PDA

View Full Version : Ye Kaisi Mohabbat Hai

Miss Habib
11-05-2012, 11:21 AM
Suna tha hum ne logo se mohabbat cheez aisi hai
Chupaye chup nahi skti, ye ankhon se chamakti hai
Ye chehron pe damakti hai, ye lehjon mein jhalakti hai
Dilon tak ko rulati hai
Magar ………… agar ye sab sucha hai ?

To phir akhir hmein apne Rab se bhala kaisi mohabbat hai
Na ankhon se jhalakti hai, na chehron pe damakti hai
Na lehjon mein sulagti hai, dilon ko azmati hai, na raton ko rulati hai
Ye kaisi mohabbat hai ?
Bhala kaisi mohabbat hai ?

(‘“*JiĢäR*”’)
11-05-2012, 12:47 PM
:khob: Nice

Miss Habib
11-05-2012, 12:55 PM
thanks jiger

Arsheen
11-05-2012, 10:28 PM
sad but true
nice sharing

Stollen Heart
11-05-2012, 11:18 PM
Allah se mohabbet sub se alag mohabbet hey, Is ka andaz sub se juda gana hey,
Duniya se mohabbet dosron ke samne zahir ho jaati hey, Mager Allah se mohabbet se mohabbet jo kerte hen wo her mumkin koshish kerte hen keh kisi pe zahir nah ho, Jaise kisi insaan ki help ker ke kabhi us insaan per bhi show nhi kerte keh me ne u ki help ki hey, Ager show ker ke nah feeling men maza hoga ur nah ki dil ko skon milega.

Eik hey Allah ki attaa'at kerna, ur dosra he Allah se mohabbet kerna, dono men faraq hey, Attaa't show hoti hey, ur Mohabbet show nhi ki jaatii, yeh Allah ur us ke bande ke beech ka maamla hey, ager show ho gai to us men milawat ho jaeigi

beyond_vision
11-06-2012, 05:57 AM
Lamha-e-Fikriya hay Hamaray Liay yeh Miss Habib as u correctly pointed out through ur post! Lekin Bohat se aise loag abhi Baaki hay Duniya Jo Khuda se Waisi hi Mohabbat karte hain Jaisi K karni chhaiye, Kisi bhi garz ya Milawat k baghair han un logo'n ki tadaad bohat thori hay aur din ba din kam hoti jaa rahi hay. Iss baat par hamain zaroor ghor karna chhaiye. :)

@ Stollen Heart : Jee aik andaaz se aapki Baat bhi durust hay magar isay doosray andaaz main bhi dekha jaa sakta hay. Amooman Jab insaan ko Khuda se Mohabbat hoti hay tou iska izhaar us k kirddar, baato'n k andaaz, hakook al ibaad, aur general tarz-e-amal se hota hay. Those who truly love their lord make sure that this love is not only in their talk but is being portrayed in their day to day life also aur Filhaal agar Mulk-e-Pakistan aur wahan k rehne walay bashindo'n ko daikha jaye to yeh baat wazeh ho jaati hay k hum Islam ki sahi "Rooh" ko follow nahi kar rahay.I guess yeh poetry bhi isi taraf ishara kar rahi hay. Lekin aapka point bhi apni jagah aur aik khaas nazariye k lihaaz se bilkul sahi hay! :)

cutepoison
11-06-2012, 08:29 AM
wah zabardast JazakAllah miss .... bht achi poem likhi ..

Miss Habib
11-06-2012, 11:21 AM

dono k point apni apni jaga bilkul theek hai
lekin mohabbat to wo cheez hai jo chupaye nahi chupti, Allah se suchi mohabbat bhi app chupa nahi skte, app k chehray se zahir ho jati hai, jo Allah se mohabbat karta hai Allah bhi usse mehboob rakhta hai, or Allah k mehboob banda aam banday jaisa nahi rehta

any way thanks both of you:withrose:

Miss Habib
11-06-2012, 11:21 AM
thanks arsheen and cute

MASOOM GIRL
11-06-2012, 02:12 PM
Nice Sharing

Jazak ALLAH...

Miss Habib
11-07-2012, 09:34 AM
thanks masoom girl

Stollen Heart
11-08-2012, 02:21 AM
Lamha-e-Fikriya hay Hamaray Liay yeh Miss Habib as u correctly pointed out through ur post! Lekin Bohat se aise loag abhi Baaki hay Duniya Jo Khuda se Waisi hi Mohabbat karte hain Jaisi K karni chhaiye, Kisi bhi garz ya Milawat k baghair han un logo'n ki tadaad bohat thori hay aur din ba din kam hoti jaa rahi hay. Iss baat par hamain zaroor ghor karna chhaiye. :)

@ Stollen Heart : Jee aik andaaz se aapki Baat bhi durust hay magar isay doosray andaaz main bhi dekha jaa sakta hay. Amooman Jab insaan ko Khuda se Mohabbat hoti hay tou iska izhaar us k kirddar, baato'n k andaaz, hakook al ibaad, aur general tarz-e-amal se hota hay. Those who truly love their lord make sure that this love is not only in their talk but is being portrayed in their day to day life also aur Filhaal agar Mulk-e-Pakistan aur wahan k rehne walay bashindo'n ko daikha jaye to yeh baat wazeh ho jaati hay k hum Islam ki sahi "Rooh" ko follow nahi kar rahay.I guess yeh poetry bhi isi taraf ishara kar rahi hay. Lekin aapka point bhi apni jagah aur aik khaas nazariye k lihaaz se bilkul sahi hay! :)

Shuker hey u ki awaz bhi sunai di me ko itte arsa ke baad, hum dono ka point of view theek hey, Bohat kum log henJo Allah se us terha mohabbet kerte hen jaise mohabbet kene ka haq hota hey mager wo samne nhi aate, Ya hum ko dikhai nhi dete, Ya shaid wo roz hum ke qareeb se guzer jaate hon ur hum un ko mamooli insan smjh ke un ki tarf eik nigah bhi nah dalte hon, Ya shaid Imaan hum ke dilon men itta kamzor ho keh hum ki nigahen emaan walon ko talash hi nah ker skti hon,

beyond_vision
11-08-2012, 08:06 AM

Shukriya! :) Aap Bhi Kaafi Arsay Baad nazar aaye hain. I hope things were fine on ur side also! :) Aur jee han Jaisa Main ne Pehle Kaha Aapka Point of view bhi aik Andaaz se Bilkul Valid hay. I guess yeh aik hi Tasveer k do Pehlu hain Jiska pehla Zaaviya aapne dikhlaya aur Doosra main ne Batlanay ki koshish ki! :)
Great to see u back and hope to see u more often! :)

Prince7871
11-08-2012, 08:26 AM
nice one....

Miss Habib
11-08-2012, 08:55 AM
thankss prince

Stollen Heart
11-08-2012, 10:52 PM
Shukriya! :) Aap Bhi Kaafi Arsay Baad nazar aaye hain. I hope things were fine on ur side also! :) Aur jee han Jaisa Main ne Pehle Kaha Aapka Point of view bhi aik Andaaz se Bilkul Valid hay. I guess yeh aik hi Tasveer k do Pehlu hain Jiska pehla Zaaviya aapne dikhlaya aur Doosra main ne Batlanay ki koshish ki! :)
Great to see u back and hope to see u more often! :)

U jo achi thread banao me ko plz link send diya kro

beyond_vision
11-09-2012, 12:10 AM
U jo achi thread banao me ko plz link send diya kro

Haha.... Well meray liay to meri ki hooyi sab postings hi achi hoti'n hain. I share only when I think something is good enough to be shared. So iska Faisla Main aap pe chorti hoon K aap decide karain which sharing is good and which not :p

Stollen Heart
11-09-2012, 12:15 AM

Oho at least u me ke mental level ko to samjh hi gai ho na. So jo u smjhti ho keh yeh thread me ko must read kerna chaiye us ka link me ko must must dena, Nhi to u ki sarhi threads me ne kharab ker deni hen.

beyond_vision
11-09-2012, 12:18 AM

Haha... Nahi Main Bilkul aapkay Mental Level ko nahi Samajh paayin Hoon Kiun Doosro'n K mental level ko samjhne se pehle insaan ko Khud ka mental level samjahna parta hay jo K main nahi samajh paayin hoon lolz
Kharaab kar deni hain? :o Kiya Matlab hay aapka is se? Meri Threads se aapki Kiya Dushmani hay? :giggle:

DeV!L
11-09-2012, 12:22 AM
:1smile1:

Stollen Heart
11-09-2012, 01:24 AM
Haha... Nahi Main Bilkul aapkay Mental Level ko nahi Samajh paayin Hoon Kiun Doosro'n K mental level ko samjhne se pehle insaan ko Khud ka mental level samjahna parta hay jo K main nahi samajh paayin hoon lolz
Kharaab kar deni hain? :o Kiya Matlab hay aapka is se? Meri Threads se aapki Kiya Dushmani hay? :giggle:

Oho ager u smjh rhi ho keh ub me u ke mental level ke bare me bolonga ur us ki taarefen kronga to eik dum galt smjh rhi ho, :i-hit-u:

Jub 2 pagal eik dosre ke samne aate hen to wo eik dosre ko eik dum pehchan lete hen, Aai smjh,

Threads ko kharab hone se bachana chahti ho to araam se me ko link de dena nhi to jub me bol deta hon to phir ....:scld0006:

beyond_vision
11-09-2012, 06:33 AM

Jee nahi Main ne Aisa kuch nahi Samjha, Aur Samjhnay k Liay Aik adad Dimaag Darkaar hota hay Jo k In dino'n mere paas nahi hay To Samjhnay, Samjhaanay ka Silsala Main ne Rok Rakha hay! :)
Aur Threads Kharaab Kaisay hote hain? Yeh Main Pehli Baar Sun Rahi Hoon! Well Aap ki Sahoolat K liay agar aap Kisi bhi user k nick ko click karain to kuch options khul jatay hain, Un main aik option to view threads bhi hay. Tou aap wahan se Threads daikh saktay hain aur agar aapko woh Kabil-e-Zikr lagay tou Aap usmain Comment ya Contribute kar saktay hain.
Umeed hay ab aapka Masla Hal ho gaya hoga! :)

Stollen Heart
11-09-2012, 05:14 PM

Chalo me yeh method apply krta hon, Ager kaam kiya to theek nhi to u ki threads.........:h035:

pakeeza
11-09-2012, 09:41 PM
niceeeeeeeeeeeeee

Noor ul huda
11-10-2012, 04:22 PM
MashaAllah great reminder

Allah samajhna aur amal ki taufeeq de. ameen

beyond_vision
11-11-2012, 10:33 PM
Chalo me yeh method apply krta hon, Ager kaam kiya to theek nhi to u ki threads.........:h035:

Haha... aapka andaaz Mujhe dhamki Amaiz Kiun lag raha hay?
Nahi am sure K yeh method work karay ga! :) Aap isay apply kijiye!

QUEEN OF HEARTS ...
11-12-2012, 05:23 AM
MashAllah ..
Bohat khoobsurat sharing sis ..
We definately think about it ..
Thanksss fo sharinn

Miss Habib
11-12-2012, 09:57 AM
thanks pakeeza, Noor and Queen

Stollen Heart
11-16-2012, 04:55 AM
Haha... aapka andaaz Mujhe dhamki Amaiz Kiun lag raha hay?
Nahi am sure K yeh method work karay ga! :) Aap isay apply kijiye!

Dekha nhi kaam kiya na u ke method ne, Bus me ko nhi pata me ko link chahiye,

beyond_vision
11-16-2012, 05:48 AM
Dekha nhi kaam kiya na u ke method ne, Bus me ko nhi pata me ko link chahiye,

work kaisay nahi kiya? :o di u applied my method correctly? :( ab yeh to thora mushkil hoga lekin ab aap ne bola hay tou inshAllah shall try to provide u links also! :)

Stollen Heart
11-16-2012, 10:04 AM
work kaisay nahi kiya? :o di u applied my method correctly? :( ab yeh to thora mushkil hoga lekin ab aap ne bola hay tou inshAllah shall try to provide u links also! :)

Ager work kiya hota to u ko dher saare comments milte. :sport-smiley-002:

Haan u ke liye mushkil zaror he per u ko aisa kerna hi hoga nhi to u ki threads.....:;food:

beyond_vision
11-17-2012, 01:36 AM
Ager work kiya hota to u ko dher saare comments milte. :sport-smiley-002:

Haan u ke liye mushkil zaror he per u ko aisa kerna hi hoga nhi to u ki threads.....:;food:

Lolz, Lekin work kiun nahi kiya? aap kisi bhi thread main meri ki gayi post main mere nick par click karain, aik option box khule ga, usmain "show this user's thread" k option pe click karain aur meri Tamaam threads open ho jayein gi'n.
Aap aik dafa try kar k daikhain! agar abhi bhi work nahi karta to main aapko links send kar doon gi! :)

Stollen Heart
11-17-2012, 02:11 AM

Oho me ne aisa hi kiya tha na, itti dher saari threads saamne aa gai thi ur me ko smjh nhi aa rhi thi keh itti dher sari threads men kis per click kron.

U me pe ek ehsan kro ur me ko un sub threads pe click kerne se bacha lo.bus u yehi smjho keh u ne aaj se pehle koi thread share hi nhi ki. ur aaj ke baad jo bhi achi thread share kro me ko link send ker diya kerna, nhi to.......:bailan:

beyond_vision
11-17-2012, 02:13 AM

Hahaha... Chaliye theek hay, Done. Aaj K baad jab bhi naya Thread Banaya, Aapko uski link zaroor send kar di jaye gi! :)

Stollen Heart
11-17-2012, 02:22 AM
Hahaha... Chaliye theek hay, Done. Aaj K baad jab bhi naya Thread Banaya, Aapko uski link zaroor send kar di jaye gi! :)

Yeh baat hoi na, ub me wait kronga, u ne bari aqalmandi se apni threads ko :fsniper: hone se bacha liya he,

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.