View Full Version : : Dua
Al Quran: Tumhara parwardigar fermata hai tum dua mujh say mangu main tumhari dua co qabool karonga, jo log meri ibadat (dua) say takabur kertay hain woh anqareeb zaleel ho ker jahannum main dakhil hon gay.
(Al-Momin - 60)
Al Quran: Jab meray banday app say meray mut'alik Pochain (to keh de jeye) main qareem hon. Jab dua kernay wala dua kerta hai to main dua qabool kerta hon. Pas In co bhi chahye k woh meray hukam co qabool kerain aur mujh per he emaan rakhain ta'k bhalai payen
(Al-Baqrah 186)
Al-Quran: Usi (Allah) co pukarna he haq hai. Mushrik jin co us k siwa pukartay hain woh un ke dua qabool nahin ker saktay. (Un ke misal us piyasay ke see hai) jo apnay hath pani ke taraf pheela rakhay taa k woh us ka mu'n tak a pohcnhay magher woh kabhi us k mu'n tak nahi pohcnhay ga isi terhan kafiro'n ke dua bayqar chali jati hai.
(Al-Raad 14)
Adeela
10-16-2012, 12:40 AM
bohat aala
MASOOM GIRL
10-19-2012, 05:03 PM
Jazak ALLAH...
Cute Anam
10-22-2012, 12:18 AM
JazakALLAH...
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.