PDA

View Full Version : MUHAMMAD (Salllaho Alaehe Waalehi Wasallam) Ki Shan-e-Mubarik


Z_Zealous
01-26-2013, 01:08 AM
:bismillah:
:salam:

MUHAMMAD (Salllaho Alaehe Waalehi Wasallam) Ki Shan-e-Mubarik

12 Rabi-ul-Awwal Ko is Dunya me Us Hasti ki Amad hui k agar wo Hasti Is Dunya me Tashreef Na Lati to Na ye Asman Hota, Na Ye Zameen hot, na ye charind parind hote na Zindagi aur mout hoti.. na mashrik hota na maghrib hota, na shumal na Junoob hota... agar ye Hasti is Dunya me tashreef na lati to na me hota na aap hote na is kainat ki koi cheez hoti...

ye wohi hasti he jis ko koi Misal nhi milti...
ye wohi hasti he jis ne Deen-e-Islam ko Zinda kia...
ye wo hasti he jo do9 JAhan k sardaar hen...
ye wohi hasti he jo do9 alam k tamam Khazaon k Malik hen...
ye wohi hasti he k jis ne in ka Deedar kia wo Direct JAnant me Dakhil hoga...
ye wohi hasti he jis k Ishare se Chand 2 tukre hota he ...
ye wohi hasti he jis ko Pathar,Darakht,Zameen,Asman,Soraj Chand Sitare, aur Kainat ki har Cheez In par Darod Parhti he...
ye wohi hasti he jis se Nabion ki amad ka Silsila shoro hua..
ye wohi hasti he jis se par Nabion ki amad ka Silsila khatam hua..
ye wohi hasti he jo apni Ummat k Lie Rote hue peda hui aur Rote Rote is Jahan se parda farma gai...
Ye wohi hasti he jo jis se chand b sharmata he...
ye wohi hasti he k is hasti se ziada koi HAseen nhi he...
ye wohi hasti he jis per Quran Utarag Gaya is lie ye Hasti Sahib-e-Quran hen.
ye wohi hasti he jin k pas Jannat ki chabi he...
ye wohi hasti he k in se pehlay koi Nabi koi farishta koi ummat Janant me Dakhil nhi ho sakegi...
ye wohi hasti he jo Tamaam Nabion k Rasolon k Sardaar Hen...
ye wohi Hasti he jis pe ALLAH ki Rehmat Tamaam hui...
yehi wo Hasti he jis se Mout k Waqt Rooh Qabz karne se pehlay Ijazat li gai... warna kisi Nabi ko ye Maqam hasil nhi ...
yehi wo Hasti he jo Qayamat k din har Shaks ki Shifaat in hi k hathon se hogi...
yehi wo Hasti hen jin ko ALLAH ne ye maqam dia k Qayamat tak apna nam is Hasti k NAme k sath Jor Dia... ab Qayamat tak har shaks is hasti ka nam ALLAH k nam k sath leta rahega...
yehi wo Hasti he jo apne Ummat k lie aesi Roi he k koi nabi na roya...
yehi wo Hasti he jo apne Ummat k lie aesi tarpi he k koi nabi na tarpa...
Yehi wo Hasti he jis k lie ye Dunya sajai gai he...
Yehi wo Hasti he jin k lie is kainat ki har ek cheez banai gai he ...
yehi wo hasti he jis se ALLAH ne Ishq Kia he... Piyar nhi IshQ kia he ... warna kisi nabi ko ya Maqam hasil nhi he ...
Is Azeem Hasti ka Nam Mubarik Hai..

http://text.glitter-graphics.net/disco/m.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/u.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/h.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/a.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/m.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/m.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/a.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/d.gifhttp://dl3.glitter-graphics.net/empty.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/s.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/a.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/l.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/l.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/l.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/a.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/h.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/o.gifhttp://dl3.glitter-graphics.net/empty.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/a.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/l.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/a.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/e.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/h.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/e.gifhttp://dl3.glitter-graphics.net/empty.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/w.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/a.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/a.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/l.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/e.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/h.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/i.gifhttp://dl3.glitter-graphics.net/empty.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/w.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/a.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/s.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/a.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/l.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/l.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/a.gifhttp://text.glitter-graphics.net/disco/m.gif


Talib-e-Dua: Zohaib Ur Rehman

(‘“*JiĢäR*”’)
01-26-2013, 12:14 PM
Jazak allah Good Sharing

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.