PDA

View Full Version : Mere Watan K Udaas Logo!

beyond_vision
09-24-2012, 12:21 AM
Mere wataay kay udaas logo,
Na khud ko itna Haqeer samjho,
kay koi tum say Hisab Maangay,
khahisho ki kitab mangay,
Na khud ko itna qaleel samjho,
Kay koi uth kar kahey yeh tum say,
wafa apni humey Luta do ,
Watan Ko Apne Humey thama do,
utho or uth kar batado unko,
Kay hum Hain Ehl-e-Emaan sare,
Na hum me koi Sanam-kada he,
Humare dil main Aik hi Khuda Hai,

Mere Watan k Udass logo...
Jhukay Saroo ko utha k Dekho ,
Qadam ko aage barha k Dekho ,
Hai Aik Taqat tmhare sar per,
Kare gi saya jo Sab Saaro per,
Qadam Qadam per jo sath degi,
Agar girre to Sambhal degi ,

Mere Watan k Udass logo,
utho chalo or watan sambhalo ...!!

Stollen Heart
09-24-2012, 12:31 AM
Mere Watan k Udass logo,
utho chalo or watan sambhalo ...!!

Kaise sanbhalon. Eik baar koshish ki thi police ne paker lya tha, ur wo thukai ki thi keh ub apna aap sanbhalta phirta hon,

beyond_vision
09-24-2012, 12:51 AM
Mere Watan k Udass logo,
utho chalo or watan sambhalo ...!!

Kaise sanbhalon. Eik baar koshish ki thi police ne paker lya tha, ur wo thukai ki thi keh ub apna aap sanbhalta phirta hon,

hahaha :)
Watan Ki rah main Qurbaniyan to deni parti hain Hazrat! In se ghabrana nahi chhaiye :)
Waise Kis tareekay se aap ne sambhalne ki koshish ki thi Jo police ne aapko pakar liya? :o

Zafina
09-24-2012, 12:53 AM
Zaabrdast.........

beyond_vision
09-24-2012, 01:03 AM
Bohat Shukriya Zafina sis for the appreciation! :)

Stollen Heart
09-24-2012, 01:09 AM
hahaha :)
Watan Ki rah main Qurbaniyan to deni parti hain Hazrat! In se ghabrana nahi chhaiye :)
Waise Kis tareekay se aap ne sambhalne ki koshish ki thi Jo police ne aapko pakar liya? :o

Wo aisa howa keh me motorbike pe aa rha tha, Traffic Police ne rok liya. documents complete thay me ke pass, per unhon ne bola keh helmat nhi pehna howa is liye chalaan hoga, me ne sorry bola to un men se eik kehne laga keh sorry se kaam nhi chalega, 100 rupees lagao, me ne kaha keh u chalan kaat do, unhon ne kaha keh motocyle bhi lockup hogi, Me ne kaha keh aisa koi law nhi hey, just u chalaan kat dalo, Bus jee phir wo me ko apne boss ke pass le gay ur pata nhi us ko apni zaban men kiya bola keh me ko bhi police station le gay, jaate hi uhon ne meri wo thukai ki keh 5000 de ke apni jaan churani pari,
Main reason jo unhon ne batai wo yeh thi keh sarkaar ke nokron ke kaam men mudakhlat ki he is lerke ne,

beyond_vision
09-24-2012, 08:36 AM

Hmmm, well curruption is one of the main reasons why we r not able to do well. I know whatever happened with u was wrong but do not stop doing the right thing. Main jaanti hoon yeh bohat mushkil hay when u r living in a totally currupt system lekin shayed aisa karne se u'll get the inner satisfaction. what u say?

(‘“*JiĢäR*”’)
09-24-2012, 09:42 AM
Very Nice Beyon Vision

Stollen Heart
09-24-2012, 01:45 PM
Hmmm, well curruption is one of the main reasons why we r not able to do well. I know whatever happened with u was wrong but do not stop doing the right thing. Main jaanti hoon yeh bohat mushkil hay when u r living in a totally currupt system lekin shayed aisa karne se u'll get the inner satisfaction. what u say?

Haan continue rakh ke eik taang tarwalon.
Bahar Begum Hum bohat kamzor log hen, is system men hum ki koi qeemat ur ahmiyet nhi he, zindagi hamari per hum apni merzi se nhi jee skte, Me k pass paisa nhi he keh apni shaadi ka soch sakon ur me ke sath rehne wala apne beite ki shaadi pe hazaron rupees ke just gole chala deta he, eik raat ki mehndi ke liye lakho rupees spend kerta he, kiya wo meri khudkushi ke asbaab peda nhi ker rha,

hum ager khamoshi se apni zindagi hi guzar len to shaid yehi hamari bohat bari himmet hogi,

beyond_vision
09-25-2012, 07:01 AM

Array yeh kiya :o Taang Turwanay ko kisne kaha? :o Mera matlab tha K agli baar Helmat bhi pehniye ga Ta K us Policeman k Paas Koyi excuse hi na rahay to arrest u or to ask bribary frm u! :)
Lolz at Bahar Begum hahaha, Acha nick hay waise
Jee To Khizan sahab, Main Maanti hoon k hamsaya galat karta hay lekin Hamsaye ka amal uskay sath hay aur aapka aap k sath? aap khud ko us se kiun compare kar rahain hain? Woh aik Hadees ka Mafhoom hay na Khuda Baaz Logo ko Dolat de k Aazmata hay aur baaz ko Kam dolat de kar, So yeh sab Aazmayesh k mukhtalif rang hain. Main Maanti hoon Gov ko Equality based policies Rakhni chhaiye lekin we know K Humari gov kaisi hay to Phir gila kaisa? Mera Mashwara aapko yehi hoga K Khud ko Doosro'n se compare karna chor dain aur Jo hay us par content rahain. Agar aisa karain gain tou I'm sure aap bhi Mr. Bahaar ban jayein gain! :)

life
09-29-2012, 11:04 PM
Zaabrdast..

beyond_vision
10-10-2012, 04:08 AM
Thanks life sis for the appreciation! :)

~~KING~~
10-24-2012, 02:49 AM
very nyc......:bu:

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.