ka mujhay tajruba na tha

heraniya'n ssamait lee'n mainay shab e visal
wo iss qadar haseen hai mujh ko pata na tha

NaDaN hAsEEnA
02-09-2013, 01:23 PM
Nice. . .

ROSE
02-09-2013, 01:23 PM
thanks

Prince7871
02-09-2013, 02:50 PM
nice sharing

ROSE
02-11-2013, 08:25 PM
thanks

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.