PDA

View Full Version : -:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-


Owi
09-09-2012, 05:54 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-


Sheher-e-mohabbat, hijr ka mosam, ehad-e-wafa or main
Tu to is basti say khush khush chala gaya, or main ?

Tu jo na ho to jaisay sab ko chup lag jaati hai
Aapas mein kya baatein kertay raat, diya or main

Sair-e-chaman aadat thi pehlay ab mujboori hai
Teri talaash mein chal pertay hein baad-e-saba or main

Jis ko dekho teri hawaa mein paagal phirta hai
Werna hum-mushrib to nahi thay khalkh-e-khuda or main

Aik zamaanay baad FARAZ ye shair kahay main nay
Ik muddat say milay nahi hein yaar mera or main !

SHAYAN
09-10-2012, 10:12 PM
Zaberdast

M A H i
09-14-2012, 07:52 PM
NICE SHARING Owi but Tittle is Diffrent from Sharing isn't?

life
09-14-2012, 08:51 PM
nice...

Owi
09-21-2012, 02:40 PM
Thankx All
Bilkul sahi kaha Mahi
Ye tittle ghazal say alag hai
Or ye tittle is liye rakha gaya hai kiun k is mein mazeed ghazals add kernay ka iraada hai
Yaani aik taweel thread jis mein mukhtalif ghazals share hon gi !

Owi
10-04-2012, 04:19 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-


Zindagi shour say bharpoor mager sannaata
Jaisay dherkan ki aawaazon say udher sannaata

Kitni dil-kash hai meri wehum-ba-kuf tunhaai
Jaisay hungaama-e-hasti ka huner sannaata

Meri ghazlon ko jo perkho to talaatum in mein
Hurf-der-hurf mager dasht baser sannaata

Ab to manzil say mujhay koi sir-o-kaar nahi
Bhaa gaya mujh ko sir-e-raah-guzer sannaata

Yaad k sehra mein phir hijr baser ki main nay
Manzil-e-ishq kajaa, rakht-e-safer sannaata

Main bhanwar ban k uter jaoon ga dil mein kehna
Jis terhan kerta hai terweej-e-huner sannaata

Jaanay kab say hoon main ik khoukla insaan ShihaaB
Bass gaya mujh mein tab hi raat bader sannaata !

Owi
10-04-2012, 04:25 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-


Zindagi jaisay guzerti hai guzer jaanay day
Derd ko ghum k samander mein uter jaanay day

Tor laaoon ga sitaaray bhi falak say aik din
Ik zara zulf muqaddar ki sanwer jaanay day

Kasrat-e-may say madaawaa-e-alam kya keejiye
Baat mumkin hai haqeeqat ho mager jaanay day

Taa-ba-k yun hi adhoora rahay jeewan mera
Mera ho jaa yaa mujhay jaan say guzer jaanay day

Meri aankhon mein ashkon ka samander hai gull
Haan mager saber ka paymaana to bher jaanay day

Teray derr per hi guzer jaaye shab-e-ghum behter
Kon kehta hai mujhay lout k ghar jaanay day

Log kehtay hein duaaon mein asar hota hai
Main nay ker dekhi hein ik umer ShihaaB mager jaanay day !

Owi
10-04-2012, 04:28 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-


Zer-e-hayaat lutaaoon ga chala jaaoon ga
Main apnay zakham sajaaoon ga chala jaaoon ga

Alam uthaaye furaat-e-sukhan pay pohancha hoon
Main baazoo apnay kataaoon ga chala jaaoon ga

Bas itni dair ko rukna hai raah-e-ulfat mein
Zameen pay ashk giraaoon ga chala jaaoon ga

Wafa k dasht mein thehroon ga saans laynay ko
Phir apni laash uthaaoon ga Chala jaaoon ga

Libaas-e-ghum ko pehen ker jahaan mein aaya hoon
Kafan ka rizq kamaaoon ga chala jaaoon ga !

Owi
10-04-2012, 04:36 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-


Zameen pay paoon hein or aasmaan pay sir mera
Ye kaainaat nahi ban saki hai ghar mera

Main nangay paaoon bohat dair ghoomta raha hoon
Tumhaaray sheher ki mitti mein hai asar mera

Tum apnay jism k ik konay mein paray rehtay
Hua na hota ager is taraf guzar mera

Jo eent ubhri thi deewaar say zara baahir
Lahoo-lahaan kiya hai us hi nay sir mera

Glass paani ka main bhar k saath rakhta hoon
Yehi to hai jo ta'arruf hai mukhtasir mera

Chiraagh mujh mein hai yaa main chiraagh mein hoon ShihaaB
Laga hua hai tamaasha idher udher mera !

Owi
10-04-2012, 04:40 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-


Abhi sooraj nahi dooba zara si shaam honay do
Main khud hi lout jaaoon ga mujhay naa-kaam honay do

Mujhay bad-naam kernay k bahaanay dhoondtay ho kiun ?
Main khud ho jaaoon ga bad-naam pehlay naam honay do

Abhi mujh ko nahi kerna hai aitayraaf-e-shikast
Main sab tasleem ker loon ga ye cherchaa aam honay do

Meri hasti nahi anmol phir bhi bik nahi sakta
Wafaayein baich layna per zara neelaam honay do

Naye aaghaaz mein hi hosla kiun tor bethay ho
Jeet jaao gay tum sab kuch zara anjaam honay do !

M A H i
10-10-2012, 05:41 PM
Tor laaoon ga sitaaray bhi falak say aik din
Ik zara zulf muqaddar ki sanwer jaanay day


Chiraagh mujh mein hai yaa main chiraagh mein hoon ShihaaB
Laga hua hai tamaasha idher udher mera !


Abhi sooraj nahi dooba zara si shaam honay do
Main khud hi lout jaaoon ga mujhay naa-kaam honay do



Very Nice Thread Owi,
All Shairy sharing is Beautiful
keep posting New poetries

Owi
10-14-2012, 04:26 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-


Bikhray bikhray rehtay ho
Kya kya sehtay rehtay ho

Tum ko jaanay kya ghum hai
Her dam hanstay rehtay ho

Rasta hai na manzil hai
Phir bhi chaltay rehtay ho

Jee uthnay ki koshish mein
Akser mertay rehtay ho

Taanay bikhray khuwaabon k
Ab tak buntay rehtay ho

Apni baaton per khud hi
Uljhay uljhay rehtay ho

ShihaaB jee is duniya say
Tum bhi dertay rehtay ho !

Owi
10-14-2012, 04:26 PM
Aik aik post ko ghour say perhnay
Or us ko pasand kernay k liye
Aap ka bay-had shukriya Mahi !

Owi
11-05-2012, 03:10 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
( 1 )


Ghar chor aaye gaaon k rastay bhula diye
Us ki talab nay paaoon bhi pagal bana diye

Poochi thi apnay yaar ki main nay koi pasand
Aahistagi say raat nay mujh say kaha, diye

Berkhaa k shaamiyaanay say baahar nadi k paas
Us nay hein apni dhoop say perday utha diye

Keh do shab-e-siyaah say lay aaye kaalakein
Haathon pay rakh k nikli hai khalq-e-khuda diye

Hum nay jala liya hai dilon k chiraagh ko
Kitnay bujha sakay gi zameen per hawa diye

Ik shour sa bapa hai maraasim ka sheher mein
Us nay nadi k dono kinaaray mila diye

Baalon mein meray phair k kuch dair ungliyaan
Kuch naqsh dil ki rait per us nay bana diye

Us k kamaal-e-zabt ki ShihaaB khair ho
Kaisay tamaam wasl k lamhay bhula diye !

Owi
11-05-2012, 03:14 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
( 2 )


Bheega her aik lafz jo aansoo baha diye
Main nay kitaab-e-zeest k purzay uraa diye

Kaisa ajab dhuwaan ye nawaaon say hai uttha
Kis k labon nay meray naghmay jala diye

Shikway gilay sab aaj teray muntazir rahay
Tu nay sunay to sun k hansi mein uraa diye

Us nay kamaal-e-shoq say dekha meri taraf
Main nay to aaino k sab hi fun jala diye

Din ka sukoon raat ki neendein jab urr gaeen
Umer-e-rawaan nay hijr k lamhay bhula diye

Taqdeer ka ye khail nahi, hai adaa teri
Ujray huway naseeb jo mujh ko thama diye !

Owi
11-05-2012, 03:32 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
( 3 )


Jis nay hamaari saans pay pehray bitha diye
Hum nay us hi ko piyaar k naghmay suna diye

Basti mein aik ghar tha shareekon k naam ka
Dushman nay dushmani mein sab hi ghar jala diye

Kis nay chura liya hai falak ka dharakta dil
Or kis nay aasmaan say taaray gira diye

Un mein say aik taalib-e-khairaat main bhi tha
Dehleez say faqeer jo tu nay uthaa diye

Main khaak ishq khailta is khaar-zaar mein
Us nay tahaffuzaat hi pehlay bata diye

Us nay bhi hum ko aankh say aakhir gira diya
Hum nay bhi apni aankh say aansoo gira diye

Ik wo k jis k ghar mein sitaaray uter gaye
Ik main tamaam raat banaata raha diye

Main merr gaya to dasht bhi roye ga dekhna
Ik roz khud jalaaye gi aa ker hawa diye

Aai hai mout bhaag k jaaoon kidher ko main
Aasaab us nay saaray k saaray thaka diye

Hum ko hamaari raat ki tareekiyaan aziz
Lay jaa kaheen pay or yahaan say utha diye

Matt poochiye hamaaray muhaafiz ki doston
Hum ko tunha dekh ker nashter chala diye

Dekhi jo aik laash parinday ki taar per
Main nay bhi shaakh-e-dil say parinday ura diye !

Owi
11-05-2012, 03:42 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
( 4 )


Kitnay baras firaaq k yun hi ganwa diye
Umer-e-rawaan ki taiz nadi mein baha diye

Phoolon say mukuraatay huway pur-gudaaz log
Kis terhan aik derd nay patther bana diye

Us nay bhi rakh diya yun hi lamhon ko taaq per
Main nay bhi kuch nuqoosh banaaye mita diye

Kuch zakham zakham shaam nay gohna diye khayaal
Kuch burf-zaar lahjon nay aansoo jala diye

Pairon pay sir-saraati hui chaandni k paas
Dil nay kisi ki yaad k manzer bicha diye !

Owi
11-05-2012, 03:47 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
( 5 )


Kya kya ni'amm na tu nay a baar-e-khuda diye
Shoq-e-badee-e-kaar mein hum nay ganwa diye

Hum nay to mannaton k bhi dhaagay berha diye
Jaa, ishq k mazaar pay ab tu cherha diye

bazaar-e-shaam per na hui hashar tak seher
Shamsun-nihaar nok-e-sinaa per saja diye

Her soo faqat hawas ki dukaanein theen khul rahi
Yaaron nay karobaar-e-mohabbat berha diye

Hum nay udoo k saamnay khud ko kaha tera
Us nay hamaaray saamnay guthnay tika diye !

Owi
11-05-2012, 03:50 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
( 6 )


Yun zindagi k maani kisi nay bata diye
Num rait pey do hurf likhay or mita diye

Dushman say haar jeet ka kerna tha faisla
To waapsi k hum nay sab hi pull jala diye

Tujhay bakhsh yaa na bakhsh tujhay ikhtiyaar hai
Guzrein gay teray derr say na hum bin sada diye

Kaisay kahoon k kitna wo khul ker mila hai aaj
Sherm-o-haya k saaray kabooter ura diye

ShihaaB un say koi shikaayat nahi rahi
Aankhein mileen to dheeray say wo muskura diye !

Owi
11-05-2012, 03:53 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
( 7 )


Tajdeed-e-ishq-e-yaar nay ghunchay khila diye
Shoq-e-rafoo nay zakham naye or laga diye

Subha-e-tarab k naam pay naaray laga k phir
Us nay chiraagh sheher k saaray bujha diye

Dash-e-wafa mein dekh, kahaan say kahaan talak
Shoq-e-safar nay paaoon k chaalay berha diye

Manzil ki justujoo gai, zaad-e-safar gaya
Gard-e-safar nay raastay ghar k bhula diye

ShihaaB bayaaz-e-derd say kuch shair to suna
Muddat hui hai zakham-e-wafa ko hawa diye !

Owi
11-05-2012, 04:51 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
( 8 )


Jab doston nay zakham mujhay jaa-ba-jaa diye
Main nay kitaab-e-zeest k purzay ura diye

Roshan huway chiraagh teri yaa k jun-hi
Aankhon mein aks derd k sab jhilmila diye

Tha waqt-e-imtayhaan ye dono k waastay
Tum nay hawa k darr say diye kiun bujha diye

Hum nau gulaab rakhay thay raahon mein yaad ker
Tum nay hamaari raah mein kaantay bicha diye

Ehwaal mera poochnay shab chaand aa gaya
Main nay idher udher k fasaanay suna diye

Ik zal-zalah jo rooh k ander guzer gaya
Us nay sutoon-e-dil meray saaray hila diye

Hum nay kiya piyaar ka jab tazkirah kabhi
Jaanay wo muun hi muun mein kya bar-bara diye

Lagti hai hum ko piyaari teri laaj baa-khuda
baanhon mein aaye bhi nahi or kas-masa diye

Hum nay kahay hein shair bhi phir hoslay k saath
Kaandhay tum nay piyaar say jab thap-thapa diye !

Owi
11-05-2012, 04:56 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
( 9 )

Baad-e-samoom nay mujhay tohfay ye kya diye
Jaltay huway diye meray us nay bujha diye

Jis k liye main likhta wohi jab nahi raha
Main nay kitaab-e-zeest k purzay ura diye

Yaadon k wo nuqoosh mujhay thay bohat aziz
Hurf-e-ghalat samhaj k jo us nay mita diye

Main dekhta hi reh gaya or kuch na ker saka
Jhunjulaa k saaray khat meray us nay jala diye

Us ka amal ye mujh ko laga sakht na-gawaar
Ehsaan ker k us nay mujhay jab jata diye

Main jo samhaj raha tha wo tha us say mukhtalif
Perday meri nigaah k us nay utha diye

Zindah tha jab to us nay meri qadar kuch na ki
ShihaaB guldastay us nay meri qabar per saja diye !

Owi
11-05-2012, 04:59 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
( 10 )


Us nay niyaaz-o-naaz k jalway dikha diye
Main nay kitaab-e-zeest k purzay ura diye

Us ki nigaah-e-naaz ka aisa hua asar
Main nay jo zindagi k sabaq thay bhula diye

Her her qadam pay gir k sambhalta chala gaya
Jeenay k us nay mujh ko saleeqay sikha diye

Us k tasaw'wuraat mein main aisa kho gaya
Weham-o-gumaan k jitnay thay perday hata diye

Taqdeer nay diya meri tadbeer ka wo saath
Bigray jo kaam meray thay us nay bana diye

Main nay unhein bata diya ShihaaB hai mera naam
Sun ker unhon nay apnay diye sab bujha diye !

Owi
11-05-2012, 05:04 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
( 11 )


Pehlay to apni umer k lamhay ganwa diye
Phir ye sitam samhajnay mein zamaanay laga diye

Hum ko wafoor-e-shoq k kuch tajurbaat nay
Aadaab-e-zeest, paas-e-wafa sab sikha diye

Andaazah khoob hai hamein raah-e-sha'oor ka
Kuch ghum nahi diye jo kisi nay bujha diye

Kaisay guzaari kis terhan guzri kuch na poochiye
Jeenay ki aik rasm thi jee ker dikha diye

Aahein bhi theen labon k tabassum k aas paas
Dil muzmahil jo ho gaya lab muskura diye

Hum ko jawaab apnay sawaalaat ka mila
Laykin naye sawaal bhi us nay utha diye

Kuch hurf mit gaye thay ye such hai mager ye kya
Safhay kitaab-e-zeest k saaray jala diye ?

Deriya dili ka un ki koi ziker kya karay
Qatray ka tha sawaal samander baha diye

Ab muntazir hein hum haram-e-bay-shumaar k
Ghum bhi to daynay waalay nay bay-intayha diye

ShihaaB saleeqa aa gaya tarz-e-hayaat ka
Khouf-e-fana nay khoob ye ders-e-baqa diye !

Owi
11-05-2012, 05:07 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
( 12 )


Main to jala k raah mein rakhta raha diye
Guzra her aik shakh bana raasta diye

Ik baar to hawa nay jalaaye yahaan chiraagh
Ik baar phir chiraagh hawa nay bujha diye

Dekho ye saaray piyaar mohabbat k roop hein
Chanda, chiraagh, dhoop, shajar, ghounsla diye

Andha tamaam umer mohabbat k naam per
Oulaad ko jala k dikhaata raha diye

Ik baar main nay yaar say poocha jo haal-e-dil
Us nay zara sa hans k sitaaray gira diye

Zindah rahay to umer mohabbat mein kaat di
Mout aai to hawa mein parinday ura diye !

Owi
11-05-2012, 05:13 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
( 13 )

Us jaan-e-jaan say aik ta'alluq k naam per
Kuch khat hi reh gaye thay so wo bhi jala diye

Hum aik dil hi tor k pachtaaye umer bhar
Shaahon nay bastiyon k bhi naqshay mita diye

Dil k shajar pay yaar k teekhay nuqoosh k
Bethay thay jo parind wo kis nay ura diye

Kuch raftgaan k zerd hawaalon ki khair ho
Daanista hum nay waaqiye kitnay bula diye

Mashoor tha jo aahaniaasaab k liye
Hayraan hoon aaj us nay bhi aansoo baha diye

Phir muntakhib kiya hai lutairon ka raahbar
Logon nay intaykhaab k johar dikha diye

Us yaar k diye huway misray ki mouj mein
Hum nay bhi logon shair chandd gun-guna diye

Mujboor thay usool k haathon kuch is terhan
ShihaaB hum nay dost bohat say ganwa diye !

Owi
11-05-2012, 05:16 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
( 14 )


Hum sir-phiron say jeet na paaye gi a hawa
Hai tujh mein hosla to idher aa, bujha diye

Aayein huzor aayein kabhi paas bhi to aayein
Ye kya k sirf dekh liya muskura diye

Main to samhaj raha tha jalein gay tamaam raat
Laykin rahay hein saath kabhi bay-wafa diye

Taareekiyon ka us say gila hi ghalat kiya
Us nay to meray sheher k sab ghar jala diye

Roshan thi jis say bazm wo uth ker chala gaya
Phir us k baad paas meray kya bacha, diye

ShihaaB nisaab-e-jaan k waraq jab bikher gaye
Main nay kitaab-e-zeest k purzay ura diye !

Owi
11-05-2012, 05:49 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
( 15 )


Us nay jo narkh apni wafa k berha diye
Paymaan-e-ishq hum nay bhi apnay bhula diye

Daar-o-rasan ki nazer kiye hum nay chaarah-gerr
Kitnay azeem log thay hum nay ganwa diye

haasil hua na in ki rawaani say kuch hamein
Hum nay samandaron mein hi deriya baha diye

Aanch aa rahi thi in say tumhaaray wisaal ki
Aankhon nay aaino k parakhchay ura diye

Tasweer-e-yaar hum nay jala di to kya hua ?
Dil nay to us k buth bhi bana ker saja diye

Lab-basta hum jo thay to rahay hum pay taana-zann
Hum nay jo kuch kaha, to fasaanay bana diye

Un say kaheen na serd hui jab jigar ki aag
Angaaray jo bachay thay, hum hi ko thama diye

Go hein kharaab-o-khasta, zamaanay ! na hum ko chair
Hum hein wohi, jinho nay safeenay jala diye

Go is k aagay jall na saka hai koi chiraagh
Toofaan k khilaaf tu apnay jala diye

Soojha na ehal-e-bazm ko tareekiyon mein kuch
Shab bhar jalay hein bazm mein meray siwa diye


Ashk-e-rawaan ki sail pay qaaboo na aa saka
Jo band, zabt-e-ghum k thay hum nay wo dha diye

Saamaan kya mila hai bata is makaan say ?
Kuch khuwaab, zerd phool, kitaab-e-wafa diye

Meri zara si bhool ko Laghzish bana diya
Yun mera ghar jala k tujhay kya mila diye ?

Asbaab kya liya hai andhayron k waastay
Main nay sawaal poocha to us nay kaha diye

Mujh ko bujha gai theen zamaanay ki aandhiyaan
Tujh per hawa ka haath tha, tu kiun bujha diye ?

Shaam-e-wisaal aai to mehekti hawaaon nay
Shaakhon say phool lay k zameen per bicha diye

Tu bhi aseer-e-ishq hai itni si baat ko
Tu nay quboolnay mein zamaanay mein laga diye

Ghabra gaya tha dekh k apni nigaarishein
Main nay kitaab-e-zeest k purzay ura diye !

Miss Habib
11-06-2012, 12:49 PM
Log kehtay hein duaaon mein asar hota hai
Main nay ker dekhi hein ik umer ShihaaB mager jaanay day !



Libaas-e-ghum ko pehen ker jahaan mein aaya hoon
Kafan ka rizq kamaaoon ga chala jaaoon ga !


Tum apnay jism k ik konay mein paray rehtay
Hua na hota ager is taraf guzar mera

Jo eent ubhri thi deewaar say zara baahir
Lahoo-lahaan kiya hai us hi nay sir mera


Abhi sooraj nahi dooba zara si shaam honay do
Main khud hi lout jaaoon ga mujhay naa-kaam honay do



Us nay kamaal-e-shoq say dekha meri taraf
Main nay to aaino k sab hi fun jala diye


Matt poochiye hamaaray muhaafiz ki doston
Hum ko tunha dekh ker nashter chala diye


Her soo faqat hawas ki dukaanein theen khul rahi
Yaaron nay karobaar-e-mohabbat berha diye


Dushman say haar jeet ka kerna tha faisla
To waapsi k hum nay sab hi pull jala diye


Jab doston nay zakham mujhay jaa-ba-jaa diye
Main nay kitaab-e-zeest k purzay ura diye


Main jo samhaj raha tha wo tha us say mukhtalif
Perday meri nigaah k us nay utha diye


Kaisay guzaari kis terhan guzri kuch na poochiye
Jeenay ki aik rasm thi jee ker dikha diye


Mujboor thay usool k haathon kuch is terhan
ShihaaB hum nay dost bohat say ganwa diye !



Ghabra gaya tha dekh k apni nigaarishein
Main nay kitaab-e-zeest k purzay ura diye !


bohat hi khoobsurat ghazlein
asia laga jaise ik hi ghazal k sab ashaar hain
zabardst Owi
thanks for beautiful sharing

Miss Habib
11-06-2012, 12:49 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-


Bikhray bikhray rehtay ho
Kya kya sehtay rehtay ho

Tum ko jaanay kya ghum hai
Her dam hanstay rehtay ho

Rasta hai na manzil hai
Phir bhi chaltay rehtay ho

Jee uthnay ki koshish mein
Akser mertay rehtay ho

Taanay bikhray khuwaabon k
Ab tak buntay rehtay ho

Apni baaton per khud hi
Uljhay uljhay rehtay ho

ShihaaB jee is duniya say
Tum bhi dertay rehtay ho !



wah lajawab

(‘“*JiĢäR*”’)
11-06-2012, 12:53 PM
Greattttttttt Thread
Jitne Bhi Alfaaz Tareef Mein Bayan Karon Kam Hain
:bu: :good: :khob:
Kuch To Bohat Hi Pasand Aye
:dilll:
Tu jo na ho to jaisay sab ko chup lag jaati hai
Aapas mein kya baatein kertay raat, diya or main
:dilll:
Meri ghazlon ko jo perkho to talaatum in mein
Hurf-der-hurf mager dasht baser sannaata
:dilll:
Main bhanwar ban k uter jaoon ga dil mein kehna
Jis terhan kerta hai terweej-e-huner sannaata
:dilll:
Tor laaoon ga sitaaray bhi falak say aik din
Ik zara zulf muqaddar ki sanwer jaanay day
:dilll:
Wafa k dasht mein thehroon ga saans laynay ko
Phir apni laash uthaaoon ga Chala jaaoon ga
:dilll:
Chiraagh mujh mein hai yaa main chiraagh mein hoon ShihaaB
Laga hua hai tamaasha idher udher mera !
:dilll:
Naye aaghaaz mein hi hosla kiun tor bethay ho
Jeet jaao gay tum sab kuch zara anjaam honay do !
:dilll:
um ko jaanay kya ghum hai
Her dam hanstay rehtay ho
:dilll:
Baalon mein meray phair k kuch dair ungliyaan
Kuch naqsh dil ki rait per us nay bana diye
:dilll:
Us nay kamaal-e-shoq say dekha meri taraf
Main nay to aaino k sab hi fun jala diye
:dilll:
Aai hai mout bhaag k jaaoon kidher ko main
Aasaab us nay saaray k saaray thaka diye
:dilll:
Pairon pay sir-saraati hui chaandni k paas
Dil nay kisi ki yaad k manzer bicha diye !
:dilll:
Hum nay to mannaton k bhi dhaagay berha diye
Jaa, ishq k mazaar pay ab tu cherha diye
:dilll:
Kaisay kahoon k kitna wo khul ker mila hai aaj
Sherm-o-haya k saaray kabooter ura diye
:dilll:
Dash-e-wafa mein dekh, kahaan say kahaan talak
Shoq-e-safar nay paaoon k chaalay berha diye
:dilll:
Hum nay kahay hein shair bhi phir hoslay k saath
Kaandhay tum nay piyaar say jab thap-thapa diye !
:dilll:
Jis k liye main likhta wohi jab nahi raha
Main nay kitaab-e-zeest k purzay ura diye
:dilll:
Her her qadam pay gir k sambhalta chala gaya
Jeenay k us nay mujh ko saleeqay sikha diye
:dilll:
Ab muntazir hein hum haram-e-bay-shumaar k
Ghum bhi to daynay waalay nay bay-intayha diye
:dilll:
Ik baar main nay yaar say poocha jo haal-e-dil
Us nay zara sa hans k sitaaray gira diye
:dilll:
Us yaar k diye huway misray ki mouj mein
Hum nay bhi logon shair chandd gun-guna diye
:dilll:
Main to samhaj raha tha jalein gay tamaam raat
Laykin rahay hein saath kabhi bay-wafa diye
:dilll:
Un say kaheen na serd hui jab jigar ki aag
Angaaray jo bachay thay, hum hi ko thama diye
:dilll:.
:good:
Thanks 4 Sharing

Owi
11-08-2012, 04:55 PM
Thank You Miss Habib
And Thankx Jigar

M A H i
11-15-2012, 07:57 PM
Baalon mein meray phair k kuch dair ungliyaan
Kuch naqsh dil ki rait per us nay bana diye

Us k kamaal-e-zabt ki ShihaaB khair ho
Kaisay tamaam wasl k lamhay bhula diye !


Us nay bhi rakh diya yun hi lamhon ko taaq per
Main nay bhi kuch nuqoosh banaaye mita diye


Tajdeed-e-ishq-e-yaar nay ghunchay khila diye
Shoq-e-rafoo nay zakham naye or laga diye
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
ShihaaB bayaaz-e-derd say kuch shair to suna
Muddat hui hai zakham-e-wafa ko hawa diye !

Jis nay hamaari saans pay pehray bitha diye
Hum nay us hi ko piyaar k naghmay suna diye


say kaheen na serd hui jab jigar ki aag
Angaaray jo bachay thay, hum hi ko thama diye

:bu:
Thanks For Sharing Your Awesome Collection
Keep Updating . . .

Owi
12-04-2012, 04:34 PM
Thank You So Much Mahi !

Owi
12-04-2012, 04:39 PM
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-


To ye deewaangi kuch bhi nahi kya
Mohabbat waaqai kuch bhi nahi kya

Chalo maana k tum jee rahay ho
Mager aamaadgi kuch bhi nahi kya

Ye hum jo cheekhtay phirtay hein din bhar
Ye such ye aagahi kuch bhi nahi kya

Ye tu nay kya kaha ik baar phir keh
Khumaar-e-khud-sari kuch bhi nahi kya

Theher ker soch tu kya keh raha hai
Shihaab us ki gali kuch bhi nahi kya !

Miss Habib
12-05-2012, 11:23 AM
Ye hum jo cheekhtay phirtay hein din bhar
Ye such ye aagahi kuch bhi nahi kya

bohat khoobsurat owi

life
06-28-2014, 08:58 PM
nice.......

Saraabi
07-16-2014, 01:52 AM
khobsorat thread n nice collection ....

Great (Y)

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.