Miss Habib
08-23-2012, 12:35 PM
http://www.thecrazypoint.com/wp-content/uploads/2012/08/Pakistan-Flag-Pictures-5.jpg
WATAN MERA HAWALA HAI
Kisi ne sach kaha hai ye
Mohabat or kahani mein
Koi rishta nahi hota
Magar meri mohabat to
Kahani hai kahani hai
Mohabat ki kahani mein
Koi raja na rani hai
Na shehzada na shehzadi
Mohabat ki kahani to
Musafat he musafat hai
Mohabat ki musafat hai
Zaroorat ki musafat mein
Musafer wapsi k sary imkaan paas rakhta hain
Mohabat ki musafat mein
Musafer k palatney ka koi rastaa nahi hota
Wo sari kashtiyaan apni
Jala dety hain sahil pr
K na'umeed hone pr
Palatna bhi agr chahain
To wapis jaa nahi paayein
Waheen garqaab ho jayein
Mohabat ki kahani mein musafat ki basharat thi
Musafat tay hui to phir
Jala daleen theen main ne bhi
Waheen sb kashtiyaan apni
Jahaan pehla parrao tha
Shikasta jism tha mera
Mery seeny mein ghaao tha
Bharrakta ek alaao tha
Kisi ki chaah mein sb kuch luta kr
Aa gaya tha main
Kahaan pr aa gaya tha main?
Jahaan pehchaan ka apni
Hawala he na milta tha
Hawadas k thaperroon se
Sanbhala he na milta tha
Shab'e'tera sy nikla tha
Ujaloon ki tamanna mein
Mgr mujh ko kisi jaanib
Ujala he na milta tha
Mger himat nahi hari
Mger himat nahi hari
Yahaan tk aa gaya hoon main
Jahaan hr soo ujala hai
Meri pehchaan hy apni
Watan mera hawala hai
Mujhy is ne sanbhala hai
Isy main ne sanbhala hai
Yehi mera hawala hai
Yehi tera hawala hai
WATAN MERA HAWALA HAI
Kisi ne sach kaha hai ye
Mohabat or kahani mein
Koi rishta nahi hota
Magar meri mohabat to
Kahani hai kahani hai
Mohabat ki kahani mein
Koi raja na rani hai
Na shehzada na shehzadi
Mohabat ki kahani to
Musafat he musafat hai
Mohabat ki musafat hai
Zaroorat ki musafat mein
Musafer wapsi k sary imkaan paas rakhta hain
Mohabat ki musafat mein
Musafer k palatney ka koi rastaa nahi hota
Wo sari kashtiyaan apni
Jala dety hain sahil pr
K na'umeed hone pr
Palatna bhi agr chahain
To wapis jaa nahi paayein
Waheen garqaab ho jayein
Mohabat ki kahani mein musafat ki basharat thi
Musafat tay hui to phir
Jala daleen theen main ne bhi
Waheen sb kashtiyaan apni
Jahaan pehla parrao tha
Shikasta jism tha mera
Mery seeny mein ghaao tha
Bharrakta ek alaao tha
Kisi ki chaah mein sb kuch luta kr
Aa gaya tha main
Kahaan pr aa gaya tha main?
Jahaan pehchaan ka apni
Hawala he na milta tha
Hawadas k thaperroon se
Sanbhala he na milta tha
Shab'e'tera sy nikla tha
Ujaloon ki tamanna mein
Mgr mujh ko kisi jaanib
Ujala he na milta tha
Mger himat nahi hari
Mger himat nahi hari
Yahaan tk aa gaya hoon main
Jahaan hr soo ujala hai
Meri pehchaan hy apni
Watan mera hawala hai
Mujhy is ne sanbhala hai
Isy main ne sanbhala hai
Yehi mera hawala hai
Yehi tera hawala hai