iqra
09-23-2012, 10:46 AM
Meri pasandeda nazm lolz
Zindagi sy darty ho?
Zindagi sy darty ho?
Zindagi to Tum bhi ho
Zindagi to Hum bhi hain
Adami sy darty ho?
Adami to Tum bhi ho
Adami to Hum bhi hain
Adami Zubaa'n bhi hai
Adami bayaa'n bhi hai
iss sy Tum nahi darty?
Harf aur ma'aani kay
rishta haaey aahan sy
Adami hai wabasta
Adami ky daman sy
zindagi hai wabasta
uss sy Tum nahi darty?
unkahi sy datry ho
jo abhi nahi aei
Uss ghari sy darty ho?
Uss ghari ki amad ki
aagahi sy darty ho?
pehly bhi to guzry hain
Daur naarsaei kay
bayrayaa Khudai kay
phir bhi ye samajhty ho
heech aarzomandi
ye shab-e-zubaa'n bandi hai raah-e-Khuda wandi
magar Tum ye kia jano
Lab ager nahi hilty
haath jaag uth'ty hain
haath jaag uth'ty hain raah ka nishaa'n bn kr
Noor ki zubaa'n bn kr
haath bol uth'ty hain subh ki azaan bn kr
Roshani sy darty ho???
Roshani to Tum bhi ho
Roshani to Hum bhi hain
shehar ki faseelon par
Dyoo ka jo saya tha
paak ho gya akhir
Raat la libada bhi
chaak ho gaya akhir
khaak ho gaya akhir
esdyhaam-e-insaa'n sy fard ki nawa aei
Zaat ki sadaa aei
Raah-e-shauq main jaisy rahro ka khoo'n lapky
ek nyaaa'n junoo'n lapky
Adami chalak uthay
Adami hasy dekho:)
shehar phir basy dekho:)
haan abhi to Tum bhi ho
haan abhi to Hum bhi hain
Tum abhi say darty ho?
Zindagi sy darty ho?
Zindagi sy darty ho?
Zindagi to Tum bhi ho
Zindagi to Hum bhi hain
Adami sy darty ho?
Adami to Tum bhi ho
Adami to Hum bhi hain
Adami Zubaa'n bhi hai
Adami bayaa'n bhi hai
iss sy Tum nahi darty?
Harf aur ma'aani kay
rishta haaey aahan sy
Adami hai wabasta
Adami ky daman sy
zindagi hai wabasta
uss sy Tum nahi darty?
unkahi sy datry ho
jo abhi nahi aei
Uss ghari sy darty ho?
Uss ghari ki amad ki
aagahi sy darty ho?
pehly bhi to guzry hain
Daur naarsaei kay
bayrayaa Khudai kay
phir bhi ye samajhty ho
heech aarzomandi
ye shab-e-zubaa'n bandi hai raah-e-Khuda wandi
magar Tum ye kia jano
Lab ager nahi hilty
haath jaag uth'ty hain
haath jaag uth'ty hain raah ka nishaa'n bn kr
Noor ki zubaa'n bn kr
haath bol uth'ty hain subh ki azaan bn kr
Roshani sy darty ho???
Roshani to Tum bhi ho
Roshani to Hum bhi hain
shehar ki faseelon par
Dyoo ka jo saya tha
paak ho gya akhir
Raat la libada bhi
chaak ho gaya akhir
khaak ho gaya akhir
esdyhaam-e-insaa'n sy fard ki nawa aei
Zaat ki sadaa aei
Raah-e-shauq main jaisy rahro ka khoo'n lapky
ek nyaaa'n junoo'n lapky
Adami chalak uthay
Adami hasy dekho:)
shehar phir basy dekho:)
haan abhi to Tum bhi ho
haan abhi to Hum bhi hain
Tum abhi say darty ho?