life
10-15-2012, 08:03 PM
Kbhi hum khubsurat thay
kitabon main basi khushbu ki manand
saans saakan thi
boht se ankahay lafzon se tasveer bnatay thay
parindon k paron par nazm likh kr
dur jheelon main basnay walay logon ko sunatay thay
jo hum se dur thay lakin
hmaray paas rehtay thay
naeye din k musafat jb kiran k saath angan main
utarti thi
to hum khtay thay
Ami......titliyon k par boht hi khubsurat hain
hmain maathay pe bosa do
k hum ko titliyon k
jugnu'on k
des jana hai
hamain rangon k jugnu
roshni ki titliyan
awaz deti hain
naeye din ki musafat rang main dubi hawa k sath
khirki se bukati hai
hamain maathay pe bosa do....