PDA

View Full Version : Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai !!!!


FAJAAN
09-02-2008, 01:06 PM
Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ?
Mujhay tu khair taira intazaaar karna hai

Hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh
Kabhi yeah jashan sar rah'guzaar karna hai

woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha ke ussay sharamsaar karna hai

Misaal e shaakh e barhana khizan ke rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bay barg o baar karna hai

tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai

Chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain
Kissi tarhaan tu humain rooz'gaar karna hai

Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khuda khabar yeah koi zid keh shouq hai Mohsin
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna h

umair8005
09-02-2008, 01:41 PM
nyc,......

DinG DunG
09-02-2008, 01:43 PM
nyc.............

FAJAAN
09-02-2008, 02:26 PM
thx umair

FAJAAN
09-02-2008, 02:26 PM
thx ding dong

! HEER
09-02-2008, 02:31 PM
wow nice farjaan varry nice

FAJAAN
09-02-2008, 02:55 PM
thx heer

ShahTaJ
09-02-2008, 11:32 PM
nice

DinG DunG
09-03-2008, 12:25 PM
nyc....:dance3:

DinG DunG
09-03-2008, 12:27 PM
nycccccccccccccccccccccccccc:type:

MeOw*
09-03-2008, 02:48 PM
superb

FAJAAN
09-03-2008, 04:43 PM
thx h.z

FAJAAN
09-03-2008, 04:45 PM
ding dong bas kar do yaar
ab tu mujhay es poetry per shak ho raha hai

FarazAli
09-28-2010, 08:14 PM
nice sharing

DiE
10-05-2010, 04:42 AM
v nice

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.