~*Gillanii
03-15-2009, 01:31 AM
Kal hamesha ki tarha ussne kaha Hai phone per
Mai bohat masroof hu mujh ko bohat say kaam hain
Es liye Tum aao milne, main to Roz Aa sakta nahi
Her rawayet Tor ker is baar maine keh diya
Tum jo ho masroof to mai bhi bohat masroof hun
Tum jo ho mash-hur to main bhi bohat ma-roof hun
Tum agar Ghamgeen ho main bhi bohat Ranjoor hun
Tum thakan se chur tho main bhi thakan se chur hun
Jan-e-Man hai waqt mera bhi bohat hi qeemti
Kuch purane doston ne milne aana hai abhi
Mai bhi ab farigh nahi mujhko bhi Lakhon kaam hain
Warna kehne ko to sab lamhe tumhare naam hain
Meri ankhein bhi bohat bojhaal hai sona hai mujhe
Raat-jagne ke baad ab neendon may khona hai mujhe
main lahoo apni anaon ka baha sakthi nahi
Tum nahi aaty tho milne mai bhi aa sakthi nahi
Uss ko ye keh ker main ne raceiver rakh diya
Aur phir apni ana ke pawon pe sar rakh diya