Awara Badal
11-22-2012, 08:12 PM
Mere Aesaab Mein Ik Jo Fariyad Thi, Woh Teri Yaad Thi
Aur Wehm-o-gumaan Jo Abaad Thi, Woh Teri Yaad Thi
Mujh Pe Taari Raha Us Ka Ehsaas Baad-e-sabaa Ki Tarah
Aesa Lagta Hai Jese Chaman-zaad Thi, Woh Teri Yaad Thi
Ab Ke Yoon Bhi Hua Ke Safar Ne Mujhe Raasta Na Diya
Faasilon Se, Hadhon Se Jo Azaad Thi, Woh Teri Yaad Thi
Mere Ehbaab Ne Bhi Kabhi Na Kiya, Woh Mera Zikr Tha
Tere Ashaaq Ke Lab Pe Fariyaad Thi, Woh Teri Yaad Thi
Marhalaa Koi Tou Aaye Tajdeed Ka, Phir Teri Deed Ka
Shaam Mehboos Thi, Soch Barbaad Thi, Woh Teri Yaad Thi
Kuch Bhi Karne Ko Gar Thaan Lain To Humain Bi Kuch Parwah Nahin
Mere Fikr-o-amal Ko Jo Seyaad Thi, Woh Teri Yaad Thi
Apne Baarey Kabi Sochte Taaj Hum Bhi Majboor They
Hum Ne Majnoon Kiya Aik Iftaad Thi, Woh Teri Yaad