DI@
09-02-2008, 11:43 AM
woh mujhe chor jana chahta hai
magar koi khubsurat bahana chahta hai
maloom hai humain woh roag dega aik din
zindagi main nakam-e-ishq ka aik naya fasana chahta hai
raabta bhi nahi rakhta taluq torta bhi nahi
woh is chaal se mere zabt ko aazmana chahta hai
khelne ka hogaya shauqeen woh khelonon se
mujhe bhi khelona jaan kar apne dil ko behlana chahta hai
yeh dil bhi kitna pagal hai karta he nahi yaqeen
ab bhi us ke sang ka khuwab suhana chahta hai
dekhte hain humare baghair khush rahega woh kase?
mujhe chor kar ab kisi aur ko apnana chahta hai
kar lo yaqeen woh aik bewafa hai
de ker phool,kanton se zakham dilana chahta hai