Awara Badal
08-10-2012, 11:07 AM
Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda
To Phir kis Cheez ki Hum mai Kami hai
Jahan se Phool toota tha waheen pe
Kali si ik Numayaan ho rahi hai
Jahan Bijli giri thi ab Wohi Shakh
Naye Pattay Pehan ke tan gyee hai
Khizaa'n ruk saka kab Mausam-e-Gul
Yahi Asl-o-Usool-e-Zindagi hai
Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda
To Phir kis Cheez ki Hum mai Kami hai
Khandar se kal jahan bikhray paray thay
Woheen se aaj Dhuwain uth rahay hain
Jahan pe Zindagi Mabhoot si thi
Waheen pe Aaj Naghmay Goonjtay hain
Yeh Sannatay ki leh pe tan ki Hijrat
Yahi Asl-o-Usool-e-Zindagi hai
Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda
To Phir kis Cheez ki Hum mai Kami hai
Nahi Dastagi ka Khauf
Jab tak Shuaain Barf par Larzaan rahain gi
Andheray jam nahi Payen gai
Jab tak Chiraghon ki Lawain Raqsaa'n rahain gi
Bashar ki Apni hi Taqdeer se Jang
Yahi Asl-o-Usool-e-Zindagi hai
Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda
To Phir kis Cheez ki Hum mai Kami hai
To Phir kis Cheez ki Hum mai Kami hai
Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda...........
To Phir kis Cheez ki Hum mai Kami hai
Jahan se Phool toota tha waheen pe
Kali si ik Numayaan ho rahi hai
Jahan Bijli giri thi ab Wohi Shakh
Naye Pattay Pehan ke tan gyee hai
Khizaa'n ruk saka kab Mausam-e-Gul
Yahi Asl-o-Usool-e-Zindagi hai
Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda
To Phir kis Cheez ki Hum mai Kami hai
Khandar se kal jahan bikhray paray thay
Woheen se aaj Dhuwain uth rahay hain
Jahan pe Zindagi Mabhoot si thi
Waheen pe Aaj Naghmay Goonjtay hain
Yeh Sannatay ki leh pe tan ki Hijrat
Yahi Asl-o-Usool-e-Zindagi hai
Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda
To Phir kis Cheez ki Hum mai Kami hai
Nahi Dastagi ka Khauf
Jab tak Shuaain Barf par Larzaan rahain gi
Andheray jam nahi Payen gai
Jab tak Chiraghon ki Lawain Raqsaa'n rahain gi
Bashar ki Apni hi Taqdeer se Jang
Yahi Asl-o-Usool-e-Zindagi hai
Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda
To Phir kis Cheez ki Hum mai Kami hai
To Phir kis Cheez ki Hum mai Kami hai
Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda...........