momal ali
03-15-2009, 12:42 AM
TooTne lagte hain ham to,bikharne lagte hain
"Kabhi kabhi jo tujhe yaad karne lagte hain"
In ki hiddat se dil-o-jaan na pigHal jaayein
Apne jazbaat ki shiddat se Darne lagte hain
Dekh kar ham ko jo haq-goi par ho aamaada
To pesh-e-aaina bhi ham mukarne lagte hain
Koi jo pooch le ham se udaasiyoN ka sabab
Tuhmatein iss pe,kabhi uss pe dharne lagte hain
Ye kaise log mere ird-gird baste hain
Hon jis k saamne,dam uss ka bharne lagte hain
Ham apni khwahishoN k be-karaaN samandar mein
Doob jaate hain magar phir ubharne lagte hain
Itne hassaas k aankhoN se juda hone par
Ham ko maaloom na tha,khwab marne lagte hain!