ROSE
01-29-2013, 03:35 PM
Aab yeah sochoon tu bhanwar zehan mein par jaatay hain
Kaisay chehray hain jo miltay hee bichar jaatay hain
kiyon tairay dard ko dain tohmat e viraani e dil ?
zalzaloon mein tu bharay shehar ujaar jaatay hain
mousam e zard mein ik dil ko bachaoon kaisay ?
aisee rut mein tu ghantay pair bhi jhar jaatay hain
aab koye kaya mairay qadmoon kay nishaan dhoonday ga
taiz andhi mein tu khaimaay bhi ukhar jaatay hain
shughal e arbaab e hunar poochtay kaya hoo keh ye loug
pathroon mein bhi kabhi aainay jar jaatay hain
sooch ka aaina dhundla hoo tu phir waqat kay saath
chand chehroon kay khud o khaal bigar jaatay hain
shidat e gham mein bhi zinda hoon tu hairat kaisee ?
kuch diyeah tund hawaoon say bhi lar jaatay hain
woh bhi kaya loug hain mohsin jo wafa ke khatir!
khud tarasheeda asooloon pay bhi aar jaatay hain