Hussain
03-10-2009, 01:47 PM
Musaafir to bichartey hein,rafaaqat kab badalti hai
mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hai
tumhi ko chahtey hein,tumhi say pyaar kartey hein
yehi barsoun say adat hai aur adat kab badalti hai
tumhein jo yaad rakhaa hai yahi aapni ibaadat hai
joo pathar pay likhi jaayie, ibaarat kab badalti hai
kali ka phool ban-naa aur bikhar jana muqadar hai
yehi qanoon -e- fitrat hai aur fitrat kab badalti hai
jo dil pe naqash kar jaye or ankon mein simat aye
alamat hai ye chahat ki aur chahat kab badalti hai
ussey chaaha, ussey pooja, yehi tawqeer hai apni
hamein gumrah mat samjho, ibadat kab badalti hai
puraane zakham ko arshad bhula dena hi hay acha
na chaahey aap hee koi to kissmat kab badalti hai..