jalpari
03-09-2009, 01:16 AM
mujhey arzu-e-sehar rahi, yunhi rat bhar bari dair tak,
na bikhar saka, na simt saka, yunhi rat bhar bari dair tak...
Hai bohat azab aur akaile hum, shab-e-gham bhe hai taweelter..
Rahi zindagi bhe sarab aur rahi ankh tar bari dair tak...
Yahan her taraf hai ajab saman, sabhi khud pasand, sabhi khud numa..
Dil-e-beqarar ko na mila koi charaa gar bari dair tak...
Mujhey zindagi hai azizter, issi wastey meray humsafer,
mujhey qatra qatra pila zehar, jo karey asar bari dair tak...