Log in

View Full Version : Jab tak mai uskay naam par ruswa huwa na tha


ROSE
01-29-2013, 02:26 PM
Jab tak mai uskay naam par ruswa huwa na tha
shehr e hunar mai koi mujhay janta na tha

aawargi e shauq ne nindain bhi chheen lee'n
warna mai sari raat kabhi jagta na tha

nazuk mizaj tha wo mohabbat k naam par
lekin wo apni haar kabhi maanta na tha

uski mohabbato'n ne mujhay hausla diya
mainay bhi umr bhar usay dhoka diya na tha

uski talab mai naql e makani qubool ki
mujh ko zameen o zarr ka koi mas'ala na tha

wo ham safar huwa to ujalay bikhar gaye
shab zaad rasto'n ka mujhay tajruba na tha

heraniya'n ssamait lee'n mainay shab e visal
wo iss qadar haseen hai mujh ko pata na tha

SHAYAN
01-29-2013, 05:56 PM
V Nicee

Hazel
01-29-2013, 06:40 PM
very nice sis

NaDaN hAsEEnA
01-29-2013, 09:09 PM
Nice.. .

(‘“*JiĢäR*”’)
01-30-2013, 08:53 AM
Very Nicd...

ROSE
02-01-2013, 04:08 PM
thanksssssssssss

ROSE
02-01-2013, 04:10 PM
thanksssssssssssssssss

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.