PDA

View Full Version : ab teray naam hay.....................


Awara Badal
10-01-2012, 07:27 PM
main aur meri bekhudi ab teray naam hay
meri tamaam zindagi ab teray naam hay

socha tha zindagi ka safar tanha karain gay
iss zindagi ki har khushi ab teray naam hay


logon ki baat dil pe na lena kabhi sanam
meri toe sans akhri ab teray naam hay

jalnay do inko jalnay ki aadat hay purani
main aur meri dosti ab teray naam hay

hum say wafa karo na karo jan-e-tamanna
apni toe sari zindagi ab teray naam hay

ehsas zindagi ka mujhay denay walay sunn
lamha meri ghari meri ab teray naam hay

na faasla koi hay na deewar-e-dushamanaan
yeh chaand aur yeh chandni ab teray naamhay

yeh aarzoo choti si Mussawir ke dil main hay
woh bhi kahay yeh aashiqi ab teray naam hay

pakeeza
10-01-2012, 07:38 PM
hmmmmm niceeeeeeee

SHAYAN
10-01-2012, 08:14 PM
hum say wafa karo na karo jan-e-tamanna
apni toe sari zindagi ab teray naam hay

ehsas zindagi ka mujhay denay walay sunn
lamha meri ghari meri ab teray naam hay

Nice Lines

Polar Bear
10-02-2012, 09:15 AM
Buht Umda, Keep Sharing

Awara Badal
10-02-2012, 11:09 AM
Thankshooooo.com / Pakeeza/Shayan/Polar bear

Prince7871
10-02-2012, 11:16 AM
hmmmmmmmmmmmmmmmmm

Awara Badal
10-02-2012, 11:22 AM
Thankshooo.com / Prince7871

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.