RiyazA
09-07-2012, 12:51 AM
http://urdu.aaj.tv/image/stories/117565_story.jpg
Mai pehle se jaanta tha ke is bechari ki saath jo kuch hua hai, dushmani se hua hai. Geo news main main ne padha ke Ramsha par us ki muhale ke imam, Khalid Jadoon ne ilzaam lgaya tha aur kuch shawahed ko jhooti bayan dene ko kaha tha. Jab yeh sab saamne aaya to Khalid Jadoon ghaayeb ho gaya. Magar ab police ne us ko pakar liya hai aur woh hirasat main hai. Khabar main yeh bhee aaya hai ke is imam ne 3 maheene pehle ek khutba main logon ko kaha tha ke is muhale se saare saare Maseehion ko nikaalna chaahiye. Aise imamein jis ko Islam ke samaj hee nahin, hum kya karein. Agar yeh ek sacha Muslmaan hota to is ko pata hota ke Islam ke paydayesh main koi bhee Muslmaan kisi Maseehi ko be ghar nahain kiya tha. Hamara Hazrat Rasool (SAW) se le kar Sahaba-e Keraam tak aur Muslmaan heroes jaisa Salahuddin tak, koi bhee Muslmaan fatah ke waqt kisi ko bhee un ke muhala, ya gaon, ya sheher se nikaala nahin tha. Aise hee imamon ke wajah se jo jahilon se bhee bad tar hain, Islam ke naam ko daagh laga jaata hain. Hum ko aise imamon se hoshiyar rehna chaahiye kyon ke jab tak hum in ki baaton ko maan le, hum bhee jaahil kehlaane ke qabil hain.