Hussain
03-15-2009, 04:05 PM
Ajeeb shakhs tha har aik se pyar mangta tha.
Jahaan naa dard ho aisaa diyaar mangta tha.
jo maangta tha wo dena meri bisaat naa thi.
woh meri rooh ka mujh se qaraar mangta tha.
ose gharaz thi guloon se na bulbuloo se zara.
wo fasl-e-ranj main Fasl-e-bahar mangta tha.
osse tallab thi kooyi toott kar osse chaahey.
woh haath jorrh kar ulffat hazaar mangta tha.
mere khuloos pe shaied tha shak ose shehzad.
wafaa ki raah main woh Aitibbaar mangta tha.