RiyazA
11-18-2012, 08:05 PM
Kya koi jaanta hai ke Muharram ke maheene main kya karna ya na karna chaahiye? Agar kisi ne tehqeeq bhee na kiya ho to har Muslmaan itna jaanta hai ke aur Mubarak maheena ke naam se bhee pata hona chaahiye ke is maheena main un cheezon ke elaawa jo Islam main hamesha haraam qaraar diya gaya hai, jang, ladaii, qatl o qitaal, khoon kharaba bhee haraam hai. Ab aate hain is baat ko dekhne ke TTP ke dimaagh main kya chalta hai. Do din pehla Gujraat ke Tanda elaaqe main TTP se mutaleq ek baap bete ko giraftaar kiya. In ke ghar se 5 khudush jackets aur bahut se dhamaka khez mawad aur aatashin asliha baraamad hui. Allah ka fazal hai ke yeh log giraftaar hue aur begunaah log jo in wehshion ke nishaana the, bach gaye magar, Kya koi mujhe bata sakta hai ke Islam main aisi harakat ka jawaaz kya hai?