Awara Badal
09-21-2012, 03:47 PM
Ajab sanjog hai jaana
Ye kesa rog hai jaana
Barray boorhay btaaty thay
Kaii qissay sunatay thay
Magar hum mantay kab thay
Ye sab kuch janty kab thay
Bohat pukhta irady
Kis tarah se toot jaty hai
Humain idraak hi kab tha
Humain kaamil bharosa tha
Humary sath kisi soorat bh
Aisa ho nahi sakta
Ye dil qabu se Be-qabu
Kabhi bhi ho nahi sakta
Magar phir yhoun howa jaana
Na jaane kyu howa jaana
Jgar ka khoon howa Aisa
Teri abru ki jumbash per
Tere qadmoon ki Aahat pe
Gulabi muskurahat per
Tere sar ke Isharay per
Sada -e-dilrubaana per
Chehra-e-masoomana per
Nighah-e-qatilana per
Jafa-e-e,ehrmana per
Ada-e-kafirana per
Ghaa'il ho gee hum bhi
Barray be-baak phirty thay
Maa'il ho gae hum bhi
Sakhawat karny aye thay
Aur saa'il ho gae hum bhi
Barray boorhon ki in baaton k
Qaa'il ho gae hum bhi
Mohabbat rog hai jaana
Ajab sanjog hai jaana
Ye kesa rog hai jaana
Barray boorhay btaaty thay
Kaii qissay sunatay thay
Magar hum mantay kab thay
Ye sab kuch janty kab thay
Bohat pukhta irady
Kis tarah se toot jaty hai
Humain idraak hi kab tha
Humain kaamil bharosa tha
Humary sath kisi soorat bh
Aisa ho nahi sakta
Ye dil qabu se Be-qabu
Kabhi bhi ho nahi sakta
Magar phir yhoun howa jaana
Na jaane kyu howa jaana
Jgar ka khoon howa Aisa
Teri abru ki jumbash per
Tere qadmoon ki Aahat pe
Gulabi muskurahat per
Tere sar ke Isharay per
Sada -e-dilrubaana per
Chehra-e-masoomana per
Nighah-e-qatilana per
Jafa-e-e,ehrmana per
Ada-e-kafirana per
Ghaa'il ho gee hum bhi
Barray be-baak phirty thay
Maa'il ho gae hum bhi
Sakhawat karny aye thay
Aur saa'il ho gae hum bhi
Barray boorhon ki in baaton k
Qaa'il ho gae hum bhi
Mohabbat rog hai jaana
Ajab sanjog hai jaana