life
09-13-2012, 06:44 PM
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki Allah Subhanahu farmata hai Eh aadam ke betey kharch kar ki main bhi tujh par kharch karunga aur Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ka haath bhara hua hai raat din kharch karney se kuch kam nahi hota
Sahih Muslim, Vol 3, 2308
Soban Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya behtar dinar (ya rupya) jisko aadmi kharch karta hai wo hai jisey wo apney gharwalon par kharch karey aur isi tarah wo hai jisey wo kharch karta hai apney janwar par Allah ki raah mein, aur wo jisey wo kharch karta hai apney dosto par Allah ki raah mein.
Sahih Muslim, Vol 3, 2310
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Ek dinar (ya rupya) tumney Allah ki raah mein diya , ek Ghulam ko azad karney mein diya aur ek dinar miskeen ko diya aur ek apney gharwalon par kharch kiya to ziyada sawab us (dinar) par hai jo tumney apney gharwalon par kharch kiya
Sahih Muslim, Vol 3, 2311