View Full Version : <lll* Meri Pasand *lll >
saira111
09-29-2012, 03:01 AM
http://s9.postimage.org/o8cz6yfkv/image.jpg
Haqiqat Jaan kar Aisi Hamaqat Kon Karta Hai
Bhala Be-Faiz Logon Se Muhabbat Kon Karta Hai,
Humain He Galat Fehmi Thi Kisi K Wasty Warna
Zamany K Rawajon Se Bagawat Kon Karta Hai,
Khuda Ne Sabar Karny Ki Muje Tofeeq Bakhshi Hai
Ary G Bhar K Tarpao Shikayat Kon Karta Hai,
Kisi K Dil K Zakhmon Par Marham Rakhna Zaroori Hai
Magar Es Daor Mein Ye Zehmat Kon Karta Hai.
saira111
09-29-2012, 03:02 AM
Hawa-e-tark-e-taaluq chali hai Dhiyaan rahay
Hawa-e-tark-e-taaluq chali hai Dhiyaan rahay
magr ye baat hamaray hi darmiyaan rahay
gilaa tujhi se nahiN baam o dar ki viraani
khuli fizaa maiN bhi hum log by amaan rahay
te're aseer mizaj aashnaa e mousam haiN
so teri qaid maiN reh kr te'ri amaan rahay
shikast e jaaN pe hai tajdeed e aitebaar ki muhr
jo doob kr bhi te're saahiloN ka maan rahay
wo barg jin pe rutooN ke azaab utray thy
shajr se katt k bhi mousam k tarjumaan rahay
tu apnay haq maiN gawahi kahaN se laaye ga
te're tarf se agr hum bhi bad-gumaan rahay
saira111
09-29-2012, 03:02 AM
یہ ھوتی ھے تو ھوتی ھے
نہیں ھوتی تو جتنا بھی جتن کر لو،نہیں ھوتی
کوئی اچھا اگر لگ جائے تو سب خامیاں اُسکی
اچانک، خوبیوں کی اوڑھنی میں چُھپ سی جاتی ھیں
زمانہ لاکھ سمجھائے سنبھل جاؤ
وہ ایسا ھے وہ ویسا ھے
سمجھ میں کچھ نہیں آتا
سماعت اور بصارت کو سُجھائی کچھ نہیں دیتا
سمجھ آتا ھے اُس لمحے
کہ جب دامن میں لاکھوں چھید ھو جائیں
کبوتر کے پروں کے ساتھ لپٹے
سب عیاں جب بھید ھو جائیں
محبٌت میں کبھی دورائے کا امکاں نہیں ھوتا
یہ ھوتی ھے تو ھوتی ھے
نہیں ھوتی تو جتنا بھی جتن کر لو،نہیں ھوتی
saira111
09-29-2012, 03:02 AM
CHALO CHORO
Muhabbat joot hai
Ehd-e-wafa ik shughl hai baikaar logon ka
“Talab” sookay huway patton ka baironuq jazeera hai
“Khulish” deemuk-zuda awraaq pur boseeda sutron ka zakheera hai
“Khumaar-e-wusl” tuptee dhoop ke seenay pe Urrtay baadlon ki raaigan bukhshish
“Ghubar-e-Hijr” sehra main sarabon say atey mosum ka khamyaza
..
..
..
..
CHALO CHORO
Ke ab tuk main andhairon ki dhumuk main saans ki zarbon pe
Chahut ki bina ruk kar safar karti rah hon
Mujay ihsas hi kub tha
Ke tum bhee mosumon ke saat apnay peruhun kay rung badlogey
..
..
..
..
CHALO CHORO
Wo saray khwab kuchee bhurbhuree muttee ky baiqeemut gharonday they
Wo saray zaaiqey mairee zuban pur zukhm bun kar jum gaye hongay
Tumharee unglion ki nurm porain puthuron pe naam liktee thee mera laikin
Thumharee unglian tho aadtun ye jurm karthee thee
..
..
..
..
CHALO CHORO
Safar main ajnubee logon say aisay haadsay surzud huwa karthay hai
Sadion say
..
..
..
..
CHALO CHORO
Mera hona nu hona ik barabar hai
Tum apnay khaal-o-khud ko aayeenay main phir nikurnay do
Tum apnee aank ki bustee main phir say ik naya mosum uturney do
“meray khwabon ko murnay do”
nayee tasweer daiko
phir naya maktoob liko
phir naye mosum nuye lafzon say apna silsila jorho
meray maazee ki chaahut raayegaan sumjo
meree yaadon say kuchey raabitay torho
..
..
..
..
CHALO CHORO
muhabbat jhoot hai
Ehd-e-wafa ik shughl hai baikar logon ka
saira111
09-29-2012, 03:03 AM
Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuch Posheeda Si Baatein Hai
In Posheeda Si Baaton Mein
Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain
In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain
Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena
Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai
Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein
Har Shai Main Tumhi Ko Dekha Hai
Dharkan Mein Bhi Naghma Ban Kar
Saagar Ki Tarah Tum Behtey Ho
Ye Piyaar Nahi To Tumhi Kaho?
Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?
saira111
09-29-2012, 03:03 AM
Jub Seena Ghum Se Bojhal Ho
Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho
Tub Kamrey Main Bund Ho Jana
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Aankhein Baghi Ho Jaein
Aur Yaad Main Meri Bhar Aaein
Phir Khud Ko Dhuka Mat Dena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Pulkeen Kerb Se Mondi Hoon
Aur Sub Sumjhein Tum Sotey Ho
Tub Moan Pe Takya Rakh Lena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Yeh Duniya Zalim Duniya Hai
Yeh Baat Bohoot Phailaye Gi
Tum Samney Sub Ke Chup Rehna
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Barish Chehra Dho Daley
Aur Ashk Bhi Boondein Lagtey Hoon
Woh Lamha Hergiz Mat Khona
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
saira111
09-29-2012, 03:04 AM
Kaho,
woh dasht kaisa tha?
Jidhar sub kuch luta aaye
Jidhar aankhain ganwa aaye
Kaha,
sailab jaisa tha,
bohot chaha keh bach niklain magar sub kuch baaha aaye
Kaho,
woh hijer kaisa tha?
Kabhi choo ker usay dekha
To tum nay kia bhala paya
Kaha,
bus aag Jaisa tha,
usay choo ker to apni rooh ye tann mann jala aaye
Kaho,
woh wasl kaisa tha
Tumhain jab chuu liya us nay
To kya ehsas jaga tha?
Kaha,
ik raastay jaisa,
jidhar say bus guzarna tha, makan lekin bana aaye
Kaho,
woh chand kaisa tha?
Falak say jo uttar aaya!
Tumhari aankh main basnay
Kaha,
woh khawab jaisa tha,
nahi taabeer us ki, usay ik shab sula aaye
Kaho,
woh ishq kaisa tha?
Bina perkhay kia jo tum nay
Kaha,
titlii k rang jaisa,
bohat kachaa anokha sa, jabhi us ko bhula aaye
Kaho,
woh naam kaisa tha?
Jisay sehraaon aur chanchal
Hawaon per likha tum nay
Kaha,
bus mosmoon jaisa,
na janay kis tarha kis pal kisi ro main mita aaye
Suno,
khawahishon ki lehron per sambhalna kion hua mushkil?
Bataya ,
paanion per khawab ki rakhi bena jaisay
Bhala tum rooh ki in kirchion main dhoondtay kia ho?
Kaha,
yeh itni roshan hain keh sooraj ha diya jaisay
Suno aankhon hi aankhon ka bayan kesay laga tum ko?
Laga,
phoolon say sargoshi si kerti ha saba jaisay:
saira111
09-29-2012, 03:06 AM
Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho
To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge
K Lakh Chaho Na Hans Sako Ge
Hazar Chaho Na Ro Sako Ge
K Khuwab Kia Hain, Azab Hain Ye
Mere Dukhon Ki Kitab Hain Ye
Rafaqtain In Main Choteti Hain
Mohabbatain In Main Rothti Hain
Pinapti Hain In Main Wehshatain Si
Aziatain In Main Photeti Hain
Inhein K Dar Se Khizan Hain Jazbe
Inhein Se Shakhain Si Toteti Hain
Ghamon Ki Bandish Hain Khuwab Mere
Dukhon Ki Barish Hain Khuwab Mere
Ubal Raha Hai Dukhon Ka Lawa
Rahen-E-Atish Hain Khuwab Mere
Khial Sare Jhulas Gai Hain
Sulagti Khuwahish Hain Khuwab Mere
Ukharti Sansain Hain Zindagi Ki
Laho Ki Sazish Hain Khuwab Mere
Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho
To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge
saira111
09-29-2012, 03:08 AM
ankh ban jati hai sawan ki ghata:shaam k baad”….
mujhse ho jata hai har koi khafa “shaam k baad”….
chand jab roo k sitarun se galay milta hai…………..
1 ajab rang ki hoti hai fiza ..”shaam k baad………..
hum ne tanhai se pucha k milogi kab tak?…………
usne be-chaini se foran kaha…”shaam k baad……
mar deta hai bichar jane ka dohra ehsas…………..
kash na ho koi kisi se juda ….”shaam k baad…….
saira111
09-29-2012, 03:09 AM
WAFA K SILSILY
Haseen rutoon k wo mahakty Gulaab ru lamhy.
Ghelaf chasham mein sambhal rakhe hain.
Tumhain dekhain to kese wo hijr k mousam.
Jo apne khoon-e-jigar sy ujal rakhe hain.
Jenhain smajh k to anjaan ban gea tha kabhi.
Hanuz Aankhoon mein wo hi sawal rakhe hain.
Hamain saza jo mili jurm bhi to esa tha.
Wafa k silsily hum ne bahaal rakhe hain.
saira111
09-29-2012, 03:22 AM
Raha Gurdishon Main Hardam Mere Ishq Ka Sitara
Kabhi Dagmagai Kishti Kabhi Kho Gia Kinara
Koi Dil K Khel Dekhe K Mohabbaaton Ki Bazi
Wo Kadam Kadam Pe Jeete, Main Kadam Kadam Pe Hara
Ye Hamari Bad Nasibi Jo Nahin Hai To Aur Kia Hai
K Usi K Ho Gai Hain, Jo Na Ho Saka Hamara
saira111
09-29-2012, 03:24 AM
Main Reza Reza Howa Main , Bikhar Gaya Chup Chap
Tere firaq ka mousam guzar gaya chup chap
kisi nay kan na meri sada pay dharay
meray wajood main ik shaks mar gaya chup chap
saira111
09-29-2012, 03:25 AM
Na Jo Thum Sakay Kisi Aur Say,
Main Bujhta Aik Chiragh Hoon,
Mera Room Room Dard Dard,
Meray Dukh Ka Sira Nahin,
Meri Laghzishon Main Pali Barhi,
Koi Khoi Kahani Bhi Hai,
To Jo Sath Hai To Sukoon Naheen,
To Jo Rooth Gia To Azab Hai,
Meri Zindagi Hai Aik Goo Mago,
Mujhay Roshni Milti Nahee
saira111
09-29-2012, 03:26 AM
kabhi arsh per... kabhi farsh per...
kabi un kay dar kabhi darbadar
GHam e zindagi tera shukriya
ham kahan kahan say guzar gaye
saira111
09-29-2012, 03:42 AM
Ana ki qaid se nikley muqabla tou karey…
Wo mera sath nibhaney ka hosla tou karey…
Kabhi na totney wala hisaar ban jaon…
Wo meri zaat mai rehney ka faisla tou karey….
saira111
09-29-2012, 03:43 AM
Muhabbat azmani ho to bas itna hi kafi hai
ZARA sa ROTH ker dekho MANANY kon ata hai ? ...:)
saira111
09-29-2012, 03:45 AM
khzaon ki udaasi hai jo ab tk dil pe chai hia
bharon ka hassen mosam kahin se saath lana tum
agar tum se khbi koi mere bary main pochy tu
faqat itni c khwahish hai mujhy apna btana tum
saira111
09-29-2012, 03:45 AM
ملتا تھا مجھ سے وہ کبھی پل پل کے فرق سے
پھر رفتہ رفتہ فرق یہ سالوں میں آ گیا
پھر یوں ھوا کہ آنکھ سے آنسو نکل پڑے
چہرہ کبھی جو اُس کا خیالوں میں آ گیا _!!
saira111
09-29-2012, 03:46 AM
Chubti hai qalb-o-jaan ko sitaaron ki roshni
Aye chand doob ja k tabiyat udaas hai...!!!
saira111
09-29-2012, 03:47 AM
یہ تمہاری تلخ نوائیاں کوئی اور سہہ کے دکھا تو دے
یہ جو ہم میں تم میں نباہ ہے میرے حوصلے کا کمال ہے
saira111
09-29-2012, 03:48 AM
ik zindagi gazeda say ye dushmani na ker
ay dost muhj ko umer e lehad ki dua na day
saira111
09-29-2012, 03:49 AM
Mere Humsafer, mere Hum-nasheen
Main ne Rab se manga to kuch nahi
Main ne jub bhi mangi koi dua!
Nahi manga kuch bhi "Tere Siwa"
Ye talab kya k mera Khuda!
Sabhi rahtain, Sabhi chahtain,
Wo ata kre tujhe manzlain,
Ye talab kya k mera Khuda!
Tujhe Bakht de,
Tujhe Taj de
Tujhe Takht de,
Mere Humsafer,
Mere Chara-ger,
Ye hai mohabbat ka khatan safer
Mere sath chalna zra soch ker
Zra dekh to mera hosla
Mere paas jo bhi wo hai tera
Nahi aur kuch bhi tere siwa
Meri Dosti
Meri Zindgi
Meri Khamoshi
Meri Be-basi,
Mera Ilm bhi
Mera Naam bhi,
K meri Subha
K meri Sham bhi
K jo mil saken mere Daam bhi,
Wo sabhi kuch tujh ko ata kre;
Mere chara gr tu yaqin to kr
Mujhe mangna to na aa ska
Main ne phir bhi mangi yehi Dua
K gwahi de ga mera Khuda
Maine jub b us se talab kya!
Nahi manga kuch bhi Mere Humsafer, mere Hum-nasheen
Main ne Rab se manga to kuch nahi
Main ne jub bhi mangi koi dua!
Nahi manga kuch bhi "Tere Siwa"
saira111
09-29-2012, 03:49 AM
Baray Sakon Say
Rukhsat To Kar Dia Usko
phir Us kay Bad Mohabbat Nay
Inteha Kar Di... ..!
saira111
09-29-2012, 03:50 AM
hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha
tere shanon pe koi chat nahin thi
mere zimme koi angan nahin tha
koi wada teri zanjir-e-pa banane nahin paya
kisi iqrar ne meri kalai ko nahin thama
hawa-e-dasht ki manind
tu azad tha
raste teri marzi k tabe the
mujhe bhi apni tanhai pe
dekha jaye to
pura tasarruf tha
magar jab aj tu ne
rasta badla
to kuch aisa laga mujh ko
k jaise tu ne mujh se bewafai ki
saira111
09-29-2012, 03:52 AM
wo bazahir jo zamany say juda lagt ahai
hans kay bolay to dunya say juda lagta hai
or kuch dair na bujhnay day isay rab e sehar
dobta chand mera dast e dua lagta hai
jaisay mu phair kay raste say hawa guzri hai
aisay mousam main to jungle bhi hara lagta hai
shehar ki bheer main khulte hain kahan us kay nakosh
ao tanhai main sochain kay wo kia lagta hai
moun chupay hoay guzra hai jo ahbab say aj
us ki ankhon man koi zakham naya lagta hai
ab to mohsin kay tasawur main utar a rab e jalil
is udasi main to pathar bhi khuda lagta hai
saira111
09-29-2012, 03:54 AM
ﭼﺸﻢِ_ﻧﻢ ﮈﮬﻮﻧﮉ ﺭﮨﯽ ﮨﮯ ﺗﻢ ﮐﻮ،
ﮐﺎﺵ ﺩﻧﯿﺎ ﻣﯿﮟ ﺗﻢ ﮨﯽ ﺗﻢ ﮨﻮﺗﮯ
saira111
09-29-2012, 03:56 AM
Suno aye Dost!
Kabhi Udas hojao to
Kabhi tanhai ki ratain
Tumhain ziada satain to
Kabhi titli na bole to
Aur jugnoo lout jaye to
Kabhi jab dil b bhar jaye
Koi jab sun na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se roth jain to
Kabi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahte hoay bhi khud akelay
Ro na pao to
Apni ankhon ko band karna
Mujhe awaz de dena
Aur phir mere tasawur se
Jo chaho batein keh dena
Meray kandhe pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao to
Us he duniya chale jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushion main
Hamein dil se pukaro gay …….Hamein tum sath pao gay
saira111
09-29-2012, 03:57 AM
jis shaam brastay hain teri yaad k badal
us shaam koi hijar ka tara nahin hota
younhi meray pehloo main chala ata hay aksar
woh dard jisay main nay pukara nahin hota
saira111
09-29-2012, 03:57 AM
Tarbzaron pe kiya guzri sanum khanon pe kiya guzri
Dil e Zinda ! teray marhoom armanoo pe kiya guzri
saira111
09-29-2012, 04:00 AM
اب وقت کے نازک ہونٹوں پر مجروح ترنّم رقصاں ہے
بیدادِ مشیّت کیا کہئیے کُچھ یاد رہی کُچھ بُھول گئے
احساس کے میخانے میں کہاں اَب فکر و نظر کی قندیلیں
آلام کی شِدّت کیا کہئیے کُچھ یاد رہی کُچھ بھول گئے
saira111
09-29-2012, 04:00 AM
میرے ہمراہ گرچہ دور تک لوگوں کی رونق ہے
مگر جیسے کوئی کم ہے، کبھی مِلنے چلے آؤ
تمہارے رُوٹھ کے جانے سے ہم کو ایسا لگتا ہے
مقدر ہم سے برہم ہے، کبھی مِلنے چلے آؤ
saira111
09-29-2012, 04:00 AM
مجھے اپنے ضبط پہ ناز تھا سرِ بزم رات یہ کیا ہوا
میری آنکھ کیسے چھلک گئی مجھے رنج ہے یہ برا ہوا۔
مری زندگی کے چراغ کا،یہ مزاج کوئی نیا نہیں
ابھی روشنی ابھی تیرگی نہ جلا ہوا نہ بجھا ہوا
Kiran Muzammil
09-29-2012, 04:04 AM
Buhut achi collection hay Saira.. Sab hi buhut Umda.
saira111
09-29-2012, 04:04 AM
Mein Wasif-e-Bismil Hoon Mein Ronaq-e-Mehfil Hoon
Ik Toota Hua Dil Hoon Mein Shehr Mein Veerana
saira111
09-29-2012, 04:05 AM
Ujray hoyae dayar ki toti faseel per
Deepak kisi ki yad ka roshan hai aj bhi
saira111
09-29-2012, 04:05 AM
Khon rulaye ga tera hijar , khabar thi laikin
roog ban jaye ga ye ghum mujhay malom na tha
Karbala di lko bana day ga laho khuwahish ka
Itna phelay ga ye matam, mujhay malom na tha
saira111
09-29-2012, 04:06 AM
مدّتوں سے یہی عالم ۔۔ نہ توقع، نہ اُمید
دل پُکارے ہی چلا جاتا ہے جاناں جاناں
saira111
09-29-2012, 04:06 AM
Faasle Qurb Ki Pehchaan Hua Karte Hain
Be-Sabab Loog Pareshaan Hua Karte Hain
Ye Haqeeqat Hai Jahaan Toot Ke Chaha Jaaye
Wahaan Bichadne Ke Bhi Imkaan Hua Karte Hain
Mere Pehle Hue Haathoon Ko Haqaarat Se Na Dekhoo
Maangne Waale Bhi Insaan Hua Karte Hain
Hum Be-Sabar The Magar Hum Se Bichadne Waale
Hum Tere Zabt Par Heeran Hua Karte Hain
Gham Ki Hid'dat Se Kohsaar Pigalte Dekhe
Insaan To Phir Insaan Hua Karte Hain
Zindagi Jin Keliye Jurm-O-Saza Ho Naatiq
Ghar Bhi Un Keliye Zindaan Hua Karte Hain
saira111
09-29-2012, 04:07 AM
Wo jis se raha mera aj tak awaz ka rishta
Bheje ab meri souch ko alfaz ka rishta,
Milne se garaza'n bhe hai na milne pe khafa bhe
Dam torti chahat hai kis andaz ka rishta.
saira111
09-29-2012, 04:07 AM
Dhoondo Gay Agar Mulkon Mulkon
Milnay K Nahi Naayaab Hein Hum.......:)
Tabeer hai Jiski Hasrat-o-Gham
Aey Hum'nafas Wo Khwaab Hein Hum
Aey Dard Bata Kuch Tu Hi Pata
Ab Tak Ye Muamma Hall Na Hua
Hum Mein Hai Dil-e-Betaab Nihaa'n
Ya Aap Dil-e-Betaab Hein Hum
Mein Haerat-o-Hasrat Ka Maara
Khamosh Khara Hoon Saahil Per
Darya-e-Mohobbat Kehta Hai
Aa Kuch Bhi Nahi Payaab Hein Hum
Laakhon Hi Musafir Chaltay Hein
Manzil Pay Pohonchtay Hein Do Aik
Aey Ehl-e-Zamaana Qadar Karo
Nayaab Na Hon, Kamyaab Hein Hum
saira111
09-29-2012, 06:56 PM
Thanks kiran and MAHi
saira111
09-29-2012, 07:23 PM
Khwaab marte nahin
Khwaab dil hain na aankhein na saansein ke jo
Rezaa-rezaa hue to bikhar jayein ge
Jism ki maut se yeh bhi mar jayein ge
Khwaab marte nahin
Khwaab to roshni hain,
navaa hain,
hawa hain
Jo kaale paharon se rukte nahin
Roshni aur navaa aur hawa ka alam
Maqtalon mein pohanch kar bhi jhukte nahin
Khwaab to harf hain
Khwaab to noor hain
Khwaab to suqraat hain
Khwaab mansoor hain
saira111
09-29-2012, 07:27 PM
Dard Muskuraatain Hain Ab Bhee Tere Aane Par…..
Ham Gham Bhool Jaatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par….
Umar Kaat Di Laikin Bachpana Nahee Jata……………
Ham Diye Jalaatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par….
Neend Jaati Rehti Hai Teri Yaad Aaye Tou…….
Ham Khwaab Sajatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par….
Shabnami SitaaRon Par Phool Khilnay Lagtay Hain…..
Ham Khushi Manatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par….
Ab Bhee Teri Aahat Par Raat Muskuraati Hai………….
Sitaaray Timtamaatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par….
Tere Hijar Mein Ham Par Ik Azaab Taari Hai……….
Ham Chonk Chonk Jatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par….
Aas Lout Aati Hai Ab Bhee TanhaayoN Mein…….
Ham Aanso CHupaatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par….!
saira111
09-29-2012, 07:31 PM
Mery hm-sukhan ka yeh hukm tha k kalaam us say main km karoon..
mery hont aesy silay k phir usay meri chup nay rula dia
saira111
09-29-2012, 07:35 PM
kal halki halki barish thi,
kal sard hawa ka raqs bhi tha,
Kal phool bhi nikhray nikhray the,
Kal un main app ka aqs bhi tha,
kal badal gehray kaale the,
Kal chand pe laakhon pehre the..
Kuch tukry app ki yaadon ke,
Bari dair se dil main thehre the..
Kal yaadien uljhi uljhi thien,
Aur kal tak yeh na suljhi thien..
Kal yaad buhat tum aye the?..
Kal yaad buhat tum aye the?..
saira111
09-29-2012, 07:36 PM
Aadat Hi Bana Li Hai Is Sheher k Logon Nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena
Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena
Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena
Awaaz agar do to katra k nikal jana
Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
saira111
09-29-2012, 07:40 PM
Dar e hashar mujhay teri kasam
Umer bhar manay ibadat ki hai
to mera nama e amal to dekh
manay insan say muhabat ki hai
saira111
09-29-2012, 07:42 PM
Hum Tasleem Kartey Hain
Humain Fursat Nahi Milti.
Magar
Ye Bhi Zara Socho
Tumhain Jab Yaad Kartey Hain
Zamana Bhool Jatey Hain.
saira111
09-29-2012, 07:43 PM
Meri talab tha aik shakhs woh jo nahin mila tou phir
Hath dua se yoon gira, Bhool geya sawaal bhi..
saira111
09-29-2012, 07:45 PM
Kya kya na khawb hijar ke mausam mein kho gaye,
Hum jagte rahe they magar bakht so gaye,
Kya janiye ufq ke udhar kya talism hai,
Lautey nahin zameen pe ik baar jo gaye,
Jese badan se qos-e-qaza phootne lagi,
Barish ke haath phool ke sab zakhm dho gaye,
Ankhon mein dheere dheerey utar ke puraney gham,
Palkon main nanhe nanhe sitarey piro gaye,
saira111
09-29-2012, 07:46 PM
Mar bhi jaaon to kahan log bhula hi dein ge,
Lafz mere, mere honey ki gawaahi dein ge…
saira111
09-29-2012, 07:48 PM
Aqs Khushbu Hun, Bikharnay Se Na Rokay Koi
Aur Bikhar Jaon Tou Mujhko Na Samaitay Koi
Kaanp Uthti Hun Mein Ye Soch Ke Tanhaayi Mein
Mere Chehray Pe Tera Naam Na Parh Le Koi
Jis Tarah Khwaab Mere Hogaye Raiza Raiza
Is Tarah Se Na Kabhi Toot Ke Bikhray Koi
Mein Tou Is Din Se Hiraasaan Hun Ke Jab Hukm Milay
Khushk Phoolon Ko Kitaabon Mein Na Rakhay Koi
Ab Tou Os Raah Se Wo Shaks Guzarta Bhee Nahee
Ab Kis Umeed Pe Darwaazay Se Jhaankay Koi?
Koi Aahat, Koi Aawaaz, Koi Chaap Nahee
Dil Ki Galyaan Badi Sunsaan Hain, Aaye Koi
saira111
09-29-2012, 07:50 PM
Mohabbat chikhati rahi
Dil katra katra
Ruh ki tanhaiyon main rota raha
Aankheen tumara aks sajaye
Shabnam shabnam ro kar
Nadeyan bahati raheen
Hasarteen duub gayen
Khuwab jazere gham ka samandar ho gaye
Magar main phir bhi zinda houn
K main ne khud se naheen
Tumari amanat main khyanat ki
Tuj se kiye ahed ko pamal kiya
Tere khayal se zahen ko azaad kiya
Kyun ?
Yeh bhi tuj se keh na paoun gi
K tera dard sah na paoun gi
Is liye sare tufaan
Apni ruh main samete
Main apni maslehton ki dour se bandhi
Tareekh rahoon pe gamzen
Jane kis ghari
Koun se khad main
Mout k betah kunween main ja basoun
saira111
09-30-2012, 06:57 PM
Ham k tehray ajnabee itni madartoon k baad
phir banain gaye ashna kitni mulaqaton k baad
kab nazr main aye gy be dagh sabzay ki bahar
khoon k dhabay dhulain gaye kitni barsaton k baad
dill tu chaha par shakast-e dill ne muhlat na di
kuch gilay shikway bhi kar latay manajaton k baad
thay boht be dard lamhay khatam-e dard ishq k
theen boht bemehr subhain mehrban raton k baad
in se jo kahnay gaye thay Faiz jaan sadqa kiyae
un kahi hi rah gaye woh baat sab baton k baad
saira111
09-30-2012, 08:50 PM
میں نے تیرے خیال کی تتلی دبوچ لی
سب رنگ کائنات کے مٹھی میں آگئے
saira111
09-30-2012, 10:59 PM
Meri DUA hai Muhabat mujhay wo hasil ho
USAY jo khud say Nikalon, to pass KUCH na rahay
M A H i
10-01-2012, 01:25 PM
Aadat Hi Bana Li Hai Is Sheher k Logon Nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena
.
.
.
you have very good taste in Poetry Saira!
THANKS for sharing your wonderful collection with us!
saira111
10-01-2012, 02:48 PM
.
.
.
you have very good taste in Poetry Saira!
THANKS for sharing your wonderful collection with us!
Thank you so much MAHi ap ka intikhab bhi kuch kam nai :)
saira111
10-01-2012, 02:49 PM
Udher Unn K Sittam Itnay K Jinn Ki Hadd Nahi Koi
Idhar Bhi Zarrf Wale Hain Shikayat Kon Karta Hai...???
saira111
10-01-2012, 02:55 PM
Hum Muhabbat K Uss Muqaam Pr Aa Pohnchy Hen
K Jahan Dil Kisi Or K0 Chahay T0 Gunah Lagta Hai
saira111
10-01-2012, 02:55 PM
phir wohe dasht, wohe dasht ki tanhaiye hay
wahshat e dil ne kaheen ka bhi na rakha logoo
saira111
10-01-2012, 02:56 PM
Sitaray KuCh Batatay HaiN NateeJa kUCh Nikalt hAii
Barii Hairaat meiN hAii Mera mUQaddar Daikhny Wala
saira111
10-01-2012, 02:57 PM
Lazzat-e-sajdaa-e-sang-e-dar kyaa kahen
hosh hi kab rahaa sar jhukaane ke baad.
saira111
10-01-2012, 03:02 PM
Phelta sehra hai
Pighalta aftab
Ham...
Karakti dhoop
dil or is tarhan...
Arzo kay phol.. urti dhol hain
Astan .. gehra samadar hai sath
ham bhagolon kay satonu pay kharay
Dekhtay hain asman banay kay khawab
Dekhtay hain asman banay kay khawab
saira111
10-01-2012, 03:05 PM
عِبادت زاہدوں کی رہ گئی اپنا سا مُنہ لے کر
مُحبّت جب جَبیں لائی جنوں کعبہ اُٹھا لایا
عدم ! روزِ ازل جب قِسمتیں تقسیم ہوتی تھیں
میری خاطر وہ ہنس کرساغر صہبا اُٹھا لایا
saira111
10-01-2012, 11:18 PM
Karb kay shehar main reh ker nahi dekha to nay
kia guzarti rahi ham per, nahi dekha tonay
ay muhay SABAR kay adab sekhanay walay
jab wo bichra tha, wo manzar nahi dekha tonay
saira111
10-01-2012, 11:19 PM
Kash dil ki awaz mani itna sar ho jaye
jsay ham yad kerte hain usay khabar ho jaye
saira111
10-01-2012, 11:20 PM
Orha hoa hay manay udasi ko rooh per
AB gham ka perehan karon tabdel kis tarhan
JO ham nafas tha sughra sadaf wo nahi mila
ho paye meri zat ki takmel kis tarhan
Shaam
10-02-2012, 12:03 AM
wah ek aur acha izafa chand achi shairi muntakhib karne walo me
saira111
10-03-2012, 07:46 PM
wah ek aur acha izafa chand achi shairi muntakhib karne walo me
Thank you Shaam for Appreciation :)
saira111
10-03-2012, 07:47 PM
Meri Zindagi ki Kitaab ka Hai Warq Warq youn saja howa
Sar-E-Ibtida,, Sar-E-Intiha Tera Naam dil pe likha howa
Yeh Chamak Damak to Fraib hay Mujhay Dekh Gehri Nigah say
Hai Libaas mera saja howa Magar dil hay mera Bujha howa
Meri Aankh teri Talaash mein Youn Bhtakti rehti hay Raat Din
Jaisay Janglon mein Hiran koi,Ho Shikarion mein Ghira howa
saira111
10-03-2012, 07:49 PM
Hum Hain Sokhay Howay Talab Pay Baithay Howay Hanss
Jo Ta'aluk Ko Nibhatay Howay Mar Jatay Hian
saira111
10-03-2012, 07:51 PM
Tujhay ilm hai aye
tabeeb-e-j aan
Tera pyar meri hayat hai
May mareez hoon tere Qurb ka
Mujhe door ja k dawa na de
Yahan sub andhair parast hain
Yahan Roshni ki majaal kya
Ye charagh phir b charagh hai
koi aatay jatay bujha na day
Tum gaye dino may jo sath thay
Mere qalbo-jan ka saboot thay
Ye bila wja tera Ruthna
Meri zindgi ko mita na de
Tere samne mere hamsfar
meri dharkno ki bisat kia
Tera iss tarah Mujhe Bhoolna
Kahin meri umar ghata na day
saira111
10-03-2012, 07:53 PM
Main Ne Is Tor Se Tujhey Chaha Aksar Jana
Jaisey Mehtab Ko Be Ant Samandar Chahey
Jaisey Sooraj Ki Kiran Seap Ka Dil Main Utrey
Jaisey Khoshbo Ko Hawa Rang Se Hat Kar Chahay
Jaisey Pathar Ka Kalejy Se Kiran Photti Hay
Jaisey Ghunchay Khiley Mousam Se Hina Mangtey Hain
Jaisey Khoabon Main Khayalon Ki Kaman Totti Hay
Jaisey Barish Ki Dua Aabla Pa Mangtey Hain
Mera Har Khuwab Merey Sach Ki Gawahi De Ga
Wusat e Deed Ne Tujh Se Teri Khwahish Ki Hay
Meri Soochoon Main Kabhi Dekh Sarapa Apna
Main Ne Dunya Se Alag Teri Parasthis Ki Hay
saira111
10-03-2012, 07:55 PM
ایک پشیمانی سی رہتی ھے
الجھن اور گرانی بھی
آؤ پھر سے لڑ کر دیکھیں شاید
اس سے بہتر کوئی اور سبب مل جائے ھمکو
پھر سے الگ ھو جانے کا
saira111
10-03-2012, 07:57 PM
Woh meri zaat mein jab tak raha likhna nahe bhooli
Koi bhi dard jo mein ne saha likhna nahe bhooli
Woh jo mehvar thaa likhne ka, juda ho kar mila ek din
Mila tu yeh kaha us ne suna likhna nahe bhooli
Suna hai ab bhi chaahat mein tumhara naam ‘Saail’ hai
Suna hai ab bhi tum mujh ko Khuda likhna nahe bhooli
Suna hai ab bhi tum mujh ko mere Saahir bulati ho
Suna hai mujh ko rag rag mein basa likhna nahe bhooli
Kaha ke bhool bethi hoon hatheli per hina likhna
Magar mein aasmanoo per dua likhna nahe bhooli
Samay ke uth’tay mathay per tujhe dhoonda, bahut dhoonda
Samay ke jhuktay shanoo per sada likhna nahe bhooli
Mujhe ek din mere kaatib ne likha thaa juda tujh se
Mein tujh ko aaj bhi khud se juda likhna nahe bhooli
Chupane ke leye sab dukh abhi bhi muskurati hoon
Mein ab bhi chehre per chehre naya likhna nahe bhooli
Mein ab bhi is judai mein kae dukh dard sehti hoon
Mein ab bhi teri aankhoon ko shifa likhna nahe bhooli
saira111
10-03-2012, 08:00 PM
سنو جاناں
محبت رُت میں لازم ہے
بہت عجلت میں یا تاخیر سے وہ مرحلہ آئے
کوئی بے درد ہوجائے
محبت کی تمازت سے بہت بھرپور سا لہجہ
اچانک سرد ہوجائے
گلابی رت کی چنچل اوڑھنی بھی زرد ہوجائے
تو ایسے موڑ پر ڈرنا نہیں، رکنا نہیں، گھبرا نہیں جانا
غضب ڈھاتی ہوئی سفاک موجوں سے
کسی بھی سرخ طوفاں سے
بہت نازک سی، بے پتوار دل کی ناؤ کو اس پل
ہمیں دوچار کرنا ہے
ہمارا عہد ہے خود سے
کسی قیمت پہ بھی ہم کو
سمندر پار کرنا ہے
saira111
10-03-2012, 08:01 PM
Tu Nay Aandaz e Aseeri Dekhi Hay, Andaz e Wafa Nahi Shayed
Kuch Panchi Pinjra Khol bhi Dain Tu Jaya Nahi Kartay
saira111
10-04-2012, 08:11 PM
gar mujhe iss ka yaqeen hoo, mere hamdam, mere dost....
Gar mujhe iss ka yaqeen ho k tere dil ki thakan
teri aankhon ki udaasi...tere seenay ki jalan....
Meri dil-joii...mere pyar se mit jayey gi
gar mera hurf-e-tasal'li... Woh dawa ho jis se...
Jee uthe phir tera ujra hoa benoor dimagh
teri peeshani se dhul jain yeh tazleel k daagh
teri bemar jawani ko shifa ho jaye
gar mujhe iss ka yaqeen ho, merey hamdam, mere doost...
Rooz-o-shab...shaam-o-sahar...main tujhe behlata rahoon
main tujhe geet sunata rahoo....halkey...sh ereen...
Aab-sharoon k...baharoon k ....chaman-zaroon k geet...
Aamad-e-subh k ...mahtaab k...saiiyaroon k geet...
Tujh se main husun-o-muhabbat ki hikayat kahooon....
Younhi gata rahoon....gata rahoon...teri khatir,
geet bunta rahoon...baitha rahoon teri khatir
par mere geettere dukh ka madawa hi nahin
naghma jarah nahin...monis-o-gham'khawar sahi...
Geet nashtar to nahin...marham-e-aazar sahi...
Tere aazar ka charah nahin, nashtar k siva...
Aur yeh saffak masiha, mere qabzey main nahin...
Iss jahan k kisi ze-rooh k qabze main nahin...
Haan magar,
tere siva...tere sivaa...tere sivaaa...
Prince7871
10-04-2012, 08:19 PM
very nice......
saira111
10-04-2012, 08:27 PM
Thank you so much prince
saira111
10-04-2012, 08:36 PM
Thanks life...:)
saira111
10-04-2012, 08:55 PM
آنکھوں میں چبھ گئیں تیری یادوں کی کرچیاں
کندھوں پہ غم کی شال ھے اور چاند رات ھے
saira111
10-04-2012, 08:58 PM
Meri khamosh nigahon ko chasme nam say na dekh
main ro pari to dilon kay TABAQ hila don gi
saira111
10-06-2012, 07:05 AM
http://s15.postimage.org/4oquc9fzf/beautiful_sadness.jpg
Main na mil sakoon jo tum say, , meri justujoo na karna
Tumhain, meri hi qasam hai, meri aarzoo na karna
Mujhay jis say hai muhab’bat usay hai ajab yeh adat
Kabhi munh ko phair laina, kabhi guftagoo na karna
Main nay chaha tha kisi ko, maira haal kia hai daikho
Jo kiya qusoor mainay wohi tum kabho na karna
, meri ho agar burai to na daina tum safai
Mairay saath khud ko ruswa kabhi ku-ba-ku na karna
Koi poochay badnaseebi ki hai inteha bhi koi?
To mairi misaal daina tum mujhay namoo na karna
Main na mil sakoon jo tum say, meri justujoo na karna
Tumhain , meri hi qasam hai, , meri aarzoo na karna
saira111
10-08-2012, 12:31 PM
tum jab bhi ghar par aatay ho
aur sab say batain kartay ho
main aut say parday ki janan
bus tum ko dekhti rehti hoon
ik tum ko dekhnay ki khatir
main kitni pagal hoti hoon
main aisi mohabat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
jab darwazay par dastak ho
ya ghanti phone ki bajti ho
main chor k sab kuch bhagti hoon
aur tum ko jo na paoon to
ji bhar k ronay lagti hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
mehfil main kaheen bhi jana ho
kapron ka selection karna ho
rang bohat say samnay bikhray hoon
us rang pe dil aa jata hai
jo rang k tum ko bhata hai
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
rozana apnay college main
kisi aur ka lecture suntay hoay
ya break k khali ghantay main
sakhyoon say batain kartay hoay
meray dhiyan main tum aa jatay ho
main, main nahin rehti phir janan
main tum main gum ho jati hoon
bus khuwabon main kho jati hoon
un aankhon main kho jati hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
jis chehray par bhi nigha paray
her chehra tum sa lagta hai
wo sham ho ya ke dhop samay
sab kitna bhala sa lagta hai
janay ye kaisa nasha hai
garmi ka tapta mosam bhi
jaray ka maheena lagta hai
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
tum jab bhi samnay aatay ho
main tum say sunn na chahti hoon
kash kabhi tum ye keh do
tum mujh say mohabbat kartay ho
tum mujh ko bohat hi chahtay ho
lekin janay tum kyun chup ho
yeh soch k dil ghabrata hai
aisa to nahin hai na jana
sirf meri nazar ka dhoka ho
tum nay mujh ko chaha hi na ho
koi aur hi dil main rehta ho
main tum say poochna chahti hoon
main tum say kehna chahti hoon
lekin kuch pooch nahin sakti
mana ke mohabbat hai phir bhi
lab apnay khol nahin sakti
main larki hoon kaisay keh doon
main kaisi mohabat karti hoon
main tum say ye kaisay pochoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
chup chap see main...ho jati hoon
phir dil main apnay kehti hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
saira111
10-08-2012, 12:35 PM
yahaan To log Sadiyon Ko Bhi Lamhon Me Badalte Hai
Mera Ek Pal Nahi Katta, Jahaan Par Tum Nahi Hotay.
saira111
10-08-2012, 12:35 PM
Yaadyn kankar phaink rahi hein
Main ander sy toot rahi hoon
saira111
10-08-2012, 12:36 PM
yeh udas udas phirna, yeh kisi sy kuch na kehna
yonhi besabab nahi hai, koi saniha tOu hoga
saira111
10-08-2012, 01:58 PM
Anaa Tou Haar Jati Hy
Mujhy Maloom Hy
Tum Bhi
Mere Bin Reh
Nahi Saktey
Main Ye Bhi
Jaanti Hoon
Tum Ko Haar
Achi Nahi Lagti
Magar Jaana’n !!
Mohabbat Mein
Anaa Tou Haar Jati Hy . . .
saira111
10-09-2012, 01:04 PM
Is dafa to barishen ruk ti nahi han doston
Ham nay kia ansu piay kay saray mousam ro paray
saira111
10-09-2012, 01:04 PM
bekhiyali main kabhi ungliyan jal jayain gi
raakh guzre hoye lamhon ki kureedah na karo
saira111
10-09-2012, 01:05 PM
na Ganwao Naawak-e-neem Kash , Dil-e-raiza Raiza Ganwa Diya
jo Bachey Hain Sang Samait Lo , Tan-e-daagh Daagh Luta Diya
jo Rukey To Koh-e-garaan They Ham, Jo Chaley To Jaa'n Se Guzar Gey
rah-e-yaar Ham Ne Qadam Qadam Tujhey Yaadgaar Baan Diya
saira111
10-09-2012, 03:31 PM
http://s10.postimage.org/hpjmmzrx5/6a00d83451b0bb69e201675eca7532970b_800wi.jpg
Rat abhi tanhai ki pehli dehlez pay hai
or meri janib apnay hath barhati hai
soch rahi hon
in ko thamun
zena zena sannaton ki teh main utron
ya apnay kamray main thehron
CHAND meri khirki pay dastak deta hai
saira111
10-09-2012, 06:42 PM
Kabhi to Aao Kabhi to Bethto kabhi to Deko Kabhi to Pochho,
tumhari Basti mein hum faqeero'n ka Haal kiyun Sogwar Sa Hai,,!!
saira111
10-09-2012, 06:44 PM
koi thukra de chahat ko to hans ke seh lena
Muhabbat ki tabiyat e zabardasti nhi hoti....!!!
saira111
10-09-2012, 06:45 PM
Bari zalim hoti hai ye yaktarfa muhabbat
wo yad to atay hain , laikin yad kertay nahi!!!
saira111
10-09-2012, 06:48 PM
Us kay kehnay per us ki tamana bhi chor di ham nay
Zara ham bhi to dekhain, Kon chahta hai hamari tarhan...!!!
saira111
10-09-2012, 06:58 PM
Wohi karwaan' wohi rastay' wohi zindag' wohi merhlay
Magar apne apney Muqam per kabi tum nahi' Kabi Hum nahi
saira111
10-09-2012, 07:01 PM
http://s18.postimage.org/wrnggplrd/1816640.jpg
sochaa nahiin achhaa buraa dekhaaa sunaa kuchh bhii nahiin
maangaa khudaa se raat din tere sivaa kuchh bhii nahiin
dekhaa tujhe sochaa tujhe chaahaa tujhe puujaa tujhe
merii Khataa merii wafaa terii Khataa kuchh bhii nahiin
jis par hamaarii aankh ne motii bichhaaye raat bhar
bhejaa wahii kaghaz use hamane likhaa kuchh bhii nahiin
ik shaam kii dahaliiz par baithe rahe wo der tak
aankhon se kii baatein bahut muunh se kahaa kuchh bhii nahiin
do chaar din kii baat hai dil Khaak mein so jaayegaa
jab aag par kaghaz rakhaa baakii bachaa kuchh bhii nahiin
ahasaas kii Khushbuu kahaan, aavaaz ke juganuu kahaan
Khaamosh yaadon ke sivaa, ghar mein rahaa kuchh bhii nahiin
Prince7871
10-09-2012, 07:25 PM
nice......
Polar Bear
10-10-2012, 09:18 AM
Beautiful Collections, keep sharing.
saira111
10-11-2012, 04:41 AM
Thanks allz
saira111
10-11-2012, 04:51 AM
http://s9.postimage.org/7ayogcrfz/autumn_app_1.png
Patton say bhar rahy thay hawaon ki jholian
girtay hoay shajar bhi sakhi intiha kay thay...:)
saira111
10-11-2012, 04:52 AM
http://s12.postimage.org/8h4dlyx5p/578607_416462538409133_1717509425_n.jpg
saira111
10-13-2012, 11:11 AM
http://s18.postimage.org/etbmlq82h/Sad_Girl.jpg
"Tum bohat yad atay ho"
jab sham kay saye dhalte hain
jab soraj dobnay lagt ahai
jab nelay nelay amber per
ik lali c reh jati hai
jab sard hawa kay jhonkon say
dil mom sa pighal jata hai
us wakt ka alam mat pocho
TUM YAD KITNAY ATAY HO.
saira111
10-13-2012, 11:12 AM
http://s10.postimage.org/dx6le8s3t/546623_442547959116994_445400832_n.jpg
TERI azmaton se hoon be-khabr
Ye meri nazar ka qasur hai
TERI rah guzar me qadam qadam
Kahin arsh hai kahin toor hai
Ye baja hai MALIK-E-DO JAHAN
Meri bandagi main qasoor hai
Ye khata hai meri khata mgr
TERA naam b tou GHAFOOR hai
Ye bata TUJH se miloon kahan
Mujhe TUJH se milna zaror hai
Kahin dil ki shart na dalna
Abhi dil gunahon se choor hai
TU bakhsh de mere sub gunah
TU REHMAN Hai TU RAHEEM Hai ...
{Ameen}
Miss Habib
10-13-2012, 11:15 AM
kabhi arsh per... kabhi farsh per...
kabi un kay dar kabhi darbadar
GHam e zindagi tera shukriya
ham kahan kahan say guzar gaye
ملتا تھا مجھ سے وہ کبھی پل پل کے فرق سے
پھر رفتہ رفتہ فرق یہ سالوں میں آ گیا
پھر یوں ھوا کہ آنکھ سے آنسو نکل پڑے
چہرہ کبھی جو اُس کا خیالوں میں آ گیا _!!
Mere Humsafer, mere Hum-nasheen
Main ne Rab se manga to kuch nahi
Main ne jub bhi mangi koi dua!
Nahi manga kuch bhi "Tere Siwa"
Ye talab kya k mera Khuda!
Sabhi rahtain, Sabhi chahtain,
Wo ata kre tujhe manzlain,
Ye talab kya k mera Khuda!
Tujhe Bakht de,
Tujhe Taj de
Tujhe Takht de,
Mere Humsafer,
Mere Chara-ger,
Ye hai mohabbat ka khatan safer
Mere sath chalna zra soch ker
Zra dekh to mera hosla
Mere paas jo bhi wo hai tera
Nahi aur kuch bhi tere siwa
Meri Dosti
Meri Zindgi
Meri Khamoshi
Meri Be-basi,
Mera Ilm bhi
Mera Naam bhi,
K meri Subha
K meri Sham bhi
K jo mil saken mere Daam bhi,
Wo sabhi kuch tujh ko ata kre;
Mere chara gr tu yaqin to kr
Mujhe mangna to na aa ska
Main ne phir bhi mangi yehi Dua
K gwahi de ga mera Khuda
Maine jub b us se talab kya!
Nahi manga kuch bhi Mere Humsafer, mere Hum-nasheen
Main ne Rab se manga to kuch nahi
Main ne jub bhi mangi koi dua!
Nahi manga kuch bhi "Tere Siwa"
Suno aye Dost!
Kabhi Udas hojao to
Kabhi tanhai ki ratain
Tumhain ziada satain to
Kabhi titli na bole to
Aur jugnoo lout jaye to
Kabhi jab dil b bhar jaye
Koi jab sun na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se roth jain to
Kabi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahte hoay bhi khud akelay
Ro na pao to
Apni ankhon ko band karna
Mujhe awaz de dena
Aur phir mere tasawur se
Jo chaho batein keh dena
Meray kandhe pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao to
Us he duniya chale jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushion main
Hamein dil se pukaro gay …….Hamein tum sath pao gay
Dhoondo Gay Agar Mulkon Mulkon
Milnay K Nahi Naayaab Hein Hum.......:)
Tabeer hai Jiski Hasrat-o-Gham
Aey Hum'nafas Wo Khwaab Hein Hum
Aey Dard Bata Kuch Tu Hi Pata
Ab Tak Ye Muamma Hall Na Hua
Hum Mein Hai Dil-e-Betaab Nihaa'n
Ya Aap Dil-e-Betaab Hein Hum
Mein Haerat-o-Hasrat Ka Maara
Khamosh Khara Hoon Saahil Per
Darya-e-Mohobbat Kehta Hai
Aa Kuch Bhi Nahi Payaab Hein Hum
Laakhon Hi Musafir Chaltay Hein
Manzil Pay Pohonchtay Hein Do Aik
Aey Ehl-e-Zamaana Qadar Karo
Nayaab Na Hon, Kamyaab Hein Hum
Aadat Hi Bana Li Hai Is Sheher k Logon Nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena
Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena
Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena
Awaaz agar do to katra k nikal jana
Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Mohabbat chikhati rahi
Dil katra katra
Ruh ki tanhaiyon main rota raha
Aankheen tumara aks sajaye
Shabnam shabnam ro kar
Nadeyan bahati raheen
Hasarteen duub gayen
Khuwab jazere gham ka samandar ho gaye
Magar main phir bhi zinda houn
K main ne khud se naheen
Tumari amanat main khyanat ki
Tuj se kiye ahed ko pamal kiya
Tere khayal se zahen ko azaad kiya
Kyun ?
Yeh bhi tuj se keh na paoun gi
K tera dard sah na paoun gi
Is liye sare tufaan
Apni ruh main samete
Main apni maslehton ki dour se bandhi
Tareekh rahoon pe gamzen
Jane kis ghari
Koun se khad main
Mout k betah kunween main ja basoun
Orha hoa hay manay udasi ko rooh per
AB gham ka perehan karon tabdel kis tarhan
JO ham nafas tha sughra sadaf wo nahi mila
ho paye meri zat ki takmel kis tarhan
ایک پشیمانی سی رہتی ھے
الجھن اور گرانی بھی
آؤ پھر سے لڑ کر دیکھیں شاید
اس سے بہتر کوئی اور سبب مل جائے ھمکو
پھر سے الگ ھو جانے کا
http://s15.postimage.org/4oquc9fzf/beautiful_sadness.jpg
Main na mil sakoon jo tum say, , meri justujoo na karna
Tumhain, meri hi qasam hai, meri aarzoo na karna
Mujhay jis say hai muhab’bat usay hai ajab yeh adat
Kabhi munh ko phair laina, kabhi guftagoo na karna
Main nay chaha tha kisi ko, maira haal kia hai daikho
Jo kiya qusoor mainay wohi tum kabho na karna
, meri ho agar burai to na daina tum safai
Mairay saath khud ko ruswa kabhi ku-ba-ku na karna
Koi poochay badnaseebi ki hai inteha bhi koi?
To mairi misaal daina tum mujhay namoo na karna
Main na mil sakoon jo tum say, meri justujoo na karna
Tumhain , meri hi qasam hai, , meri aarzoo na karna
Anaa Tou Haar Jati Hy
Mujhy Maloom Hy
Tum Bhi
Mere Bin Reh
Nahi Saktey
Main Ye Bhi
Jaanti Hoon
Tum Ko Haar
Achi Nahi Lagti
Magar Jaana’n !!
Mohabbat Mein
Anaa Tou Haar Jati Hy . . .
http://s18.postimage.org/wrnggplrd/1816640.jpg
sochaa nahiin achhaa buraa dekhaaa sunaa kuchh bhii nahiin
maangaa khudaa se raat din tere sivaa kuchh bhii nahiin
dekhaa tujhe sochaa tujhe chaahaa tujhe puujaa tujhe
merii Khataa merii wafaa terii Khataa kuchh bhii nahiin
jis par hamaarii aankh ne motii bichhaaye raat bhar
bhejaa wahii kaghaz use hamane likhaa kuchh bhii nahiin
ik shaam kii dahaliiz par baithe rahe wo der tak
aankhon se kii baatein bahut muunh se kahaa kuchh bhii nahiin
do chaar din kii baat hai dil Khaak mein so jaayegaa
jab aag par kaghaz rakhaa baakii bachaa kuchh bhii nahiin
ahasaas kii Khushbuu kahaan, aavaaz ke juganuu kahaan
Khaamosh yaadon ke sivaa, ghar mein rahaa kuchh bhii nahiin
first one is my most fav
bohat hi zabardst collection hai Saira
thanks for beautiful sharing
saira111
10-13-2012, 11:20 AM
Thanks you Very Very much for visit and appreciated comment :)
saira111
10-13-2012, 12:23 PM
Shikast e Dil Pey bOht Dair Tak main Hansta Raha
wO haadsa Tha Keh AansOo Bhi Saath Dey Na Sakey...:)
saira111
10-13-2012, 12:23 PM
muhabbat ka nasha taari hay ab tak
kay dil ki dard sy yare hay ab tak..
saira111
10-13-2012, 01:08 PM
Iklas o wafa kay sajdon ko jis dar pay dad nahi milti
ay azam e khudi, aye gherat e Dil, us dar pay sajda kia maini..:)
saira111
10-13-2012, 02:11 PM
Hamen To Ehd-e-Ulfat Ko Qayamat Tak Nibhana Hai!
Wo Rehta Hai Ager Ham Say Rahay Bezar Bismillah!
Kaha Us Nay Mujhay Mohsin, Sar Tera Qalam Kar Dain..
Mo'dab Ho K Ham Nay Bhi Kaha Sarkaar Bismillah...!
saira111
10-13-2012, 02:16 PM
http://s11.postimage.org/515i8tk0j/186602_100000680059051_8360976_n.jpg
Mere Sehn-E-Hunar Main
Roshni Karte Khaylon Ki Tilawat Se
Mere Sher-O-Sukhan Main
Hurf-O-Manay Ki Hikayat Se
Ussey Bhi Aashna Karde
Mohabbat Moajzza Karde
Faseel-E-Dil Pe Likhi Dard Ki Pinhan Ibarat Se
Mohabbat Ko Badan Ki Akhri Sanson Ki Had Tak
Nibha Deni Ki Aadat Se
Ussey Bhi Aashna Karde;
Mohabbat Moajzza Karde
Sir-E-Muzgan Chmakte Aanson Ki Jugmagahat Se
Pus Girya Meri Jalti Aankhon Ki Hiddat Se
Sawal-E-Wisal Se Mehroom Honton Per
Duay-E-Shab Ki Hurmat Se
Ussey Bhi Aashna Karde
Mohabbat Moajzza Karde
Aazab-E-Tushnagi Sehti Hui Sanson Ki Wehshat Se
Mere Jazbon Ki Shiddat Se, Mere Hurf-E-Mohabbat Se
Meri Tanha Musafat Se; Ussey Bhi Aashna Karde
Mohabbat Moajzza Karde
saira111
10-13-2012, 02:40 PM
ab nazah ka alam hai muj par tum apni mohabat wapis lo
jab kashti dobnay lagti hai to bhooj utara kartay hain
saira111
10-13-2012, 02:47 PM
http://s11.postimage.org/5eg70ptoz/black_and_white_flower_photography_pretty_Favim.jp g]
Mukammal Do Hi Danon Pe Hy Ye Tasbeeh e Muhabbat..
Jo Aye Teesra Dana Ye Dori Toot Jati Hy...
Mutayyan Waqt Hota Hai Muhabbat Ki Namazon Ka..
Adaa Jin Ki Nikal Jaye Kaza B Choot Jati Hy...
Muhabbat Ki Namazon Main Imamat Ek Ko Sonpo..
Issy Takny Ussy Takny Se Niyyat Toot Jati Hy...
Muhabbat Dil Ka Sajda Hy Jo Hy Toheed Pe Qaaim...
Nazar K Shirk Walon Se Muhabbat Rooth Jati Hy....!!
saira111
10-15-2012, 03:06 PM
http://s11.postimage.org/6z9xbgj83/tear.jpg
na janay kyon mera kajal
jab bhi daalo aakhon main aab
aksar phail jata hai
mein roi to nahi hoon
tum to jantay ho in dino
buhat hi thand hoti hai
tab hi hai surkh meri naak
mein roi to nahi hoon
kaha to hai kay yun hi bus
bheega hai aanchal ka kona
chhoro tum fikar mat karo
mein roi to nahi hoon
nahi, udaas kab hoon mein
ziyada kam karnay say
thakawat ho hi jati hai
mein roi to nahi hoon
eid aei hai, woh aab bhi
nahi aata to na aye
ab us ki yaad mein dekho
mein roi to nahi hoon
bata dayna us ko ja kar
koi khush-fehmi na paalay
waisay hi surkh hain aankhain
mein roi to nahi hoon !!!!
saira111
10-16-2012, 10:26 PM
http://s14.postimage.org/h2pqcv3gx/578506_10151371868420668_2131638922_n.jpg
Yaadyn kankar phaink rahi hein
Main ander sy toot rahi hoon
saira111
10-16-2012, 10:33 PM
ابھی عدت کہاں پوری ہوئ ہے
محبت دوسری کیسے کروں میں
saira111
10-16-2012, 10:34 PM
لگتا ہے ابھی دل نے تعلق نہیں توڑا
یہ آنکھ تیرے نام پہ بھر آتی ہے جیسے
خود آپ ہوا روز ا ٹھاتی ہے دُعائیں
اور آپ کہیں دفن بھی کر آتی ہے جیسے
saira111
10-16-2012, 10:44 PM
تجھ سے بچھڑے ھیں تو پایا ھے بیاباں کا سکوت..
ورنہ دریاؤں سے ملتی تھی روانی اپنی _____!!
saira111
10-16-2012, 10:53 PM
شام کے اجالوں پر
اپنے نرم ہاتھوں سے
کوئ بات اچھی سی
کوئ خواب سچا سا
کوئ بولتی خوشبو
کوئ سوچتا لمحہ
جب بھی لکھنا چاھو گے
سوچ کے دریچوں سے
یاد کے حوالوں سے
میرا نام چپکے سے
تم کو یاد آۓگا
ہاتھ کانپ جائیں گے
شام ٹھر جاۓ گی
میری یاد آۓ گی
میری یاد آۓ گی
saira111
10-16-2012, 10:56 PM
Tu Bhi Auron Ki TerhaN Mujh say Kinara Kar Lay,
Sari Dunia Say Buri Hon Teray Kiss Kaam Ki Hon...?
saira111
10-16-2012, 10:59 PM
میں نے چاہا کہ زخم بھر جائیں
اور پھر زخم بھر گئے مجھ میں
saira111
10-18-2012, 11:27 AM
Badnam Zamane main Mohabbat Nahen Karte,
Dil Waly Tu Dushman Se Bhi Nafrat Nahen Karte,
Ek Bar Jisy Chaha Sada Uss K Rahe Phir,
Ham Log Amanat Main Khianat Nahen Karte,
Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar,
Zahir Kabhi Ham Apni Ebadat Nahen Karte,
Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jaiy Ga Tum Ko,
Ham Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahen Karte,
Lekhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liy Ghazlain,
Har Shakhs Pe ham Aise Enayat Nahen Karte..
saira111
10-18-2012, 11:31 AM
Koi apna aisa hua kare,
Jo shikayatein na gila kare,
Jo mere liye hi saja kare,
Jo mere liye hi bana kare,
Mein jo rooth jaon manaye woh,
Mein udas hoon to hansaye woh,
Sada chupke chupke dabe qadam,
Mere saath hi bas chala kare,
Kabhie us se mein jo door hoon,
Meri wapsi ki dua kare,
Koi apna aisa hua kare,
KOi apna aisa hua kare….!
saira111
10-18-2012, 11:39 AM
Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai,
Koi jaane ke na jane mera rab janta hai !
Jaaney kab usko faqiron pe taras aajye,
Kuchh milega e mera daste talab janta hai !
Hazaar bar usse tod ke aajaun mai rita,
Magar wo hamko bulane ka hunar janta hai !
Mai usko bhul ke zinda rahunga kaise “Saqi”,
WO meri sanso ki talab ki wajah janta hai !
Mera hasna use achha nahi lagta shayad,
Warna wo meri udasi ka sabab janta ha
saira111
10-18-2012, 11:43 AM
Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin
har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin
saira111
10-18-2012, 11:49 AM
Har ek lamha naya ik imtehan hai,
bohut na-meharban yeh aasman hai,
Dilon per barf girti ja rahi hai,
Badan ka tajziya bhi raiga hai,
main us say baat karna chahti hon,
batao to sahi woh ab kahan hai,
Anaa ki rait shamil ho gayai hai,
Hawa say guftugu ab raigan hai,
Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha,
Meri janib say itna badguman hai…
saira111
10-18-2012, 11:55 AM
Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena
Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena
Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena
Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena
Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena
saira111
10-18-2012, 11:58 AM
Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi
Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi
saira111
10-18-2012, 12:09 PM
Kahan dil chor aye ho,
bohut chup chap se rehtay ho,
Na bante ho na sanwarte ho
na koi bat karta ho
Bhari mehfil main bhi aksar
hamesha khoay rehtay ho
Udasi aankho main le kay
her ek chehre ko takte ho
Koi jab yaad aata hai to
Thundi aah bharte ho
To khul kar kion nahin kehtay
Kisi se pyar kertay ho
saira111
10-18-2012, 12:13 PM
Ana Pay Chou'tt Lagay Bhi Tu Koun Dekhta Hay
Dhowa Sa Dil Say Uthay Bhi Tu Koun Dekhta Hay
Ujaar Ghar Kay Kesi Be-Sada Dareechay Main
Koii Charag Jalay Bhi Tu Koun Dekhta Hay...
saira111
10-18-2012, 12:15 PM
Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata,
Wo yar hamara kaisa hai?
Jo bhool gaya hum ko kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai ?
Kia us ko jeewan lamho mein,
Koi lamha mera baqi hai ?
Kia uski jaagti aankhon main,
Meri yaad se phaili udasi hai ?
Kia wo bhi meri tarah yun hi,
Shab bhar jaga kerta hai ?
Kia wo bhi saya-e-rehmat main,
Hamain RAB se manga karta hai ?
Agar aisa nahi to tu hi bata,
Hum yaad use Kion kertay hai
saira111
10-18-2012, 12:34 PM
Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehti thi,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay…!
saira111
10-18-2012, 12:36 PM
aj khoya hua ik dost] bohat yaad hai
acha guzra hua waqt bohat yad aya
jo meri aankh mein kajal ki tarah rehta tha
aj kajal jo lagaya to bohat yaad aya
jo mere dil tha qareeb faqat usko hi
aj jab dil ne bulaya to bohat yaad aya
saira111
10-18-2012, 12:39 PM
Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin
Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron
Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin
Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab
Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin
Woh tou mit ker mujhey mil hi gayai rahat werna
Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin
Shaam
10-18-2012, 04:16 PM
: ) (y)
sirf akhri page parha ...
achi ghazlein hain
mauqa mila tou thora thora karkei zaroor parhooga
saira111
10-19-2012, 12:25 PM
: ) (y)
sirf akhri page parha ...
achi ghazlein hain
mauqa mila tou thora thora karkei zaroor parhooga
Thanks Shaam
saira111
10-19-2012, 12:26 PM
http://s15.postimage.org/3o8vut61n/f51ae00d8565fdbaed4e662459505cac_h.jpg
awarapan banjarapan, ek khala hai seene mein
har dum har pal bechaini hai,kaun bala hai seene mein
iss dharti par jis pal sooraj roz savere ugta hai
apne liye to thik usi pal roz dhala hai seene mein
jaane yeh kaisi aag lagi hai isme dhuan na chingari
ho na ho is bar kahi koi khwab jala hai seene mein
jis raste par tapta sooraj saari raat nahi dhalta
ishq ki aisi raah guzar ko humne chuna hai seene mein
kaha kisi ke liye hai mumkin sabke liye eeksa hona
thoda sa dil mera bura hai thoda bhala hai seene mein
dil jis cheez ko haan kehta hai zahen usi ko kehta hai naa
ishq mein uff yeh khud hi se larna ek sazaa hai seene mein
khanjar se haathon pe lakeere koi bhala kya likh paya
humne magar ek pagalpan mein khudko chhala hai seene mein
saira111
10-19-2012, 12:38 PM
bemaar hain to ab dam-e-isaa kahaN se aaye
us dil men dard-e-shauq-o-tamanna kahaN se aaye
bekaar sharaa-e-lafz-o-maanii se fayeda
jab tu nahin to shehar men tujh saa kahaaN se aaye
saira111
10-19-2012, 12:42 PM
Chalta rehne Do ye Silsila Dildaarii Ka GhaliB
IshQ Deen Nahii K Mukammal hO jaye
saira111
10-19-2012, 12:43 PM
gham e ishq kitna ajeeb hai ye junoo se kitna qareeb hai
khbi ashk plkon pe ruk gaye khbi poora drya bhaa diya
saira111
10-19-2012, 12:46 PM
Iss Shart Par khelon Gi Piyaa Piyaar ki Bazi
Jeeton tou tujay Paaon, Haaron tou piyaa Teri
Miss Habib
10-30-2012, 02:29 PM
bohat zabardst saira
~~KING~~
11-06-2012, 10:04 PM
http://text.glitter-graphics.net/mach/v.gifhttp://text.glitter-graphics.net/mach/e.gifhttp://text.glitter-graphics.net/mach/r.gifhttp://text.glitter-graphics.net/mach/y.gifhttp://dl3.glitter-graphics.net/empty.gifhttp://text.glitter-graphics.net/mach/n.gifhttp://text.glitter-graphics.net/mach/i.gifhttp://text.glitter-graphics.net/mach/c.gifhttp://text.glitter-graphics.net/mach/e.gifhttp://dl3.glitter-graphics.net/empty.gif (http://glitter-graphics.com/myspace/text_generator.php)
saira111
01-12-2013, 01:08 PM
Thanks
saira111
01-12-2013, 01:11 PM
http://s13.postimage.org/3oe2qwvxv/429107_587279551298649_1645777474_n.jpg (http://postimage.org/image/3oe2qwvxv/)
Tanhei ki wehshat se ulajhti hoi dharkan
Galiyon main guzarti hoi rut khoob hai lakin
Dil apne tasalsul se bhi mayus buht hai
Aye dil ki lagan ja Dil-E-Umeed se keh de
Ab khwab mein bhi koi kisi sy nn milta
Adeela
01-12-2013, 02:42 PM
ur choice is gud
saira111
01-19-2013, 02:47 PM
Dear Sis thank you so much for appreciation :)
me leaven this forum
as well as working on my own poetry book :)
Remember me in your prayers
Tc allz
Miss Habib
01-21-2013, 12:51 PM
Dear Sis thank you so much for appreciation :)
me leaven this forum
as well as working on my own poetry book :)
Remember me in your prayers
Tc allz
chalo jahan raho khush raho
or jaldi jaldi book complete kar k hum se zaroor share karna
me bohat miss karoon gi tumhein :swing:
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.