MASOOM GIRL
01-21-2013, 03:59 PM
Koi to aisi shaam ho, eik pal ko tujhe bhula sakun,
Mudduat ke baad khood ko, apne aap se mila sakun,
Doston kaza ki dua karo, wo din to aaye naseeb mein,
Wo ba'araha bulaayaa kare, aur main na aa sakun ,
Apne rahbari ki chhaon mein, kamzarf na banaa, kahin,
Kal tu jo haath chhod de, eik kadam na main badaa sakun,
Asmaa'n hi gar adoo hai, eik mauka too to ataa karey,
Haatho'n mein tere naam ki, eik lakir main bana sakun,
Dunia ke rasm-o-riwaaz se, mujhe door le ke chal, jahaan,
Apne maazi ke har nisha'an ko, tere pyar se mitaa sakun,
Natwaani par meri , barson jaha'n hanstaa rahaa,
Tere ishq ne yuN buland kiya, ab chaand ko main pa sakun,
Tere hizra ka nahi haif, mujhe aik karam se navaaz de,
Kabhi mujhe jo neend aaye, khwaab mein tujhe bulaa sakun,
Mera yakeen kar mere humsafar, ye ishq mera guroor hai,
Tu jo haath de mere haath mein, aasma'n ko main jhuka sakun,
Mere khaloos mein gar iffat hai, to wo din bhi aaye ke tujhe,
Ho raushani ki justjoo, main apna ghar jala'a sakun,
Ye ishq ki inteha'an nahi , hai aur kya mere hamnasheen,
Tu dua mein hai kise aur ki, main ashq bhi na bahaa sakun...!