View Full Version : Apne dukh Kisko sunatey ho? Kahan jatey ho?
M A H i
09-16-2012, 08:50 PM
Shab ki tanhai mein aksar khayal ata hai
Apney dukh kisko sunatey ho kahan jatey ho ?
Mausm-e-gul mein nasha hijr ka barh jata hai
Merey sab hosh churatey ho kahan jatey ho ?
Sard raton mein tumhein kaisey bhula sakta hon
Aag si dil mein lagatey ho kahan jatey ho ?
Tum to khushiyon ki rafakat key liye bichrey they
Ab agar ashk bahatey ho to kahan jatey ho ?
Sheher key log bhi yehi khayal rakhtey hain
Ab boht kam nazar atey ho kahan jatey ho ?
)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
09-16-2012, 09:11 PM
Shab ki tanhai mein aksar khayal ata hai
Apney dukh kisko sunatey ho kahan jatey ho ?
best line and nice share///

09-16-2012, 09:25 PM
Thanks G.T
Bohat khoob Mahi (Y)
Mager mujhay lagta hai k ye ghazal poori nahi or shaayad durust bhi nahi :(
Ager main ghalat na hoon to ye ghazal Saeed Waasiq ki hai or ye ghazal sahi is terhan say hai .....
Hijr mein khoon rulaatay ho, kahaan hotay ho ?
Lout ker kiun nahi aatay ho, kahaan hotay ho ?
jab bhi milta hai koi shakhs bahaaron jaisa
Mujh ko tum kaisay bhulaatay ho, kahaan hotay ho ?
Yaad aati hein akaylay mein tumhaari neendein
Kis terhan khud ko sulaatay ho, kahaan hotay ho ?
Mujh say bichray ho to mehboob-e-nazar ho kis k
Aaj kal kis ko manaatay ho, kahaan hotay ho ?
Shab ki tunhaai mein akser ye khayaal aata hai
Apnay dukh kis ko sunaatay ho, kahaan hotay ho ?
Mosam-e-gull mein nasha hijr ka berh jaata hai
Meray sab hosh churaatay ho, kahaan hotay ho ?
Serd raaton mein tumhein kaisay bhula sakta hoon
Aag si dil mein lagaatay ho, kahaan hotay ho ?
Tum to khushiyon ki rafaaqat k liye bichray thay
Ab ager ashk bahaatay ho, kahaan hotay ho ?
Sheher k log bhi WaasiQ yehi kertay hein sawaal
Ab bohat kam nazar aatay ho, kahaan hotay ho ?
M A H i
09-22-2012, 08:19 PM

:sorry:
Anyway Thank You for Completing the Poetry Wonderfully : )
Don't be Sorry Mahi :no-no:
And You Welcome Anytime
NaDaN hAsEEnA
09-22-2012, 09:36 PM
Haha. . .
V.nice. .
Noor ul huda
09-23-2012, 12:11 AM
Zabardast sharing by both of you
M A H i
09-25-2012, 02:04 PM
Thanks All.
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.