life
10-15-2012, 07:59 PM
Khwaab
Aankhon ko choo rahay hain sitaaron kay nar'm haath
Palkon pay aa ruki hay tammana-e-kehkashan
Zulfon kay taar taar say phooti hain mastiyan
Honton ko choomti hay sharaarat say chaandani
Pehron ki larzishain hain, sehra ki hichkiyan
Raston pay her taraf hain gul-e-yasmeen khilay
Kushboo main kyun na goondh lain kirnon kay haar hum
Suntay hain chaandani, yoon'hi barsay gi raat bhar
Mujh ko pukaariye to zara ehtiyaat say
Aisa na ho kay kaanch ki deewaar gir paRay
Main khwaab kay safar main hoon zara aahista boliye
Chaandani main naha rahi thi raat
Aur jugnoo duaaein karta tha
Aaj! aankhon say neend uR jaaye