Hussain
03-14-2009, 11:08 PM
gham ke har aik rang se mujh ko shanasa kar gaia.
woh mera Muhsin mujhe patthar se heera kar gaia.
Goorta tha main khalawoon main tu saji thi mefilein.
Meri Aankhoon ka japaknaa mujh ko tanha kar gaia.
har taraf urrhney laga taareek saayoo ka ghubaar.
Shaam ka Jhoonka chamakta sheher meila kar gaia.
Chaat li kirnoo Ney Meri Jissem ki Saari Meetthaas.
Main samandar tha wo soraj muj ko sehra kar gaia.
aik lamhey main bharey baazaar soney hoo gaye..
Aik Chehraa sab Puraane Zakham taazaa kar gaia.
main ussi ke Rabtey main jiss tarah malboos tha...
Yoo wo Daman Keench kar mo bar-hana kar gaia.
Raat bhar ham Roshni ki Aas main jaagey Adeem...
Awar din Aaya tu Andhera Aankhoo main gar gaia..