Hussain
03-13-2009, 02:25 PM
Yeh Loog jiss se ab innkaar karna chahtey hain.
wo Guftago dar-o-deewaar karna chahtey hain.
Hamey khabbar hay keh guzrega aik sail-e-fana.
so ham tumhe bhi khabardar karna chahtey hain.
awar iss se pehle ke saabit ho jurm-e-khamoshi.
ham apni Raaye kaa Izzhaar karna chahtey hain.
Yahaan tak Aa tu gaye hain teri muhabbat main.
Ab Awar kitnaa gunehgaar karnaa chahtey hain.
jahaan kahani main qaatil bari howa hay wahan.
ham aik gawaah kaa kirdaar karna chahtey hain.
woh ham hay joo teri awaaz sunn ke tere hoye.
woh OR hay k jo Deedaar karna chahtey hain.