ROSE
01-29-2013, 03:36 PM
Fiza Ka Habas Shagoofoon ko baas kaya dai ga ?
badan dareeda kissi ko libaas kaya dai ga ?
yeah dil keh qehat e ana say ghareeb thehra hai
mairi zubaan ko zar e altaamas kaya dai ga ?
jo day saka na paharoon ko baraf ke chadar
woh mairi banjh zameen ko kapaas kaya dai ga ?
ye shehar, youn bhi tu dehashat bhara nagar hai, yahaan
diloon ka shoor hawa ko haraas kaya dai ga ?
woh zakhaam dai kay mujhay hosla bhi daita hai
aab iss say barh kay tabiyaat shanaas kaya day ga ?
jo apni zaat say bahir aa na saka aab tuk
woh pathroon ko mataa e hawas kaya day ga ?
woh mairay ashk bujhay ga kis tarhaan mohsin
samandaroon ko woh sehra ke payas kaya dai ga ?