View Full Version : --*-- Himesh Ka Devaan --*--
Hussain
03-01-2009, 11:45 AM
:salam:
friends umeed hai sab khairiat se hoon gy
well iss thread me mein apna collection of poetries
share kru ga
umeed krta hoon
app sab ko bht pasand aye ga...(sowhat)
~~*~~ NOTE ~~*~~
if u lyk my poetries den press da button thanx
otherwise i need no comments 4rm u...
shukriaa...
------------------------------------------
Hussain
03-01-2009, 11:48 AM
Bakhshish Teri Rehmat Ki Taraf Dekh Rahi Hai
~~Mohsin~~ Tere Darbar Mein Chup Chap Khara Hai..
Hussain
03-01-2009, 11:49 AM
hum nend ke shoqin zyada tu nahi hain ~~Faraz~~
kuch khuwab na dekhein tu ghuzara nahi hota..
Hussain
03-01-2009, 11:50 AM
*~*Dosti apni bhi asar rakhti hai FARAZ*~*
~*~Bht yad aayengay zara bhool ker to dekho~*~
Hussain
03-01-2009, 11:51 AM
has has k sunati hai jahan bhar ke fasane ~~Mohsin~~
poocho tere bare mein tu ro deti hai barish..
Hussain
03-01-2009, 11:51 AM
gham e zindagi ne lakar humein us taraf hai mara
jaha us taraf kinara na hai is taraf kinara...
Hussain
03-01-2009, 11:52 AM
http://img19.imageshack.us/img19/5716/333in8.jpg
Hussain
03-01-2009, 11:53 AM
mout ki aakhri hichki ko zara ghor se sun
sari hasti ka khulasa is awaz mai hai..
Hussain
03-01-2009, 11:53 AM
Hazaroon daagh hai is chand main
phir bhi dil is k liye kuen machalta hai...
Hussain
03-01-2009, 11:54 AM
Na bas me zindagi is k na qaboo moot per is ka
mager insan phir bi kab khuda hony say derta ha..
Hussain
03-01-2009, 11:56 AM
Humain maloom hai k jeet bhi akhir humari hai
so Hum waqti shikaston pe dil chota nahi karty..
Hussain
03-01-2009, 11:57 AM
na mere dil ko skoon hai na meri nazar ko
mein kaise kehdoon k muje tera intzar nahi...
Hussain
03-01-2009, 11:58 AM
na jany kon ha jis ki talash may nasir
her aik sans mera ab safar may rahta ha..
Hussain
03-01-2009, 11:58 AM
Hum Muhabbat mein b Toheed k qail hain Fraz
Aik he Shakhs ko Mehboob banaiy rakhna ...
Hussain
03-01-2009, 11:59 AM
Hum bi kuch kuch dunyadari seekh gay hain
baat barhy to hum bi baat badal dete hain...
Hussain
03-01-2009, 12:00 PM
Is tashnagi k sath ke aay ge ab bahar
hum ny tumam umer bita de khaza k sangh...
Hussain
03-01-2009, 12:01 PM
Rabty had se barh jayin tu ghum milty hen
is iye hum auron se zara kam miltay hen..
Hussain
03-01-2009, 12:02 PM
Mai Acha Bura Jesi B HooN
Mai Khud Ko NahiN Dektha
AuroN Ki Nazar Se
Hussain
03-01-2009, 12:03 PM
Hum ne dunya ko bari door tak dekha hai,
Ghum se le kar saroor tak dekha hai.
Koi bhi na milla zamane mein mukhlis,
Aajzi se le kar gharoor tak dekha hai..
Hussain
03-01-2009, 12:06 PM
http://www.friendskorner.com/forum/photopost/data/500/medium/Dil-ka-aalam-hai1.jpg
Hussain
03-01-2009, 12:10 PM
Ab Jo Lootey Ho Itnay Saloon Main
Dhop Ot'rri Hoyee Hai Baloon Main
Tum Meri Ankh K Samandar Main
Tum Meri Roh K Chaloon Main
Phool Hee Phool Khel Uthay Mujh Main
Ye Kon Aya Mere Khayaloon Main
Main Ne Jee Bhar K Tujh Ko Dekh Leya Hai
Tujh Ko Uljha K Kuch Sawaloon Main
Meri Khuwaish Ki Kayenat Bhi Tu
Tu Hee Dukh Dard K Hawaloon Main
Jab Tera Dostoon Main Zeekar Ayee
Taes Uth'ti Hai Dil K Chaloon Main
Tum Say Abad Hai Ye Tanhayee
Tum Hee Roshaan Ho Ghar K Jaloon Main
Sanwali Shaam Ki Taran Hai Wo
Wo Na Go'roon Main Hai Na Kaloon Main
Kya Usay Yaad Araha Hai WASI
Rang Obhray Hain Us K Galoon Main..!
Hussain
03-01-2009, 12:12 PM
Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya
Kuch din to mera aks raha aaine pe naqsh
phir youn huwa ke khud mera chehra badal gaya
jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay
to kiya huwa jo hum say zamana badal gaya
qadmon talay jo rait bichhi thi woh chal pari
us nay chhuraya haath to sehra badal gaya
koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay, kiya kiya badal gaya
ik sarkhushi ki moj nay kaisa kiya kamal
wo bay-niaaz saara ka saara badal gaya
uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan
parda utha to saara tamasha badal gaya
hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya
kehne ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya
shayad wafa kay khel se uktaa gaya tha who
manzil kay paas aake jo rusta badal gaya
qayem kisi bhi haal pay dunya nahin rahi
taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya
manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya
andar kay mosamon ki khabar us ko ho gayee
us no-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya
aankhon mein jitna ashk thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraya or meri dunya badal gaya
apni gali main apna hi ghar dhoondhtay hain log
Amjad~ ye kon sheher ka naqsha badal gaya ..
Hussain
03-01-2009, 12:13 PM
tujhy ishaq ho khuda kary
koi usko tujhsy juda kary
tery hont hansna bhool jain
teri ankh purnam raha kry
tou osko dekh k ruk pary
wo tujhko dekh k chal pary
tou uski batain kis kry
tou oski batain suna kry
tery khawab toot k bikhar jain
to kirche kirche chuna kry
tou nagar nagar phira kary
tou gali gali sada kry
tujhy ishaq ho pher yaqeen ho
usy tasbion main parha kry
main kahon k ishaq dhoong hai
to nahi nahi kia kry...
Hussain
03-01-2009, 12:14 PM
bachpan k dukh b kitny achy hoty hain
tab to sirf khilony toota krty thy,
wo khushian b kaisi khushian theen
titlee k par nooch k uchla karty thy,
paon mar k khud pani main
apni nao app doboya karty thay,
ab sochain to choot c parti hai dil par
app bana k app khilony tora karty thay,
choty thay makar o fareeb b chooty thay
dana daal k chiriyan pakra karty thay,
apny jal jany k ehsas b na tha
jalty shooloon ko chaira karty thay,
khushboo k urty he kiun murjhaya phool
kitny bhooly paan say pocha karty thay,
aaj b to tabeerain laho rulati hain
bachpan main jo ham sapny dekha karty thay,
ab to aik ansu b ruswa kar jata ha
bachpan main gee bhar k roo lia krty thay ...
Hussain
03-01-2009, 12:15 PM
Bichra to dard rooh ki gahraiyun main tha
Ho k juda bhi tu meri tanhaiyun main tha
Deewangee ko meri ishq mantay hain sab
Ruswa tu bhi saath meri ruswaiyun main tha
Ankhon say ansu'on k sath arman nikal gaye
Yeh kaisa dard aaj in shehnaiyun main tha
Tujh ko Pa k dil ko kabhi chain na mill saka
Kitna sakoon haye un judaiyun main tha
Fursat milay to dekh kabhi meri simt bhi
Aasra tha tujh pay, teri khudaiyun pay tha
Ban kay deewana aaj jo phirta hai darbadar
Hai yaad kya tujhe tere shaidaiyun main tha
Raton say main daron k neendon main a na jaye
Subah bhi meri dhoop ki parchaiyun main tha
"Wasi" tu jis ka naam dill main basaye hai
Badnaam wo gali gali harjaiyun main tha..
Hussain
03-01-2009, 12:16 PM
Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya ..
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya..
Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai..
ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya..
Zindagi ki masrufiat ke woh chand din jo guzar chuke hain..
na hi un pe urooj aya,aur na hi aun pe zawaal aya...
Bhool na chahta hoon har lamha,har waqt jo guzar gaya hai..
jitna bhi roka woh waqt utna woh mere sath chala aya...
Guzra hua kal na tha mera,na hai mera aur na ho ga kabhi...
yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya..
woh wade teri woh kasmein woh sab yaad hain mujhe...
magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhoola paya..
ana parast the tum to khudaar tha main bhi
yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya
Hussain
03-01-2009, 12:18 PM
Aa Baith Tu Merai Dard Ki Daastan Likh Dai Sanam
Lafz-E-Wafa Likh, Kahin Bewafa Likh Dai Sanam
Har Saafay Per Dour-E-Ishq Ka Zikar Na Likhna
Dard-E-Dawa Likh, Kahin Dard-E-Dil Likh Dai Sanam
Raat Ka Zikar Kar, Taroon Ki Zubaan Na Likhna
Khouf-E-Aandhera Likh, Kahin Sawaira Likh Dai Sanam
Siyaahi Teri Qalam Ki Khatam Ho Jaaye Agar
Armaan-E-Dil Likh, Khoon-E-Jigar Likh Dai Sanam...
Hussain
03-01-2009, 12:19 PM
http://img392.imageshack.us/img392/5341/ranibi6.jpg
Kabhi mehandi se saja lo tum apne haathon ko,
Us sajawat ke kisi kone mein hamara naam bhi likh do,
Yeh naam sirf hum dono ko hi nazar aaye,
Kuch is tarah se hum dono ka tum naam likh do.
Teri mehandi se saji haathon ko mein apne haathon mein le loonga,
Tere haathon ki mehandi ki khushboo ko apne dil mein qaid kar loonga,
Dhoond loonga mein tere haathon mein chupi hum dono ka naam,
Leke tere haathon ko apne haathon mein use mein choom loonga.
Jab loonga tere haathon ko apne haathon mein,
Tere chudiyon ki kankanahat goonjegi geet banker,
Jab mein choomoonga tere honthon mein jaanam,
Tere siskiyan nayee sur banke goonjegi.
Tere saanson ki garmi jab milegi saanson se meri,
Tab wahan par nayee ek sargam banegi,
Jab milegi badan mere tere badan se oh jaanam,
Mohabbat hamari bas rangeen banegi.
Hussain
03-01-2009, 12:20 PM
http://i77.photobucket.com/albums/j75/Precious_Annu/Poetry/perveenshakir-011.gif
Hussain
03-01-2009, 12:20 PM
http://img527.imageshack.us/img527/2116/khizaancopybhu.jpg
Hussain
03-01-2009, 12:21 PM
Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon
Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon
Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon
Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon
Hussain
03-01-2009, 12:22 PM
Kuch aur sochne ki zarorat nahi mujhe,
Tere siwa kisi se mohabbat nahi mujhe,
Rehta hai bas tera hi mujhe raat din khayal,
Main tujh ko bhol jaon yeh taqat nahi mujhe,
Kal shab tumhari yaad mein aanso chilak pade,
Ab kuch bhi kehne ki hajat nahi mujhe,
Kis ko sunaon jaa ke mein apna yeh hal-e-ahewal,
Tum ne to keh diya hai ke fursat nahi mujhe,
Khushiyon se ab nahi hai koi rabta mera,
Pal bhar tumhare ghum se faragat nahi mujhe,
Sab kuch ujar gaya mera khuwabon ke sath sath,
Faraz magar kisi se shikayat nahi mujhe...
Hussain
03-01-2009, 12:24 PM
http://img25.imageshack.us/img25/5308/1038621yv64mh2h7bus3.gif
Hussain
03-01-2009, 12:25 PM
http://bazm.urduanjuman.com/index.php?action=dlattach;topic=2831.0;attach=3214 ;image (http://bazm.urduanjuman.com/index.php?action=dlattach;topic=2831.0;attach=3213 ;image)
Hussain
03-01-2009, 12:26 PM
woh mera sab kuch hai bas mera muqadar nahi ~~Mohsin~~
kash wo mera kuch na hota mera muqadar hota...
Gangster
03-01-2009, 12:50 PM
bahut hi umda collection hai
himi
maza agya yar
~*~ Laila ~*~
03-01-2009, 12:56 PM
simply aweosme shairi himi
bahut hi khoob
mehndi wali to super hai
keep sharing..
~*~ Laila ~*~
03-01-2009, 12:57 PM
ev poetry is superb
Hussain
03-01-2009, 01:04 PM
ty dani :)
4 liking :)
Hussain
03-01-2009, 01:04 PM
ty laila 4 liking & such a nyc comments
bahot khoob....janab....!:flower4u:
Hussain
03-01-2009, 01:14 PM
ty safa 4 liking
(thx abhi baqi hain mery dost):D:D
hmmm jab tak zeest baqi hai....
Hussain
03-01-2009, 01:26 PM
:(
Hussain
03-01-2009, 01:30 PM
bs jb zeest aye gi tb dekhy gy..
http://s5.tinypic.com/j791zt.jpg
ajeeb logic hai aap ki..
ammara
03-01-2009, 05:56 PM
kool collection bro
Hussain
03-02-2009, 05:07 PM
ty amara
A L i
03-02-2009, 06:34 PM
very nice my Dear
life2
03-03-2009, 12:17 AM
mai ik ansoo hi sahi hu bohat anmool mgar
yun na palkoon say gira kar mujy matti may mila
Hussain
03-03-2009, 09:10 PM
nyc life gud:D
Hussain
03-03-2009, 09:10 PM
thx;)
life2
03-04-2009, 12:06 AM
Sada muskarati rahai un ki zindagani Mehak
Hum tou hur pal unhain yahi duaa diya kertai hain
Nida-H
03-04-2009, 12:15 PM
very nice collection..keep it up !!!
Hussain
03-04-2009, 05:00 PM
ty ruby
Hussain
03-04-2009, 05:00 PM
nyc lyf
http://i287.photobucket.com/albums/ll149/glittergn/rose/ros034.gif
Hussain
03-04-2009, 08:51 PM
:D
momal ali
03-05-2009, 11:33 AM
very nyc collection keep it up boss...
http://www.apnipic.com/out.php/i2499_282om.gif
Hussain
03-05-2009, 04:23 PM
Ty maham
A L i
03-05-2009, 04:50 PM
Graet going
Hussain
03-05-2009, 09:31 PM
ty..
life2
03-05-2009, 10:05 PM
Naaraz hona aapse galti kehlayegi,
Agar aap humse naraz ho
to yeh saanse tham jayengi..
. Hanste rehna hamesha yu hi,
Aapki hansi se kisi ki zindagi me bahaar aayegi....
~Triple H~
03-06-2009, 01:33 PM
js awsme poetries himi jani
u rox buddy
keep it up
keep share more n more shairi:)
Hussain
03-06-2009, 01:46 PM
ty G:D
http://i169.photobucket.com/albums/u221/LynnC_07/Lynn_FriendshipRose.gif
Hussain
03-06-2009, 08:05 PM
ty
Hussain
03-07-2009, 05:52 PM
http://img518.imageshack.us/img518/2294/dxdbhg.gif
Hussain
03-07-2009, 05:54 PM
meri jaan wapsi ka aik rasta rakhna perta hai
taluk toot bhi jae tu rishta rakhna perta hai
http://i8.glitter-graphics.org/pub/229/229248abu3e9v4w9.gif
jinhain hum dil ki gehraion se sacha piyar kerte hain
jab un se baat ho tu khaas lehja rakhna perta hai
http://i8.glitter-graphics.org/pub/229/229248abu3e9v4w9.gif
humari rooh ki hiddat ko jo na serd perne de
humain apne badan main esa shola rakhna perta hai
http://i8.glitter-graphics.org/pub/229/229248abu3e9v4w9.gif
tujhe ger apni batain na sunaon!tu kahan jaon?
k tere samne iss dil ka shisha rakhna perta hai
http://i8.glitter-graphics.org/pub/229/229248abu3e9v4w9.gif
sada aabad rakhe jo teri yadon ko iss dil main
k ane saath ik esa bhi lemha rakhna perta hai
http://i8.glitter-graphics.org/pub/229/229248abu3e9v4w9.gif
humare dil main chahe chand jesi lakhon galian hon
andhere k liy bhi aik rasta rakhna perta hai
http://i8.glitter-graphics.org/pub/229/229248abu3e9v4w9.gif
bhale jitne bhi dukh,jitne bhi gham hum ko milain
mizaj apna her ik soorat shugufta rakhna perta hai
http://www.backpackingfun.com/willowcreekani.gif
Hussain
03-07-2009, 05:54 PM
Khuwab toot jatai hain
bheer mai zamanai k hath choot jatay hain
Dost daar lehjun mai silwtain c parti hain
Ek zara si ranjish sai
Shak ki zard tehni per phool badgumani k
Is tarhan sai khiltay hain
Zindagi sai pyaray bhi
Ajnabi sai lagtai hain
Ghair ban k miltay hain
Umar bhar ki chahat ko asra nahi milta
Khamoshi k wakfun ko asra nahi milta
Mazrat k lafzun ko roshni nahi milti
Lazt e pazeerai phir kabhi nahi milti
Phool rang wadun ki
Manzlain sukarti hain
Rah murnai lagti hain
Be rukhi k gehrai sai be dile ki mati sai
Faslay ki eentun sai eent jurnay lagti hai
Khuwab toot jatay hain
khaak urnay lagti hai
Wehmoun k saai sai, umar bhar ki mehnat ko
Pal mai toot jatay hain
Ek zara si ranjish sai
Sath toot jatay hain
Hussain
03-07-2009, 05:55 PM
Mere wajood ki mujh mein talash chor gaya..
Jo pori na ho kabhi aisi AAS chor gaya..
Yehi KARAM NAWAZII us ki mujh pe kam hai kia..
K khud to door hai YADEIN to pas chor gaya..
Jo khawhishen thi kabhi HASRATON mein dhal gayi ab..
Mere LABOON pe wo ek lafz KASH chor gaya..
Ye mera zarf hai ik roz us ne MUJH se kaha..
K aam logon mein ek TUJH ko KHAS chor gaya..
BAHARON se mujhy isi liye to NAFRAT hai..
Inhi RUTON mein mujhe wo UDASS chor gya...!!!
Hussain
03-07-2009, 05:56 PM
Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya ..
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya..
Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai..
ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya..
Zindagi ki masrufiat ke woh chand din jo guzar chuke hain..
na hi un pe urooj aya,aur na hi aun pe zawaal aya...
Bhool na chahta hoon har lamha,har waqt jo guzar gaya hai..
jitna bhi roka woh waqt utna woh mere sath chala aya...
Guzra hua kal na tha mera,na hai mera aur na ho ga kabhi...
yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya..
woh wade teri woh kasmein woh sab yaad hain mujhe...
magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhoola paya..
ana parast the tum to khudaar tha main bhi
yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya.
Hussain
03-07-2009, 05:57 PM
http://i244.photobucket.com/albums/gg30/urdu-poetry/kitnapiyarkerti.gif
Hussain
03-07-2009, 05:57 PM
Kaash Hum Bezuban Hote
Naa Gham Phir Yun Bayan Hota
Kaash Naa Hoti Yun Zindagi Ki Samajh
Naa Yun Phir Afsaane Jawaa Hote
Kaash Naa Yun Kwahish Hoti Kuch Paane Ki
Naa Yun Phir kuch Khone Ka Gham Hota
Garr Toot Jaata Koi Ashiyana Humara
Phir Bhi Khoobsurat Saraa Samaan Hota
Lutt Jaati Agar Roshni-e-Zindagi
Phir Bhi Andhera Naa Yun Hota
Kaash Hum Bezubaan Hote
Hussain
03-07-2009, 05:59 PM
Bay sada lafzon main
Wajh-e-zindagi keh kai
Wasl ki zaroorat per
Phir sai zor detay hain
Aaj aisa kertay hain
Zikr wohi kertay hain
Naam aur detay hain
Zabt k kinaaron sai
Dard aan lipta hai
Toottay kinaaray ab
Dard aur detay hain
Aaj aisa kertay hain
Dard say ulajhtay hain
Zabt chor detay hein
Taar taar daaman ko
Khaar khaar raahon main
Ranjishain bhula kay ham
Aa kai jor detay hain
Aaj aisa kertay hain
Khud nahi palattay hain
Raah mor detay hain
Sabz sabz mousam main
Laal laal aankhon kai
Khwaab ki ragon se hum
Khoon nichor detay hain
Aaj aisa kertay hain
Ye bhi kar guzartay hain
Khwaab tor detay hain
Aa k abb duaaon ko
Maatami ridaaon main
Phir se kar k alwidaa
Mauqa aur detay hain
Aaj aisa kertay hain
Darya main utartay hain
Rab pe chor detay hain
Hussain
03-07-2009, 06:03 PM
http://docthumb0.esnips.com/imageable/medium/d3290a90-287b-4e65-9735-b7dfea7536cc/?du=1e79e7ec-52bb-102b-9748-0015173e3082&uu=6af9ce89-5c09-423c-9476-c97e4eae35a8&dt=1212763408000&fu=d5ecc8eb-ad62-4838-a484-76113b2fc0a8
Hussain
03-07-2009, 06:04 PM
http://docthumb0.esnips.com/imageable/medium/9b40524f-0a99-4098-8003-797502cbdf52/?du=1e79e7ec-52bb-102b-9748-0015173e3082&uu=6af9ce89-5c09-423c-9476-c97e4eae35a8&dt=1212763396000&fu=d5ecc8eb-ad62-4838-a484-76113b2fc0a8
Hussain
03-07-2009, 06:06 PM
Barbad karny k or bhi rasty thy ~~Faraz~~
Na jany Unhein Muhabat ka hi khayal kyu aya...
Hussain
03-07-2009, 06:07 PM
mein pa na ska kabhi is khalish se chuthkara ~~Mohsin~~
Wo Mujy Jeet bhi skta Tha Jany Kyu Haara...
Hussain
03-07-2009, 06:07 PM
http://img123.imageshack.us/img123/3317/mbh020r8gs5.jpg
Hussain
03-07-2009, 06:09 PM
http://img177.imageshack.us/img177/6807/194us2.jpg
Hussain
03-07-2009, 06:09 PM
http://img157.imageshack.us/img157/9774/2ow4.jpg
Hussain
03-07-2009, 06:09 PM
http://img100.imageshack.us/img100/1200/3hv0.jpg
Hussain
03-07-2009, 06:10 PM
http://img157.imageshack.us/img157/8928/4fe9.jpg
Hussain
03-07-2009, 06:10 PM
http://img215.imageshack.us/img215/6456/5bl9.jpg
Hussain
03-07-2009, 06:10 PM
http://img213.imageshack.us/img213/6034/6po7.jpg
Hussain
03-07-2009, 06:10 PM
http://img151.imageshack.us/img151/1569/7oq7.jpg
Hussain
03-07-2009, 06:11 PM
http://img412.imageshack.us/img412/9265/2nm3jmwzx7.jpg
Hussain
03-07-2009, 06:12 PM
http://tinypic.com/29sm50 (http://www.************.com/voiceforums/)
Hussain
03-07-2009, 07:56 PM
thx.
ye Image poetry main bade miyan kaun hain.....?
Hussain
03-07-2009, 09:09 PM
apky rishty daar hi hon Gy:D
Hussain
03-07-2009, 09:10 PM
Woh Aur Bhi Takseem Kar Gaya Mujh Ko
Samaitna Theen Jisey Mairi Kirchiyaan 'Mohsin'
http://dl10.glitter-graphics.net/pub/200/200050q4bjuk7vuw.gif (http://www.glitter-graphics.com/)
Hussain
03-07-2009, 09:11 PM
Suraj Bhi Dhal Raha Hai Kahin Sham Ho Na Jaye !!
Hai Dil Mein Ek Hasrat Nakam Ho Na Jaye !!
Na Kaho Raz_e_Ulfat Agar Koi Raz Dan Nahi Hai !!
Khamosh Ye Mohabbat Badnam Ho Na Jaye ....
http://dl7.glitter-graphics.net/pub/1011/1011237wza7saizmn.jpg (http://www.glitter-graphics.com/)
Hussain
03-07-2009, 09:11 PM
janey kyun shikast ka azaab liye phirta hoon,,,
main kya hoon aur kya khuwab liye phirta hoon,
us ne aik bar kiya tha sawal-e-mohabbat,,,
main har lamha wafa ka jawab liye phirta hoon,
us ne pocha k kab se nahe soye,,,
main tab se rat jagon ka hisab liye phirta hoon,
us ki khuwaish thi k meri ankhon main pani daikhe,,,
main us waqt s aansuon ka sailaab liye phirta hoon,
afsos k wo phir bhi mera na huwa,,,
main jis ki aarzu ki kitaab liye phirta hoon........
http://dl2.glitter-graphics.net/pub/1605/1605772y4tv70eoy2.gif (http://www.glitter-graphics.com/)
Hussain
03-07-2009, 09:11 PM
Bay loos doosti mujhe shaair bana gayi
Andaaz-e-Bekhudi mujhe shaair bana gayi
Khilne se pehle pairoon taley roondi gayi jo
Woh phool ki kali mujhe shaair bana gayi
Najaane teri kis ada pe mar mitey thay hum
Shayad,Woh ik Hansi,mujhe shaair bana gayi
Main apne duk kabhi bhi na likhta kitaab main
Anjaam -e- Aashhique mujhe shaair bana gayi
Ab tak Udaasiyon ke abar chhat nahi sakey
Mousam ki barhami ,mujhe shaair bana gayi
Tanha,Udaasiyaan tho muqaddar main liki hain
Khudd to chali gayi , mujhe shaair bana gayi
TANHA ko shaairi ki samjh boojh ussne di
Kambakht, jaisi thi ,mujhe shaair bana gayi
Hussain
03-07-2009, 09:12 PM
Ajeeb Lari Ho Kudh Ko Jalana Chahti Ho
Tum Kudh Ko Rakh Kar Kahin Bhool Jana hahti Ho,
Tere Naseeb Ki Kushiyan Bhi Kab Mili Tujh Ko
Bes Ab To Omer Bhar Ansoo Bahana Chahti Ho,
Najane Kitni Muhabbat hay Ranj O Gham Se Tuje
Koi Be Dard Ho Dil Mein Chupana Chahti Ho,
Baha Baha K Ye Ansoo Bikher Chuki Ho Buhut
Simat K Zaat May Ab Muskurana Chahti Ho,
Jise EK Umer Dil May Chupa K Rakha Hai
Wo Raaz Aaj Tum Sab Ko Batana Chahti Ho,
Wahi Hay Yaad Tuje, Jo Acha Kaha Loogon Ne
Baqi Sare Sitam Bhool Jana Chahti Ho,
Tuje Zamane Ne Pather Samj Liya Hay
Tum Ek Larki Ho, Sab Ko Batana Chahti Ho,
Jo Tujh Se Rooth Chuki Hein Zamane Ki Kushyan
To Tum B Oun Kushyon Se Rooth Jana Chahti Ho,
Mein Apne Dil Ka Her Ek Darwaza Khool Don
Dard he Sahi, Kia Mere Dil may Aana Chahti Ho? ? ?
Hussain
03-07-2009, 09:13 PM
Mere Hatho main ye aib chupa hai ~~Mohsin~~
Main jis shaks ko choo lon wo mera nai rehta.!
Hussain
03-07-2009, 09:13 PM
~*~Betaab Nazrain Yun Mili Iqraar Hum Karne Lage...~*~
~*~Ye Kiya Hua Kion Is Tarhaan Izhaar Hum Karne Lage...~*~
~*~Chalke Howe Jazbaat Kuch Ansoo Bhi Kuch Bikhre Howe...~*~
~*~Ab Qatra Qatra Zindagi Sarshaar Hum Karne Lage...~*~
~*~Shaadab Hain Ankhain Lahoo Se Kuch Gulabii Shaam Hai...~*~
~*~Quose-e-Qaza Rangoo Main Ghuftaar Hum Karne Lage...~*~
~*~Veeraan Kade Main Aa Gayee Jo Wo Baharoon Ki Tarhaan...~*~
~*~In Ke Tasawoor Se Sakhan Gulzar Hum Karne Lage...~*~
~*~Rahne Lage Hain Garizaan Go Tumhare Qarb Se...~*~
~*~Is Ehde Ulfat Se Ghazab Ka Pyaar Hum Karne Lage...~*~
~*~Shama Kyun Shikva Gila Ehle Wafa Theray Jo Hum...~*~
~*~Jalte Sholoo Ka Dariyaa Paar Hum Karne Lage...~*~
Hussain
03-07-2009, 09:14 PM
Yeah To Dastoor-E-Wafa Nahi Kay Yun Taluq-E-Mohabat Toor Do
Kab Talaq Yun Baitho Gi Chaloo Ab Hum Pay Eik Ehsan Ker Do
Tayri Yaad Ki Tapish Main Jala Hon Ab Zulfon Ki Chaon Ker Do
Eahsas Hi Duri Ka Is Ko Qurbat Kay Palon Say Talaf Ker Do
Main Itna Chahta Hon Tumhain Kuch Mujhay Aj Aata Ker Do
Ankhon Kay Mubham Isharay Say Mujhay Aj Fana Ker Do
Yeah Mayray Payar Ki Inteha Ahmed Mujhay Khud Main Muqeed Ker Do
Nahi Ati Manzil To Na Ay Ab Mujhay Zindagi Say Rayhai Ata Ker Do
Hussain
03-07-2009, 09:14 PM
Tayray Hathon Main Toota Hon Per Bikhra Nahi Ahmed
Shayad Isi Wasaaf Ko Mojza-E-Mohabbat Kahtay Hain ..
v nice......:flower4u:
font colour zara dark rakhana.....
Hussain
03-07-2009, 09:15 PM
meri har maangi hui dua bekaar gayee FARAZ
jaane kis shaks ne chaha tha itni shiddat se use
http://www.reallifenow.org/files/man-praying.jpg
Hussain
03-07-2009, 09:16 PM
Bin Maange Hi Mil Jati Hyn Taabeerai'n Kisi Ko Faraz
Koi Khaali Haath Reh Jata Hy Hazaro'n Duao'n K Baad
http://duatoallah.com/wp-content/themes/Ayumi/images/dua1.jpg
Hussain
03-07-2009, 09:16 PM
hamaray sabar ki intiha kiya poochtay ho faraz...
wo mujh say lipat k ro raha tha kisi or k liyee...
http://img397.imageshack.us/img397/231/624915tqkh6stzg0qc8.jpg (http://imageshack.us/)
Hussain
03-07-2009, 09:17 PM
Aasaib Zada Ghar Ka Main Wo Darr Hoon "Mohsin"
K Deemak Ki Tarha Kha Gai Jisay Dastak Ki Tamanna...
http://www.penjaccphoto.com/OldLogCabin.jpg
Hussain
03-07-2009, 09:17 PM
t4l
Hussain
03-07-2009, 09:17 PM
Unglian aaj bhi is soch main gum hain Faraz
Us nay kasay naye haath ko thama ho ga
http://www.testriffic.com/resultfiles/887Holding_Hands.jpg
Hussain
03-07-2009, 09:17 PM
Ankhain khuli to jag uthi hasratain FARAZ...
usko bhi kho diya jisey paya tha khwab main.....
Hussain
03-07-2009, 09:18 PM
Khud ko chuntay huway din saara guzar jaata hai "Faraz"
Phir hawa shaam ki chalti hai tu bikhar jaate hein..!
Hussain
03-07-2009, 09:18 PM
Kal rat apny sary dhuk kmray ki dewaron sy kah daly
Ab main soota hun to dewarain rotee rahti hain..
Hussain
03-07-2009, 09:18 PM
Mere Sabar Ka Na Le Imtihan !!
Meri Khamoshi Ko Sada Na De !!
Tujhe Bhool Ke Na Bhula Sakon !!
Tujhe Chaha Ke Bhi Na Pa Sakon !!
Meri Hasraton Ko Shumaar Kar !!
Meri Chahaton Ka Sila Na De !!
Tujhe Agar Mile Kabhi Fursaten !!
Meri Shaam Phir Se Sawaar De !!
Hussain
03-07-2009, 09:19 PM
Khud hi to kaha tha k kashti pay bhoj ho
Ab aankhen na dhanp mujey doobta bhi dekh..
Hussain
03-07-2009, 09:20 PM
Ay badal!
barsaat main tu
kis se bicharta hay?
jO is Qadar tarapta hay
aur betarha barasta hay ...
http://dl.glitter-graphics.net/pub/78/78471ujhqw46f2b.gif (http://www.glitter-graphics.com/)
Hussain
03-07-2009, 09:20 PM
Sun ker dastan meri, rota raha asmaan
Zameen ke log sumjhe k mausem bersaat hai..
Hussain
03-07-2009, 09:21 PM
Tere Bare Mein Jab Socha Nahi Tha,
Mein Tanha Tha Magar Itna Nahi Tha.
Teri Tasweer Se Karta Tha Baatein,
Mere Kamre Me Tab Aaeena Nahi Tha.
Samandar Ne Mujhe Pyaasa Hi Rakha,
Mein Jab Sehara Mein Tha Pyaasa Nahi Tha.
Manane-Ruthne Ke Khel Mein Hum,
Bichad Jayenge Yeh Socha Nahi Tha.
Suna Hai Band Kar Li Usne Aankhein,
Kai Raaton Se Woh Soya Nahi Tha.
Hussain
03-07-2009, 09:21 PM
Uth ke jo chal diye hain mahfil se begaano ki tarah,
Humne bhi khud ko hi jalaya hai parwaano ki tarah.
Ye aur baat hai tere muqaddar me jaam hain jaana,
mere aashiyane bhi aksar saje hain maykhano ki tarah.
Tum chord ke kya gaye saara aalam hi rooth gaya,
khudaya,tu bhi begaana ho chala hai insaano ki tarah.
Wo jiske kadmon ki aahat se mera ghar aabaad tha kabhi,
wahi shaksh aaya hai aaj kyon yahan mehmaano ki tarah.
Kyon aae ho tum sab meri maiyat me yoon khamoshi se,
kuch armaan hue hain poore ki aao zara toofaano ki tarah.
Kyon kar aaj tujhe gham hai in ghamon ka aye 'shaad'
tariqe-hayaat me teri khushiyan aain theen bahaano ki tarah........
Hussain
03-07-2009, 09:22 PM
http://i42.photobucket.com/albums/e318/ultimate_chat2001/Poetry%20On%20Images/TootaDil.jpg
Hussain
03-07-2009, 09:24 PM
Sab se chupa ker dard jo wo muskara dia,
Uski hansi ne tu aaj mujh ko rula dia.
Lehjay se uth rahi thi har ik dard ki dastan
Chehra bata raha tha sub kuch ganwa dia,
Awaz mein thehrao tha ankhon mein nami thi
Aur keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya,
Janay kia usko mujh se thein shikayatein
Tanhaiyon k dais mein khud ko basa dia,
Khud bhi woh hum say bichar k adhora sa ho gaya
Mujh ko bhi itnay logoon mein tanha bana dia.....
Hussain
03-07-2009, 09:25 PM
Woh kisi ki zindagi ka aasra pehle tha
Kia samajh behtay usay jo bewafa pehle tha
Us ke mere darmiyan yeh faasla pehle se tha
Dukh to yeh hai ranjishon ka silsila pehle se tha
Woh hamari dastaan sunne se pehle ro dia
Kia hamare dard se woh aashna pehle se tha
Baat khulne par woh le betha purani ranjishen
Aisa lagta hai ke woh hum se khafa pehle se tha...
Hussain
03-08-2009, 10:12 PM
ty safa
life2
03-08-2009, 11:31 PM
nice...
os ne raat k indehry m
mere hath ki hathele p
likha tha apne ungli se muje pyar h tumse
na jany kaise roshinaye the,dikhe bh nhi,mithe bh nhi.
Hussain
03-09-2009, 02:07 PM
thx lyf2
Hussain
03-09-2009, 02:07 PM
~*~Yeh Ab Khula Hai~*~
Yeh kis tazabazab mein parh gayi hun
Safar k imkan sochti hun
Yeh shaam shaid meri udasi mein dhal rahi hai
K dil ki ro he badal rahi hai
Yeh ab khula hai
Tumhare lehje mein jo khushi thi, wo mein nahin thi
Jo mere chehre pe roshni thi meri nahin thi
K mere aanchal mein reshmi taar kam the
Mere labas mein zardiyan numayan
Yeh ab khula hai
K mere khawabon ki titliyan to
Wisal ki awaleen rut he khizaon ki nazar ho gai thin
Firaaq saman tha wasal mera
To mere lehje mein aainay ki shikastagi thi
Yeh shaam shaid kabhi phir aaye
Tumhein bulaye
To mere haq mein bus itna kehna
"Wo sada dil udas larki
Yehin kahin per mujhe mili thi"...!!!
Hussain
03-09-2009, 02:07 PM
Mera dost itna narm o nazuk hai ~~ Mohsin ~~
kal hath jala betha jugnu pakarty pakarty..
Hussain
03-09-2009, 02:08 PM
ab k saal kuch aisa kerna
apne pichle bara mah k
dukh sukh ka andaza kerna
bisri yaadein taaza kerna
saada sa ik kaghiz le ker
bhoole bisre pal likh lena
phir iss beete ik ik pal ka
ik ik morh ahata kerna
saare dost ikathe kerna
saari subhein hazir kerna
saari shaamein pass bulana
aur ilawa in k dekho
saare mausam dayhan mein rakhna
ik ik yaad guman mein rakhna
phir mohtaat qayas lagana
agar to khushian barh jati hain to
phir tum ko mreri taraf se
“aane wala saal mubarik”
aur agr ghum barh jain to
mat bekar takluf kerna
dekho phir tum aisa kerna
meri khushian tum le lena
mujh ko apne ghum de daina
ab k saal kuch aisa kerna.........
Hussain
03-09-2009, 02:08 PM
Use Kehna
Shab-e-Tanhai..
Wo Jo Bare Sakoon Se So Raha Hai
Use Kehna K
Raat Ka Pichla Pehar Hai
Aur Hum Abhi Jagte Hain
Humari Aankhon Se Neend Koson Door Hai
Humare Lab Abhi Tak Us K Naghme Gungunate Hain
Humara Zehan Ab Bhi Us Ki Batein Sochta Hai To
Kabhi Hum Huns Se Dete Hain
Kabhi Jee Bhar K Rote Hain
Shab-e-Tanhai Ki Yakh Basta Hawao
Use Kehna
Hum Ab Bhi Bawazo Ho Ker
Us Ka Naam Lete Hain
Use Kehna...!!!
Ya Apna Naqsh Dho Jaye
Ya Phir Se Apna Ho Jaye....
Hussain
03-09-2009, 02:08 PM
kash bananey wale ne dil kanch kay banaye hote
kam as kam torney wale kay hath main zakham to aye hote
Hussain
03-09-2009, 02:09 PM
Mera Chashma Nakhlistan Sayeen
Mera Badal Sabz Shajar
Tu Takht Mera
Tu Bakht Mera
Tu Taaj Mera Tu Ghar
Mein Punchi Ik Dua mangun
Tu Ker Manzoor Gr
Ya Pinjra Pinjra Shaam Na de
Ya Kaat De Mere Par...!!!
Hussain
03-09-2009, 02:09 PM
Meri Muthi Mein Ab Tak
Raat Ko Palkon Se Toote
Kuch Sitare Hain
Dukhon K Ista'are Hain
Mein In Ko Dekhta Hun To...
To Meri Aankhon Mein Dheron Khawab
Tabeeron K Dukh Mein Koi Chehra Sochte Hain
Aur Wo Chehra
Shanasa Shanasa Se
Kain Chehron Mein Tabdeel Ho Jata Hai
Safar Tehleel Hota Hai
Phir In Chehron Se Yaadon K Kain Manzar Ubharte Hain
Nazar Mein Raqs Kerte Hain
Wo Chehre
Jo Meri Tanhaion K Ashk Paare Hain
Mujhe Her Haal Mein Khud Se Bhi Pyare Hain
Sab He Chehre Tumhare Hain ...!!!
Hussain
03-09-2009, 02:09 PM
Tum Ko Ik Talkh Haqeeqat Bhi Bata Dete Hain
Jis Ko Aksar Yeh Log Chupa Dete Hain
Tum Ne Girte Hueye Paton Ko To Dekha Ho ga
Apni Her Sans Wo Tehni Pe Ganwa Dete Hain
Kia Khoob Sajate Hain Baharon Mein Shajar Ko
Karhi Dhoop Mein Apna Aap Bhi Jala Dete Hain
Kitne Be Reham Shajar Hain Naye Paton Ki Khushi Mein
Peele Paton Ko Khizaon Mein Gira Dete Hain
Aur Jo Girte Hain Qadmon Mein Shajar K
Log Unhi Paton Ko PAiron Mein Daba Dete Hain...
Hussain
03-09-2009, 02:10 PM
Is Dil-e-Hasti Ko Us Se Pyar Hai Bohat
Magar Wo Shakhs Bhi Fankaar Hai Bohat
Na Miley To Milney Ki Justuju Bhi Nahin Kerta
Or Milta Yun Hai Jesay Humara Talabgaar Hai Bohat
Hussain
03-09-2009, 02:11 PM
Khayal-o-Khawab hui hain mohabatein kesi
Lahu mein nach rahi hain yeh wehshatein kesi
http://i198.photobucket.com/albums/aa14/kahani_2007/differs.gif
Na shab ko chand he acha na din ko mehar acha
Yeh hum pe beet rahi hain qayamatein kesi
http://i198.photobucket.com/albums/aa14/kahani_2007/differs.gif
Wo sath tha to Khuda bhi mehrban tha kia kia
Bicher gaya to hui hain adawatein kesi
http://i198.photobucket.com/albums/aa14/kahani_2007/differs.gif
Azab jin ka tabssum, sawab jin ki nigah
Khenchi hui hain pas-e-jan yeh sooratein kesi
http://i198.photobucket.com/albums/aa14/kahani_2007/differs.gif
Hawa k dosh pe rakhe hueye charagh hain hum
Jo bujh gaye to hawa se shikayetein kesi
http://i198.photobucket.com/albums/aa14/kahani_2007/differs.gif
Jo be khabar koi guzra to yeh sada di hai
Mein sang-e-rah hun mujh pe inayatein kesi
http://i198.photobucket.com/albums/aa14/kahani_2007/differs.gif
Nahin k husn he nairangion mein taaq nahin
Junoon bhi khel raha hai Siyastein kesi
http://i198.photobucket.com/albums/aa14/kahani_2007/differs.gif
Na sahiban-e-junoon hain na ahal-e-kshf-o-kama
Humare ehad mein aaein kasafaitein kesi
http://i198.photobucket.com/albums/aa14/kahani_2007/differs.gif
Jo abar hai so wo ab sang-e-weshat laya hai
Fiza yeh ho to dilon ki nazaktein kesi
http://i198.photobucket.com/albums/aa14/kahani_2007/differs.gif
Yeh daur be hunran hai, bacha rakho khud ko
Yahan sadaqatein kesi, karamatein kesi
Hussain
03-09-2009, 02:11 PM
Yar bhi rah ki deewar samjhate hain mujhe
Mein samjhta tha mere yaar samjhate hain mujhe
****************************************
Mein to yun chup hun k under se bohat khali hun
Aur sub log pur israr samajhte hain mujhe
****************************************
Mein badalte hueye halaat mein dhal jata hun
Dekhne wale adakaar samjhate hain mujhe
****************************************
Wo jo us paar hain un k liye is paar hun mein
Wo jo is paar hain us paar samjhate hain mujhe
****************************************
Naik logon mein mujhe naik gina jata hai
Aur gunahgaar, gunahgaar samajhte hain mujhe
****************************************
Hussain
03-09-2009, 02:13 PM
Mujh Se Poochtay Ho Kiya Zindagi Kay Baray Main
Ajnabi Bataye Kiya Ajnabi Kay Baray Main
Hussain
03-09-2009, 02:13 PM
dil lagaya tha dil lagi kay liye........'
ban gaya rog zindagi kay liye...........'
aap ki mang mein sitaray hain...........'
hum to tarsay hain roshni kay liye..
Hussain
03-09-2009, 02:14 PM
khulta na dil ka ma'mala ghairooo kay robroo
sheroo kay intikhab nay ruswa kya mujhay..
Hussain
03-09-2009, 02:15 PM
Pyar karke jo wafa karte hain
Aise kam log milaa karte hain
Kyun wo khud hum se nahi keh dete
Aur logon se gila karte hain
Hum se milne ko wo ajaye kabhi
Har gharri ye hi dua karte hain
Chahte hai unhe ji jaan se hum
Bas yahi ek khataa karte hain
Hussain
03-09-2009, 02:15 PM
http://www.myimagehosting.org/uploads/b2e6a5feaf.jpg
Hussain
03-09-2009, 02:16 PM
Zindagi Shama Ki Manind Jalata Hun Nadeem
Bujh To Jaon Ga Magar Subha To Ker Jaon Ga...!!!
Hussain
03-09-2009, 02:17 PM
Tum Meri Aankh Kay Taiwer Na Bhula Pao Gay
Un Kahi Baat Ko Samjhoo Gay To Yaad Aaon Ga
Hum Nay Khushiyoon Ki Tarah Dukh Bhi Iakathay Dekhay
Safha-E-Zeest Ko Palto Gay To Yaad Aaon Ga
Is Judai Main Tum Ander Say Bikher Jao Gay
Kisi Mazoor Ko Dekhoo Gay To Yaad Aaon Ga
Isi Andaz Main Hotay Thay Mukhatib Mujh Say
Khut Kisi Aur Ko Likho Gay To Yaad Aaon Ga
Meri Khushboo Tumhay Khoolay Gi Gulaboon Ki Tarah
Tum Ager Khud Say Na Bolo Gay To Yaad Aaon Ga
Serd Ratoon Kay Mehektay Huay Sannaton Main
Jab Kisi Phool Ko Choomo Gay To Yaad Aaon Ga
Aaj To Mehfil-E-Yaran Pay Ho Maghroor Bohat
Jab Kabhi Toot Kay Bikhroo Gay To Yaad Aaon Ga
Aab To Yeah Ashak Main Hontoon Say Chura Laita Hoon
Haath Say Khud Inhain Ponchoo Gay To Yaad Aaon Ga
Shaal Pehnayay Ga Aab Kon December Main Tumhay
Barishoon Main Kabhi Bheego Gay To Yaad Aaon Ga
Hadsay Aayein Gay Jevan Main To Tum Ho Kay Nidhaal
Kisi Dewaar Ko Thamoo Gay To Yaad Aaon Ga
Is Main Shamil Hai Meray Bakhat Ki Tareeqi Bhi
Tum Siyah Rang Jo Pehno Gay To Yaad Aaon Ga
Hussain
03-09-2009, 02:17 PM
Tujhe kia khabar teri yaad ne mujhe kese kese sata dia
Kabhi khalwaton mein hunsa dia to kabhi mehfilon mein rula dia
Kabhi yun huwa k tere ishq mein namaz bhi apni hui qaza
Teri aarzu ne kabhi mujhe mere pyare Rub se mila dia
Hussain
03-09-2009, 02:18 PM
Tumhara nam likh likh ker mitana bhool jata hon
Tumhein jab yaad kerta hun bhulana bhool jata hon
Bohat si aisi batein hain, jo mere dil mein rehti hain
Magar jab tum se milta hun, batana bhool jata hon
Tumhare baad ab her pal bari mushkil se kat'ta hai
Mein tum ko aksar khawabon mein batana bhool jata hon
Mein her shaam kehta hon tum ko bhool jaun
Magar jab subah hoti hai irada bhol jata hon..
Hussain
03-09-2009, 02:18 PM
Us Ki Hansi Mein Chhupy Dard Ko Mehsus Tu Kar
Wo Tu Yun Hi Hans Ke Khud Ko Saza Deta Hai....
Hussain
03-09-2009, 02:18 PM
Maghroor Hi Sahi Mujhay Acha Buhat Laga
Ajnabee To Tha Magar Apna Buhat Laga
Sehra Mein Jo Jee Raha Tha DiryaDilli Ke Saath
Dekha Jo Ghor Se To Woh Piyasa Buhat Laga
Woh Jis Ke Daam Qadam Se Thin Basti Ki Ronnakein
Basti Ujar Gai To Akela Buhat Laga
Leptta Hua Khaher Mein Khizan Ka Chand
Melay Libas Mein Bhi Woh Piyara buhat Laga
Resham Pehan Ke Bhi Meri Qemat Na Barh Saki
Khadar Bhi Uske Jism Par Mehnga Buhat Laga
Mohsin Jab Aaine Pe Meri Sans Jam Gai
Mujh Ko Khud Apna Aaks Bhi Dhundla Buhat Laga.
Hussain
03-09-2009, 02:19 PM
http://i184.photobucket.com/albums/x116/husena2109/chandnipsdgk3.gif
Hussain
03-09-2009, 02:19 PM
jab bhi sochoon tujhe dard apna barha leta hoon
phir har naye saal ka suraj dekh kar muskura leta hoon
mah december ki sard raatoon ke waadey yaad karke
thorey thorey ashk ankhoon se apni baha leta hoon
kabhi jo ankhoon main terey ashk dekhoon
khuwab ban ke woh tamam ashk chura leta hoon
yeh adat to husn'o wafa ke qayal jante hain mayri
ke piyar miley jahan bhi sir apna jhuka leta hoon
jab bhi koi ghazal terey naam likhoon
batein likhta hoon tamam magar tera naam chupa leta hoon
na samjha tu ne mujhe aur na hi mayri mohabbat ko aey dost
naya saal mubarak khush rehne ki tujhe dua deta hoon...!!!
Hussain
03-09-2009, 02:21 PM
Meri Zindagi To Firaaq Hai, Wo Azal Se Dil Main Makeen Sahi
Wo Nigaah-E-Shoq Se Door Hain, Rag-E-Jaan Se Laakh Qareen Sahi
Humein Jaan Deni Hai Aik Din, Wo Kisi Tarhan, Wo Kahein Sahi
Humein Aap Kheinchiye Daar Par, Jo Nahi Koi To Hum Hi Sahi
Sar-E-Tor Ho, Sar-E-Hashr Ho, Humein Intezar Qubool Hai
Wo Kabhi Milein, Wo Kaheen Milein, Wo Kabhi Sahi, Wo Kaheen Sahi
Na Ho, Un Pe Jo Mera Bas Nahi K Ye Aashiqi Hai Hawas Nahi
Main Unhi Ka Tha, Main Unhi Ka Hoon, Wo Mere Nahi To Nahi Sahi
Jo Ho Faisla Wo Sunaaiye, Issay Hashr Par Na Uthaaiye
Jo Karen Ge Aap Sitam Wahan, Wo Abhi Sahi, Wo Yahin Sahi
Usey Dekhne Ki Jo Lau Lagi To Naseer Dekh Hi Len Ge Hum
Wo Hazaar Aankh Se Door ho, Wo Hazaar Parda-Nasheen
Hussain
03-09-2009, 02:21 PM
Us Shokh Se Bicher Ker Zafar, Apni Zindagi
Jesey Makan Ho Koi Deewar K Baghair.
Hussain
03-09-2009, 02:21 PM
Hansata Tha Mujh Ko To Phir Rula Bhi Deta Tha
Ker K Wo Mujh Se Aksar Wadey Bhula Bhi Deta Tha
Bewafa Tha Bohat Magar Acha Lagta Tha Dil Ko
Kabhi Kabhar Batein Mohabat Ki Suna Bhi Deta Tha
Thaam Leta Tha Kabhi Hath Mera Yun Bhi
Kabhi Hath Apna Mere Hath Se Chura Bhi Leta Tha
Kabhi Bewaqt Chala Aata Tha Milne Ko
Kabhi Qeemti Pal Mohabat K Ganwa Bhi Deta Tha
Ajab Dhoop Chaon Sa Mizaj Tha Us KA ~SYED~
Moutabar Bhi Kerta Tha Nazaro Se Gira Bhi Deta Tha...
Hussain
03-09-2009, 02:22 PM
Yaad to hun gi tujhe wo batein ab bhi lekin
Shelf mein rakhi band kitabon ki tarah
Kon jane naye saal mein tu kise parhe
Tera mayar badalta hai Nisabon ki tarah..
Hussain
03-09-2009, 02:22 PM
Jisne humko chaha use hum chah na sake.
Jisko chahte the use hum pa na sake.
Yeh samjhlo k dil toorne ka khail hai
kisi ka toda aur apna bacha na sake...
Hussain
03-09-2009, 02:23 PM
Chaha tha jisy hum ne khud se barh kr,
Mila zakhm-e judai us se bicher kr,
Rokna chaha b to na rok saky hum,
Sehra c halat thi darya se bicher kr,
Seh laita hon sabhi thapairy in hawaon k,
Hr lamha mazi sulagta hai us se bicher kr,
Na rahi shan koi, na fiker ab zamany ki,
Hr ghari hai intazar us se bicher kr,
Jb talak na thi judai darmiyan,
Kaha us ne ji lo gy muj se bicher kr,
Na raha ab wo mazi suhana,
Hai veran hr nazar us se bicher kr,
Ab tamana nahi jeeny ki AQEEl,
Mangty hain mot us se bicher kr,
Hussain
03-09-2009, 02:23 PM
Insha jee uthoo ab kooch kero, is sheher mein jee ko lagana kia
Wehshi ko sakoon se kia matlab, jogi ka nagar mein thikana kia
Is dil k dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi
Jis jholi mein so chaid hueye us jholi ka phailana kia
Shab beeti, chand bhi doob chala, zanjeer parhi darwaze per
Kun dair gaye ghar aye ho? Sajni se kero gey bahana kia?
Us roz jo un ko dekha hai ab khawab ka alam lagta hai
Us roz jo un se baat hui, eo baat bhi thi afsana kia
Is husn k sache moti ko hum dekh sakein per chu na sakein
Jise dekh sakein per chu na sakein wo dolat kia wo khazana kia
Jab sheher k log na rasta dein, kun ban mein na ja basram kerein
Dewano ki si na baat kere to or kere deewana kia??
Hussain
03-09-2009, 02:24 PM
Khamosh Ho Kyon Daad-E-Jafaa Kyuun Nahiin Dete
Bismil Ho To Qaatil Ko Duaa Kyuun Nahiin Dete
Vahashat Kaa Sabab Ruuzan-E-Zindaan To Nahiin Hai
Mahar-O-Maah-O-Anjum Ko Bujhaa Kyuun Nahiin Dete
Ik Ye Bhii To Andaaz-E-Ilaaj-E-Gam-E-Jaan Hai
Ai Chaaraagaro Dard Badhaa Kyuun Nahiin Dete
Munsif Ho Agar Tum To Kab Insaaf Karoge
Mujarim Hai Agar Ham To Sazaa Kyuun Nahiin Dete
Rahazan Ho To Haazir Hai Mataa-E-Dil-O-Jaan Bhii
Rahabar Ho To Manzil Kaa Pataa Kyuun Nahiin Dete
Kyaa Biit Gaii Ab Ke ‘Faraz’ Ahal-E-Chaman Par
Yaaraan-E-Qafas Mujh Ko Sadaa Kyuun Nahiin Dete
Hussain
03-09-2009, 02:24 PM
Dil Ki Taak Pe Diye Jalane Aaon Ga
Mein Tum Ko Kuch Yaad Dilane Aaon Ga
Mere Dard Ko Tum Bhi Na Seh Pao Gey
Apne Aansoo Tumhein Rulane Aaon Ga
Shouq Bohat Tha Jin Galiyon Mein Basane Ka
Wahin Pe Ik Din Khaak Urhane Aaon Ga
Mere Tum Se Kesay Kesay Rishte Hain
Tum Ko Ik Baar Or Batane Aaon Ga
Bujh Bhi Jaein Gi Yeh Sansein Phir Bhi Mein
Roz Tumhare Naaz Uthane Aaon Ga
Jeetne Doon Ga Tumhein Her Baazi Aur
Apni Haar Ka Jashan Manane Aaon Ga...!!!
Hussain
03-09-2009, 02:24 PM
Na tha kuchch to KHuda tha,kuchch na hota to KHuda hota
Duboya mujhko hone ne,na hota maiN to kya hota ?
Huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
Na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota
Huee muddat ke 'GHalib' mar gaya par yaad aata hai
Wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota ?
Hussain
03-09-2009, 02:25 PM
Bikher rahi ha meri zaat osy kehna
kbi mily woh to yeh baat osy kehna
Woh saath tha to zamana tha humsafar mera
magar ab koi nehi mery saath osy kehna
osy kehna keh bin os k din nehi kat-ta
sisak sisak k kat-ti ha raat osy kehna
osy pukaron k khud hi pohanch jaon os k pas
ab nehi rahy woh halaat osy kehna
agr woh phir bhi na lotay to ay qasid
humari zaat k halaat osy kehna
har jeet os k naam kr rahi hun mein
mein manti hun apni haar osy kehna ..
Hussain
03-09-2009, 02:26 PM
koi mujh ko mera bharpoor sarapa laa dey
mere bazo, meri Aanken, mera chehra laa dey
aisa dariya jo kisi aur samandar mein girey
is sey behter hai kai mujh ko mera sehra laa dey
naya mousam meri beenaye ko tasleem nahi
meri Aankhon ko wohi khuwab purana laa dey
koi khuwahish nahi tujh se aey umr-e-rawan
mera bachpan, mere jugnoo, meri guriya laa dey
jis ne bachpan mai mujhey dhoop sey mehfooz rakha
wohi khushboo, usi mitti ka gharonda laa dey
jis ki Aankhen mujhey ander se bhi perh sakti hon
koi chehra tou mujhey shahar mai aisa laa dey
kashti-e-jaan to bhanwar mai hai kaye barson se
aye Khuda ab to dubo dey ya kinara laa dey ..
Hussain
03-09-2009, 02:26 PM
Niyyat-e-shauq bhar na jae kaheen
Tu bhee dil se utar na jae kaheen
Aaj dekha hai tujh ko der ke baad
Aaj ka din guzar na jae kaheen
Na mila kar udaas logon se
Husn tera bikhar na jae kaheen
Aarzoo hai ke tu yahan ae
Aur phir umar bhar na jae kaheen
Ji jalata hoon aur sochta hoon
Raigan yeh hunar na jae kaheen
Ao kuch der ro hee lein nasir
Phir yeh darya utar na jae kaheen..
Hussain
03-09-2009, 02:27 PM
Main yeh soch kar us ke dar se uthaa tha
Voh rok le gi mujh ko, mana le gi mujh ko
Hawaaon mein lehraata aata tha daaman
Ke daaman pakad kar bithaa le gi mujh ko
Qadm is aandaaz se uth rahe the
Ke aawaaz de kar bulaa le gi mujh ko.
Magar us ne roka na mujh ko manaya
Na daaman hi pakda na mujh ko bithaaya
Na aawaaz hi di na mujh ko bulaaya
Main aahista-aahista badta hi aaya
Yahan tak ke us se juda ho gaya ...
Hussain
03-09-2009, 02:27 PM
banaa gulaab to kaantay chubhaa gayaa ik shakhs
huvaa chiraagh to ghar hii jalaa gayaa ik shakhs
tamaam rang meray aur saarai khavaab meray
fasaanaa kah kay fasaanaa banaa gayaa ik shakhs
main kis havaa main uRhuun kis fazaa main laharaa_uun
dukhon kay jaal har-suu bichhaa gayaa ik shakhs
palut sakuun main, na aagay badh sakuun jis par
mujhay yeh kaun sey rustay lagaa gayaa ik shakhs
muhabbatain bhii ajiib us kii nafaratain bhii kamaal
merii tarah kaa hii mujh main samaa gayaa ik shakhs
vo mahataab thaa, marham-ba-dast aayaa thaa
magar kuchh aur sivaa dil dukhaa gayaa ik shakhs
khulaa ye raaz ke aa_iinaa-khaanaa hai duniyaa
aur is main mujh ko tamaashaa banaa gayaa ik shakhs
Hussain
03-09-2009, 02:27 PM
http://i198.photobucket.com/albums/aa14/kahani_2007/adf_8.gif
Hussain
03-09-2009, 02:28 PM
http://i198.photobucket.com/albums/aa14/kahani_2007/adf_4.gif
Hussain
03-09-2009, 02:28 PM
Khali hathoun kou kabhe ghour say daikha hai faraz
Kis tarah loug lakeeroun say nikal jatay hain...
Hussain
03-09-2009, 02:28 PM
Woh Jis Kay pass rehta tha dostoun ka hajoom
Suna hai Faraz, kal raat ehsas-e-tanhai se mar gaya..
Hussain
03-09-2009, 02:29 PM
Sirf yeh soch kar tum say mohabat kartay hain Faraz
Maira tou koi nahin, tumhara tou koi hua..
Hussain
03-09-2009, 02:29 PM
zikr-e-shab-e-firaaq se vahshat usse bhi thi
meri tarah kissi se mohabbat usse bhi thi
mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka
rastaa badal ke chalne ki aadat usse bhi thi
us raat der tak woh raha mahv-e-guftago0o
masro0of main bhi kam tha faraaghat usse bhi thi
sunata tha woh bhi sab se puraani kahaaniyaan
taaza rafaaqaton ki zaro0orat usse bhi thi
mujh se bichhad ke shahar mein ghul mil gaya woh shakhs
haalaanke shahar bhar se raqaabat usse bhi thi
woh mujh se badh ke zabt ka aadi tha ji gaya
warna har ek saans qayaamat usse bhi thi ..
Hussain
03-09-2009, 02:30 PM
Sochta hon usay neend bhi atee ho gee,
Ya faqat mairee tarha ashk bahateee ho gee,
Wo mairee shakal maira naam bholanay wali,
Apni tasweer se kya ankh milateee ho gee,
Us zamin par hay sailaab mairay askho se,
Mairay matam ki sada arsh hilatee ho gee,
Shaam hotay hee wo chokhat par jala kay shamay,
Apni palko may kaee khawab solatee ho gee,
Us ne silawa bhi liyee hon gain siyan rang libaas,
AB moharaam ki tarha eid manateee ho gee,
Hote ho gee mairay bosay ki talab may pagal,
Jab bhi zulfo may koi phool sajatee ho gee..
Mairay tareek zamanay se nikalnay wali,
Roshni tujh ko mairee yaad dilatee ho gee,
Dil ki masson ragay khud hee sulagtee hon gee,
Junhee tasweer ka kona wo jalatee ho gee,
Roop dai kar mujhay us may kisi shezaday ka,
Apnay bacho ko kahani wo sunatee ho gee......
Hussain
03-09-2009, 02:31 PM
Hum apne ikhtiyar ki hadd se guzar gaye,
Chaha tumhe to pyaar ki hadd say guzar gaye.
Likhi gayee naseeb mein kuch aisi hijratein,
Har ajnabi dayre ki hadd se guzar gaye.
Jagi hai apne dil mein gulabon ki aarzoo,
Jab mousam-e-bahar ki hadd se guzar gaye.
Ab zakhm hai dil ka kahan tak shumar ho,
Yeh zakhm to shumar ki hadd se guzar gaye.
Teri nigah-e-mast se hum itna pee gaye,
Itni ki har khumar ki hadd say guzar gaye.
Ehsaas mar Chuka hai khushi hai na gam koi,
Jaise ke jeet haar ki hadd say guzar gaye.
Hasrat say mouj-e-gam bhi hame dekhti rahin,
Hum behr-e-bar kinaar ki hadd say guzar gaye.
Aati hai saaf saaf nazar gam ki manzilein,
Yeh kafile gubaar ki hadd say guzar gaye.
Woh log roz-e-qayam se kya darein,
Jo terey intezaar ki hadd se guzar gaye...!!!
Gangster
03-09-2009, 08:39 PM
super b collection himi jani
kya kehny janab
keep it up & keep sharing
super collection realy sad + touchy
kamal ki shairi hai..
Hussain
03-09-2009, 09:06 PM
thx alot dani
4 ur comments & thx :D:D
Hussain
03-09-2009, 09:07 PM
ty safa
momal ali
03-10-2009, 12:51 AM
awsum awsum collection himmi ...
really amazing...
aap k diwan mein aien hey tu kuc arz kerty jain hum bhi...
jo sochta hey woh us ki wazhat nahi kerta...
woh shakhs kabhi khul k mohabat nahi kerta...
jis terha usey toot ker chaha hey mein ney...
aesy tu koi shakhs IBADAT bhe nahi kerta...
Hussain
03-10-2009, 12:55 PM
ty maham 4 liking :)
thx 4 cuming here
keep visitn
Hussain
03-10-2009, 12:55 PM
wow
nyc Sher:)
life2
03-10-2009, 01:31 PM
Or kiya doon main tujhe apni wafaon ka saboot
ab mery haal pe hunste hain tere shehr k log
Hussain
03-10-2009, 01:34 PM
nycc
Hussain
03-10-2009, 01:34 PM
main nazar say pee raha hoon
ye sama badal na jayay..
na jhukaoo tum nighaheeen..
kahin raat dhall na jayay ..
meray ashkk b hain is main..
ye shaarab ubbale na jayay...
mera jaam choonay walay ..
tera hath jal na jayay;;;
abi raat kuch hai bakki ..
na utha nikaab sakki..
tera rind girtay girtay ..
kahin phir sanbhal na jayay...
mujay poonkanay say pehlay,,
mera dill nikaal laina..
ye kisi ki hai imannat..
meray sath jall na jayay....
Hussain
03-10-2009, 01:34 PM
fasal gul kee hai sharab peelijiye
takalluf kaisa janab peelijiye
or jo chup ker piye woh munafiq hai
sharam kaisee sharab peelijiye
ooper ja ker hisaab hona hai
is liye bay hisaab peelijiye..
Hussain
03-10-2009, 01:35 PM
http://i145.photobucket.com/albums/r228/creative_sign/muhhabat_1.gif
Hussain
03-10-2009, 01:35 PM
yunhi khana kharab rehney dey saki
jam main aftab rehney dey saki
gham sey ghabra gaya ho main saki
mujey gharkey sharab rehney dey saki..
Hussain
03-10-2009, 01:37 PM
Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata,
Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rahti Hai Nigahe,
Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata,
Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata,
Main Apni Hi Uljhi Hui Raahoon Ka Tamaasha,
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata,
Woh Naam Jo Barso Se, Na Chehra Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata ..
Hussain
03-10-2009, 01:37 PM
Bana Gulab To Kante Chuba Gaya Aik Shakhs
Hua Chirag To Ghar Hi Jala Gaya Aik Shakhs
Tamam Rang Mere Aur Sare Khoawab Mere
Fasane Thay Ke Fasana Bana Gaya Aik Shakhs
Mein Kis Hawa Mein Uron Kis Fiza Mein Lehraon
Dukhon Ke Jaal Har Su Bhicha Gaya Ail Shakhs
Mohabbaton Ne Kissi Ki Bhula Rakha Tha Isse
Mille Who Zakham Ke Phir Yaad Agaya Aik Shakhs
Khula Yah Raaz Ke Aaina Khaana Hai Duniyaa
Is Mein Mujhay Tamasha Bana Gaya Aik Shakhs..
Hussain
03-10-2009, 01:37 PM
Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta thaa aur afsurdaa sa aaj bhi hai
Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq tu zinda ab bhi hai
Kal tak jo hijar sataata thaa us hijar ka pehra aaj bhi hai
Tum door huye majboori mein hum toot gaye is doori mein
Kabhi waqt miley tu aa jaana dil ka dar khula aaj bhi hai
Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil per
Wo naam darakhtoon per likna wo khwab suhana aaj bhi hai
Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad hoi
Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai
Ye ashk nahin hain aankhoon mein ye taaray jhilmil karte hain
In aankhoon mein jo kal tak tha wo chaand sa chehra aaj bhi hai
Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha thaa mila
Gham kal bhi mera sarmaaya tha gham mera warsa aaj bhi hai...
Hussain
03-10-2009, 01:38 PM
Kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hoee honton me dabee baat na pooch
mein jis ke waastay lar jaaon is khudae se
mujhay khud se hai pyaari yeh kis ki zaat na pooch
wo kis ada se mere saamnay se guzraa abhi
kis tarhan meinay sambhaly mere jazbaat na pooch
waqat jo badlay to insaan badal jaatay hain
kya nahi dikhlaatay yeh gardish-e-halaa na pooch
wo kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar na hoe
kis tarhan usnay churaya hai mujh se haath na pooch
Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaee hai me nay maat na pooch
ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch...
Hussain
03-10-2009, 01:38 PM
Tu nahin to zindagi main aur kya rah jayega
duur tak tanhaaiyon ka silsilaa rah jaayegaa
kijiye kya guftagu kyaa un se mil kar sochiye
dil-shikasta Khvahishon ka zayaqa rah jayega
dard ki sarii tahen aur saare guzare haadasey
sab dhuaN ho jaayenge ek vaaqiya rah jayega
ye bhii hoga vo mujhe dil se bhula dega magar
yu bhi hoga Khud usi mein ek Khala rah jayega
daayaar-e-inkaar ke iqaraar kii saragoshiyaan
ye agar TuuTe kabhii to faasalaa rah jaayegaa........
Hussain
03-10-2009, 01:39 PM
Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
k ashq rokna tum se mohaal hona hay
har aik laab pe hay meri wafa k afsanay
tere sitaam ko abhi lazawal hona hay
baja hay ka khaar hain lakin bahar ki rot main
yeh teh hay k huamin bhi nehaal hona hay
tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
tumharay hijar main ik lamha bhi sal hona hay
humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay
kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bhahoon main
kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay
milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
baas intizaar hay kaab yeh kamal hona hay
har shaks chalay ga humari rahoon per
mohabatoon main humahin woh misaal hona hay
Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
humari zaat ko aisa sawal hona hay
Wasi" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
usay bhi apne kiye ka milal hona hay...
Hussain
03-10-2009, 01:39 PM
Hazaroon dukh paray sehna mohabbat mer nahein sakti
hai tum se bus yahi kehna mohabbat mer nahein sakti
tera har baar mere khat ko parhna aur ro dena
mera har bar likh dena mohabbat mer nahein sakti
Kiya tha hum ne campus ke nadee per ik haseen wada
bhalay hum ko paray merna mohabbat mer nahein sakti
jahan mein jab talak punchee chahaktay urtay phirtay hain
hai jab tak phool ka khilna mohabbat mer nahein sakti
puranay ehad ko jab zinda karnay ka khyal aaye
mujhya bus itna likh dena mohabbat mer nahein sakti
wo tera hijar ke shab phone rakhnay se zara pehlay
bohut rotay howay kehna mohabbat mer nahein sakti
Ager hum hasratoon ke kabar mein he dafan ho jayain
to ye katboon pe likh dena mohabbat mer nahein sakti
puranay rabtoon ko phir naye waday ke khawahish hai
zara ik bar to kehna mohabbat mer nahein sakti
gaye lamhat fursat ke kahan se dhond kar laoon
wo pehroon haath per likhna mohabbat mer nahein sakti...
Hussain
03-10-2009, 01:40 PM
Tu bhi kisi ka pyaar na paaye khuda kare
tujh ko bhi tera naseeb rolaaye khuda kare
raatoon mein tujh ko niind na aaye khuda kare
tu bhi dar-ba-dar ki thokrein khaaye khuda kare
aaye bahaar tere gulistaan mein baar baar
tujh par kabhi nikhaar na aaye khuda kare
meri tarah tujhe bhi javaani me gham milein
tu bhi duaa ko haath uthaaye khuda kare
tujh par shab-visaal ki raatein haraam hoon
shammein jala jala ke bujhaaye khuda kare
ho jaaein sari bad-duaaein meri dosto galat
us bewafa pe koi harf na aaye khudaa kare...
Hussain
03-10-2009, 01:40 PM
Meri Ruswaiyan Har Ek Ilzaam Khoobsurat Ker Do
Mujhe Apna Naam De Do Mera Naam Khoobsurat Ker Do
Meri Tareek Shamon Main Aa Ker Sitaray Bhar Do
Meray Sang Yun Chalo Meri Har Shaam Khubsurat Ker Do
Aakhri Sanson Main Bhar Do Khushboo Deedar Ki
Raho Meray Pass Us Dam Mera Anjaam Khubsurat Ker Do
Meray Bechain Sapnon Main Sukoon Ban Ker Aao
Ye Neend, Ye Khawab, Mera Aaraam Khubsurat Ker Do...
Hussain
03-10-2009, 01:40 PM
Teri kushboo mein base khat mein jalata kaise
tere haathon se likhe khat mein jalata kaise
jinko duniya ki nigahon se bachakar rakha
jinko ek umar kaleje se lagakar rakha
diin jinhein aur jinhein imaan banakar rakha
teri kushboo mein base khat mein jalata kaise
jinka har lafz mujhe yaad hai pani ki tarah
yaad hai mujko jo peghaam-e-jawani ki tarah
pyaare hein mujh ko jo anmol nishani ki tarah
teri kushboo mein base khat mein jalata kaise
tune duniya ki nigahaon se jo bach kar likhe
sala-haa-saal mere naam barabar likhe
din mein kabhi to kabhi raatoon ko jaag kar likhe
teri kushboo mein base khat mein jalata kaise
tere khat aaj mein dariya mein baha aaya hoon
aaag behte hue paani mein laga aaya hoon....
Hussain
03-10-2009, 01:41 PM
Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chupke Chupke Ro Lena
Jab Ankhein Bagi Ho Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chupke Chupke Ro lena
Jab Palkein jaaagh kar Mondi Ho Aur sab Samjhein Tum Sote Ho
Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chupke chupke Ro Lena
Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi
Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena
Jab Barish Chera Dho Dale Aur Ashk Bhi Boondein Lagte Hon
Who Lamha Hargiz Mat Khona Aur Chupke Chupke Ro Lena..
Hussain
03-10-2009, 01:41 PM
Gungunatey Huye Aanchal Ki Hawa Dey Mujh Ko
Ungliyaan Pheir Kar Baloun Mein Sula Dey Mujh Ko
Jiss Trah Faaltu Guldaan Parey Rehtey Hein
Apney Ghar Key Kisi Koney Sey Laga Dey Mujh Ko
Yaad Kar Key Mujhay Takleef Hi Hotti Ho Gi
Eik Qissa Houn Purana Sa Bhula Dey Mujh Ko
Doubtey Doubtey Aawaz Teri Sun Jaoun
Akhri Baar Tu Sahil Sey Sada Dey Mujh Ko
Main Tery Hijar Mein Chup Chap Na Mar JAoun Kahein
Main Houn Saktey Mein Kabhi Aaa Kar Rula Dey Mujh Ko
Dekh Main Ho Gya Houn Badnaam Kitboun Ki Trah
Meri Tashheer Na Kar Ab To Jala Dey Mujh Ko
Roothna Tera Meri Jaan Liye Jata HAi
Aisy Naraz Na Ho,Hans K Dikha Dey Mujh Ko
Aur Kuch Nahein Manga Meray MAlik Tujh Sey
Us Ki Galiyoun Ki Khak Bana Dey Mujh Ko
Log Kehtey Hein K Yeh Ishq Nighal Jata HAi
Main Bhi Is Ishq Mein Aya Houn,Duaa De Mujh Ko
Yahi Auqaat Hai Meri Teray Jeevan Mein
Koi Kamzore Sa Lamha Houn,Bhula De Mujh Ko...
Hussain
03-10-2009, 01:42 PM
Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana
Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may
Usay puri tarha se tum bhulado phir chalay jana
Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
Tum aakay ek baar inko sulado phir chalay jana
Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka
Jo hai ahsaas tum usko bhulado phir chalay jana
Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chalay jana
Wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se
Bus in alfaz-o-mani ko milado phir chalay jana
Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki
Sama'at ko talab hai wo suna do phir chalay jana
Na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana
Merey in roz-o-shab ka ek fakat unwan bus tum ho
Mujhe tum doosra unwan lado phir chalay jana
Pyar ki koshish, ay Khuda, na jaayein raayegaan
Mujhe is sabr ka kuch phal dila do phir chalay jana....
Hussain
03-10-2009, 01:42 PM
Ek yaad ka soraj hai k dhalta he nahi hai
ek dukh ka nasha hai k utarta he nahi hai
Shayad wo meri baat nahi chahta samjhay
ya phir, wo meri baat samjhta he nahi hai
mein kis ke liye zinda rahoon to he bata de
jab mere liye koi sanwarta he nahi hai
ab roz-e-qiyamat ussay samjhaye khuda he
jo dil teri chahat se mukarta he nahi hai
Aasaib ke manindh meri zaat mein shehzad
baitha hai koi chup ke nikalta he nahi hai....
Hussain
03-10-2009, 01:42 PM
Mujhey darya nahi likhna,mujhey sehra nahi likhna
Tasallsul se safar main hoon, mujhey thehra nahi likhna
Purani rabton ki raakh ab tak dil main baqi hai
Meri jalti hatheli par naya wada nahi likhna
Ana se jeet kar usko agar jo mainey khoya hai
Mera noha nahi likhna mera naghma nahi likhna
Bisat-e-zindagi ki aakhiri sarhad pe khara hoon
Mujhey fateh nahi likhna mujhey mohra nahi likhna
Tumhari aankh main agar main kabhi chup chaap jal jaow
Tum apni aankhon main laiken mera sadma nahi likhna
Gawahi apnay dil se lo tumhara dil kiya kehta hai
Mujhey jhoota nahi likhna mujhey sacha nahi likhna
May uski yaad may gum hoon ke apne aap may gum hoon
Mujhey mehfil nahi likhna mujhey tanha nahi likhna
May apney lafzoon se shohrat tumhey de jaonga ik din
Mujhey mashhoor na karna mera charcha nahi likhna
Ye na ho tum kabhi us ko mitaa na chaho..na mittay
Mujhey apna samajh lena magar apna nahi likhna
Meri aankhon may baatein hay magar chehray pe gehri chup
Meri aankhein to likh dena mera chehra nahi likhna
Kahin aisa na ho meri kasak us dil main reh jaye
Mera dukh dard likh dena magar gehra nahi likhna...
Hussain
03-10-2009, 01:43 PM
Teri Aankhon Main Mere Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hai
Jisey Dewaar Samjha Hai Woh, Rasta Ho Bhi Sakta Hai
Nazar Sey Door Reh Kar Bhi Kisi ki Soch Mein Rehna
Kisi Key Pass Rehney Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hai
Wo Apni Sard Mohri Se Mujhe Had Mein To Rakhta Hai
Mera Had Sey Guzarney Ka Irada Ho Bhi Sakta Hai
Bhari Dunya Ka Maila Sath Ho To Kaun Sii Mushkil
Magar Eik Shakhs Mailey Mein Akaila Ho Bhi Sakta Hai
Yeh Seedhii Raah Par Chalna Kaha'n Sey Seekh Aaye Ho?
Yeh Ra'sta Dostii Ka Hai Yeh Tairha Ho Bhii Sakta Hai
Machalta Thokrien Khata Huaa Paani Ka Eik Dharaa
Teray Dil Tak Pohanchney Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hai
Nikal Kar Band Kamrey Sey Zara Baazar Mein Aao
Agar Tum Daikhna Chaho Tamasha Ho Bhi Sakta Hai....
Hussain
03-10-2009, 01:43 PM
Aankh se door na ho dil se uttar jaaye ga
waqt ka kia hai guzarta hai guzar jaaye ga
itnaa maanoos na ho khilwat-e-gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhay ga tu dar jaye ga
tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay reh jaoo gay
aur woh baam-e-rafaaqat se uttar jaaye ga
zindagi teray aata'a hai tu ye jaanay waala
teray bakshish teri dehleez pe dhar jaye ga
doobte doobte kashti ko uchaala day don
mein nahin koi to saahil pe uttar jaaye ga
zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka faraz
zalim ab ke bhi na roye gaa tu mar jaaye ga.......
Hussain
03-10-2009, 01:44 PM
dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete
tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete
hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete
wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete
tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete
tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete
samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete...
momal ali
03-10-2009, 03:05 PM
wowwww
gr8 gr8 collection himmi
i mean ek sey barh k ek wow
very nyc
keep sharin
kool stuff..
Nida-H
03-10-2009, 09:50 PM
very nice collection..keep it up !!!
Hussain
03-10-2009, 11:18 PM
ty maham 4 nyc comments:D
Hussain
03-10-2009, 11:18 PM
ty ruby ;)
Hussain
03-10-2009, 11:18 PM
thx Safa:D
~*~ Laila ~*~
03-11-2009, 02:46 PM
bahut hi alla
collcetion himi
waqiye lg raha hai kisi
devan me aai hoi hn..
very mind blowing
keep it up..
Hussain
03-11-2009, 03:04 PM
ty LaiLo
4 da nyc comments:)
Hussain
03-11-2009, 03:04 PM
keep visitinG
Hussain
03-11-2009, 08:46 PM
http://i151.photobucket.com/albums/s145/aoukana/Aziyat-Pasand.jpg
Hussain
03-11-2009, 08:47 PM
Itnaa khamoosh bhi rahaa na karo.
Gham-e-judayi main yu kia na karo.
khwaab hotey hain dekhney ke lie.
In main jaa kar magar raha na karo.
Kuch na hoga Gila bhi karney se....
Zaalimoon se Gila kia na karo........
In se Niklein Hikaayatein Shaied....
Harf Likh kar Mitta diaa na karo....
Apney Rutbey ka kuch lihaaz muneer.
Yaar sab ko banaa liaa na karo.....
Hussain
03-11-2009, 08:47 PM
Ik Umar Se Yehi Hai Mere Dil Ki Arzoo
Wo Saamne Beetha Ke Mujhe Dekhta Rahe!!!
Hussain
03-11-2009, 08:48 PM
Koun kehta hai tujhe khud se juda karna hai
Umar bhar Khud se Judayi ka gilaa karna hai
too tasawur mein gunahon se sharm aati hai
Yaad mat Aawo,mujhe Aik Gunaah karna hai
dunya daari se jo fursat mili tou souchein gey
keh wafaa unkoo kooi ehd-e-wafaa karna hai
tu agar naa hoo tou kis kaam ki shuuhrat meri
tu jo mil jaye tou shuhrat ko bhi kya karna hai
mein tera aks hoon aye jaan-e-tamannaa meri
kia paree tujh ko jo khud se bhi haya karna hai.......
Hussain
03-11-2009, 08:48 PM
hama waqt ranj-o-malal kia kehna jo guzar gaia so guzar gaia.
Osey yaad Karkey dil na Dukhaa joo Guzar Gaia so guzar gaia.
Na Gila kiya na khafa hoye yuun hi raastey main judaa hoye.
Na Tu Bewafa naa main Bewafa joo Guzar Gaia so Guzar gaia.
Woh ghazal ki aik kitaab tha wo Guloon main aik Gulaab tha.
Zaraa Dair kaa Khwaab tha joo Guzar Gaia soo Guzar Gaia.
Yeh saffar bhi kitnaa taweel hay yaha waqt kitna qaleel hay.
Kahaan Lowt kar koi Aayega joo Guzar Gaia soo Guzar gaia.
wo wafayein thi ke jafayein thi ye na soch ki khatayein thi.
Wo tera hay osey Galey Laga joo Guzar Gaia soo Guzar gaia.
Tujhe Aitibaar wo Yaqeen nahi , Nahi Duniya itni Buri nahin.
Na malaal kar merey sath Aa joo Guzar Gaia soo Guzar gaia.
Hussain
03-11-2009, 08:49 PM
ik shaks paas reh kar samjha nahi mujhe .
iss baat ka malaal hai shikwa nahi mujhe .
main uss ko be-wafai ka ilzam kaise doon .
uss ne tu ibteda sey hi chaha nahi mujhe .
pathar samj k pawo ki thokar par rakh dia .
afsoos teri Aankh ney parkhaa nahi mujhe .
akhir kaar mujh ko tu jana tha ay ajnabee .
Achaa howa keh tu ney rooka nahi mujhe .
Hussain
03-11-2009, 08:49 PM
mujhay us shaks ki parwa bohot hai
joo samjho to yehi rishtaa bohot hai
wohi aik baat joo sab sey chupaayi
ussi eik baat ka charchaa bohot hai
meri khuwahish kabhi puri na hongi
mujhay is baat ka sadma bohot hai
kissi ko bhoolnaa mumkkin nahi hai
wagarna hum ne to chaha bohot hai
kahaan takk aur meraa saath daiga
wo pehle hi yahan ruswa bohot hai
Terey jaissa kooi Milltaa nahee hai
tere jaisa magar dhonda bohot hai
chalo ab mout ka saamaan kar lain
k jeena to yahan mehnga bohot hai
wo mere paas kab tehra hai GHALIB
joo mere paas say guzraa bohot hai ....
Hussain
03-11-2009, 08:49 PM
ton nay dekha hay kabhi eak nazar sham kay bad
kitne chop-chap se lagte hain shajar sham kay bad
itnay choop chaap ke rastay bhi rahain gay laa-ilm
choorr jain gay kissi rooz naggar sham kay bad
main nain easay hi gunaah teyri jodayi main kiye.
jayse tufan main koi chorr day ghar sham kay bad
sham say pehlay wo mast apni orranoon main raha
jis k hathoon main tha tuta howa par sham kay bad
raat beeti to ginnay aablay or phir sochaa
kon tha baesay e agazay e safar sham kay bad
to hay suraj tujay maloon kahan raat ka dhokh
to kisi rooz mayray ghar main otar sham kay bad
lout aay na kissi rooz woh awaara mizaj
khool rakhtay hain isi aas pay dar sham kay bad.....
Hussain
03-11-2009, 08:50 PM
wafa ruswa nhe karna
suno aisa nhe karna...
Mein pehly he akaila hon
mujhy tanha nhe karna
mere in jheel aankhon ko..
Kabhe sehra nhe karna...
Judae bhe aaey janan
tou dil chota nhe karna
bharosa bhe zarore hay..
Mgar sub ka nhe karna
bhot masroof hon janan..
Mujhy socha nhe karna
muqadar phir muqadar hay
koi dawa nhe karna
mere takmeel tum say hay
mujhy aadha nhe karna
jo likha hy vohe ho ga..
Koi shikwa nhe karna...
Hussain
03-11-2009, 08:50 PM
Us se milne ko kabhi hum jo machal jatay hain
Tou khayalon mai bohat door nikal jatay hain
Gar waffaon mein sadaqat bhi ho shidatt bhi
Phir to ehsas sai pather bhi pighal jatay hain
Uski ankhon kai nashay mein hoon jab sai dooba
Lar-kharatay hain qadam aur sambhal jatay hain
Be-waffae ka jab bhi mujhay khayal aata hai
Ashq ankhon sai rukhsar pai pighal jatay hain
Payar mein aik hi mosam hai baharon ka Faraz
Loog mowsam ki terah kaisay badal jatay hain ?
Hussain
03-11-2009, 08:51 PM
Kuch ishq tha,kuch majbori thi so main ne jewan haar diya
main kaisa zinda aadmi tha ek shakhs ne mujhko maar diya
ek sabz shaakh gulaab ki thi ek duniya apne khwaab ki thi
woh eik bahaar jo Ayie nahi us ke liye sub kuch haar diya
ye saja sajaya ghar saathi meri zaat nahi mera haal nahi
aay kaash kabhi tum jaan sako jo us sukh ne aazaar diya
main kholi hoi ek sachayi mujhe janne wale jaantay hain
main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon se piyaar kia
wo ishq bohat mushkil tha magar aasan na tha u jena bhi
es ishq ne zinda rehnay ka mujhay dars diya pindaar diya...
Hussain
03-11-2009, 08:51 PM
Dil ki chowkhat pe jo aik deep jala rakha hai
terey lout aney ka Imkaan saja rakha hai
saans tak bi nahi lete hain tujhe sochte waqt
ham ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai
rooth jate ho tu kuch aur haseen lagte ho
ham ne ye soch ke hi tum ko khafa rakha hai
tum jisse rotaa howa chorr gay thay Aik din
ham ne is shaam ko seene se laga rakha hai
chain layney nahin dayta ye kisi tor mujhay
teri yaadoon ney jo tofaan uttha rakha hai
jane wale ne kaha tha ke wo lotega zaroor
Aik issi Aas pe darwaaza khulaa rakha hai
tere janey se jo aik dhool uthi thi ggam ki
ham ne is dhool ko ankhon main bassa rakha hai
mujh ko kal shaam se wo yaad bohat ane laga
dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai
Hussain
03-11-2009, 08:51 PM
Kitni Azyiat se Us Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga
Meri Yadoon Ney Ussay Khoob Rulaaya Hoga
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi
Us ne chehre Ko bazuon main Chupaaya Hoga
Socha Ho Ga us ne din Main Kayi Baar Mujhay
Naam hatheli pe bhi likh likh kay Mitaaya Hoga
Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say
Us Ki Aankhon main koi aansoo Tou Aaya Hoga
Raat Ke bheetnay tak neend na aai Hogi Tujhe
Tunay Takkiye ko Bhi seenay Se Lagaaya Hoga
Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga
Poocha Hoga Jo Kisi Ne Teri Halaat Ka Sabab
Tu ne Baaton Main Khoob Us Se Chupaya Hoga...
Hussain
03-11-2009, 08:52 PM
jala kay tu bhi agar asraa naa day mujhko
ye khauf hai ke hawa phir bujha na day mujhko
main is khayal se mur mur ke dekhta hun ussay
bichar ke woh bhi kahin phir sada na day mujhko
bus is khayal say main shab bhar soo nahi sakta
ke khauf-e-khuwab-e-gushta jaga na day mujhko
teray baggair teri tarhaa main zindaa rahun
yeh hosla bhi dua'a kar khuda na day mujhko
main is liye bhi ussay khud manaoo ga MOHSIN
ke mujh say roothne wala bhula na day mujhko..
Hussain
03-11-2009, 08:52 PM
SOcha nahi acha bura,Dekha suna kuch bhi nahi.
Manga khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahi.
Socha tujhe,dekha tujhe,chaha tuje,pooja tujhe.
Meri khataa,meri wafa,teri khataa kuch bhi nahi.
Jiss per hamaari Ankh ne moti bichaye raat bhar.
Beja wahi kaghaz use,humne likha kuch bhi nahi.
Aik shaam ki dehleez per bethe rahe wo dair tak.
Ankhon se ki baatein bauht,muun se kaha kuch bhi nahi.
Do chaar din ki baat hai dil khaak mai soojayega.
jab aag par kaghaz rakha,baqi bacha kuch bhi nahi.
Hussain
03-11-2009, 08:53 PM
Jisey bhi chaahtey hain hum,wohi milta nahi hum ko,
Bichhar jata hai kab hum se pata chalta nahi hum ko,
Dua jo maut ki mangein toh sansein aur barhti hein,
Na jane kyon KHUDA TALA bhi ab sunta nahi hum ko,
Ajab tark_e_taluk duniyaa waloon ne kiya hum se,
Bataein kya koi dushman bhi ab kehta nahi hum ko,
Hazaron log miltey hain hazaron saath chaltey hain,
Magar uss aik chehrey sa koi lagta nahi hum ko,
Khare hain raste mein hum uthaaye dastan_e_ghum,
Guzzar jaatey hain sub, koi parhtaa nahi hum ko,
Hussain
03-11-2009, 08:54 PM
Suna Hai Loug Usse Ankh bhar ke dekhtey hain
So Us k sheher mein kuch din theher ke dekhtey hain
Suna hai boley tou baaton se phool jhartey hain
yeh baat hai tou chalo baat kar ke dekhtey hain
Suna hai Raat ko ussey Titliyaan sataati hai
Suna hai Raat ko Jugnoo theher ke dekhtey hain
Suna hai uss ke badan ki taraash aisi hai
ke phool apni qabaaein katar ke dekhtey hain
Rukey tou gardishein uss ka tawaaf karti hain
chale tu uss ko zamaane theher ke dekhtey hain
Kissey naseeb ke be-pairahan ussey dekhein
kabhi kabhi dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain
kahaaniyaan hi sahi , sab mubaalghey hi sahi
agar wo khwab hai ,Taabeer kar ke dekhtey hain
Judaiyaan tou muqader hai phir bhi jaan-e-safar
kuch aur door zara saath chal ke dekhtey hain
Tou saamne hai tou phir kiyon yaqeen nahin aata
yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhtey hain
yeh kaun loug hain maujood teri mehfil mein
jo Laalachon se Tujhe Mujh ko jal ke dekhtey hain
Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui
So Ab ke donon hi chaalein badal ke dekhtey hain
Buhut dinon se nahin hai kuch "Uss" ki khair khabar
chalo Faraaz ko, Aey Yaar chal ke dekhtey hain
Hussain
03-11-2009, 08:55 PM
Kabhi daman kabhi palkhein bigoona kis ko kehte hain.
Kissi mazloom sey phocho ke roona kis ko kehte hain.
Kabhi Meri Jagaah Khud ko Rakho Phir Jaan jawoo gey.
ke dunya bar k dukh dil main samona kis ko kehte hain.
Meri Aankein mere chehrey ko aik din ghowr se dekho.
Magar mat Phoochna Veeran hona Kis Ko Kehtey hain.
Tumhaara Dil Agar Pigley Kabhi Gham ki Haraarat sey.
Tumhey Maloom Hojaayega Roona Kiss ko Kehte Hain.
Hussain
03-11-2009, 08:56 PM
Uss ko judaa hoye bhi zamaana bahut howa.
Ab kiya kahein ye qisa, puraana bahut howa.
Dhalti na thii kisi bhii jatan se shab-e-firaaq.
Ai marg-e-naaghaan tera aana, bahut howa.
Hum khuld se nikal to gaye hain par a khuda.
Ithney sey waqye kaa fasaana, bahut howa.
Ab hum hain aur saare zamaane ki dushmani.
Uss se zaraa rabtha barrhaana, bahut howa.
Ab kyo na zindagi pe muhabbat ko vaar dein.
Iss Aashiqi mein Jaan se Jaana, bahut howa.
Ab thak tho dil ka dil se taarruf na ho sakaa.
Maanaa Ke uss se milna, milana bahut howa.
kia kia na hum kharab hue hain magar ye dil.
Ae yaad-e-yaar teraa thakana, bahut howa.
Kehta tha naasehoon se mere munh na aaio.
Phir kiya tha eik hu ka bahana, bahut howa.
Lo phir tere laboon pe usi bewafaa kaa zikar.
Ahmad ’Faraz’ tujh sey kahaa na, bahut hua.
Hussain
03-11-2009, 08:57 PM
Gir jaeye jo dewaar tu maattam nahi kartay.
karte hain bohat log magar hum nahi kartay.
hai Apni Tabbiyat main tu Khaami yeh hi hai.
hum ishq tu karte hain magar kum nahi kartay.
nafrat se tu behtar hai k rastay he juda hon.
bekaar gozar gaahoon ko baham nahi kartay.
har saans main douzakh ki tapish si hai magar hum.
sooraj ki tarhaa Aag ko madham nahi kartay.
Kia illm Keh Rootay hoon tu mar jaatay hoon.
wo loog jo kabhi aankhon ko num nahi kartay.
life2
03-11-2009, 10:53 PM
nice hmi...................
aajab swal kiya aandiyoo ne patoo se
shjar se toot kr krena bataoo kaisa laga
Hussain
03-12-2009, 02:25 PM
ty life;)
life2
03-12-2009, 09:57 PM
Dua to abh bhi karti hoon lekin
Bas ek tujhko maangney ki faryaad na rahi
Hussain
03-12-2009, 10:49 PM
kya kehny nyc
Dast-e-Tanhai
03-12-2009, 11:01 PM
nice
Hussain
03-12-2009, 11:03 PM
thx
Hussain
03-13-2009, 02:16 PM
Raabita Laakh Sahe Qaafila-e-Saalaar ke saath.
hum ko chalna he magar waqt ki raftar k saath .
gham lagay rahtay hain har aan khushi k pichay .
dushmani dhoop ki hay saaya e deewar k saath.
kis tarha apni muhabbat ki main takmeel karoon .
gham hasti bhi tau shaamil gham-e-yaar k saath .
lafz chuntaa hoon tau mafhoom badal jaata hay .
aik naa aik khouf bhi hay juraat-e-izhaar k saath .
bukhsh de mujhko bi aizaaz-e-masiha-o-mansoor .
mainay bhi piyaar kiaa hay rasan o daar k saath .
dusmanni mujhsay kiye jaa magar apnaa ban kar .
jaan ley ley meri sayyaad magar piyaar ke saath .
do gharrhi aawo mil aayein kissi ghalib se Qateel .
hazrat-e-zouq tau wabasta hain darbaar k saath.
Hussain
03-13-2009, 02:16 PM
Laho honay se darta hon juda honay se darta hoon.
meri Ankhain batati hain k main sonay se darta hoon.
meri oungli pakarrh lenaa mujhay tanhaa nahi karna.
ye duniya eik mela hai tumhain khonay se darta hoon.
jub hansti ho tu kiun palkon k goshe bheeg jatay hain.
tumhain maloom hai main es tarha ronay se darta hoon.
ye jub se khawaab dekha hai mujhay tum choor jao ge.
main darta hon khawabo se main ab sone se darta hoon.
Hussain
03-13-2009, 02:16 PM
Aankon mein rahaa dil me utar kar nahi dekha.
Kishti key musaafir ney Samandar nahi dekha.
Bewaqt agar Jawongaa Sab Choonk parhenge.
Aik Umar huwey din mey kabi Ghar nahi dekha.
Yaadoon k mohabat ka yaqeen kar lia main ne.
Phooloo me chupaya huwa khanjar nahi dekha.
Mahbboob ka ghar ho keh buzzargo ki zameen.
Jo chorrh di Aik Baar Phir Murh Kar Nahi Dekha.
Khat aisa likha hai keh Nageene se jurhey hain.
Woh haath kah jiss ne kabhi zaiwar nahi dekha.
PATHAR mujhe kehtaa hai mera chaahne waala.
main moum hon us ne muje cho kar nahi dekha.
Hussain
03-13-2009, 02:17 PM
Aik Deewana Yeh Kehtey Huwey Hansta Jata.
Kaash Manzil Sey Bhi Aagey Koye Rasta Jata.
Ae mere abar garizaan meri aankhon ki tarah.
ger barasnaa hi tujhey Thaa To Barasta Jata.
aaj tak yaad hay Izhar-e-mohabat ka wo pal.
Keh Meri Baat Ki Luknat Pe Woh Hansta Jata.
Itney Mehdood Karam se To taghaful behter.
Ger Tarasnaa Hi Mujhey Tha To Tarasta Jata.
Hussain
03-13-2009, 02:17 PM
Yaadon Se Rishta Kal Bhi Tha, yaadon sey Rishta Aaj Bhi Hay.
Dil Kal Bhi Apnaa Dukhtaa Thaa, Dil Afsurdaa Saa Aaj Bhi Hay.
Tum Door Huve Majboori Mein, Hum Toot Gaye Is Doori Mein.
Kabhi Waqt Mile Tu Lout Aana, Ye Dil Ka Dar Vaa Aaj Bhi Hay.
Woh Saahil Woh Mitti Geeli , Mitti Key Gharondey Saahil Per.
Sahil Ki Bipherti Mojoo Se, Gharondo Ko Bachana Aaj Bhi Hay.
Tum Khush Ruho Abaad Ruho, Dil Apna Tu Barbaad Huva.
Gham Dil ka Sahara Kal Bhi Tha, Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hay.
Ye Ashk Nahi Hain Aankhon Mein, Ye Taare Jhilmil Kartey Hain.
In Ankhon Mein Jo Kal Tak Tha, Vohi Chand Sa Chehra Aaj Bhi Hay.
Ab Shikva Kisi Se Kya Karna, Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila.
Gham Kal Bhi Mera Sarmayaa Tha, Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hay.
Hussain
03-13-2009, 02:17 PM
IK BAAT KAHOO???
Bay Baat Bigartey Rehtey Ho,
Bay Chain Hamesha Rehtey Ho,
Yeh sab Nishani ISHQ Ki Hai,
Kiya ISHQ Kise Say Kerte Ho?
Kiyoon Ratoon Ko Jagtey Rehtey Ho?
Aur Tarey Bhi Tum Gintey Ho,
Yeh sab Nishani ISHQ Ke Hai,
Kiya ISHQ Kise say Kertey Ho?
Zikar Jo Mera Chalta Hai,
Chehrey ka Rang Badalta Hai,
Bay chain say Tum Ho Jatey Ho,
Kiya ISHQ "MUJH" Hi Say Kertey Ho ?
Hussain
03-13-2009, 02:18 PM
tum ne tu keh diya ke muhabbat nahi milli.
mujh ko tu ye bhi kehney muhlat nahi milli.
Neendo ke dais jaatey koi khwaab dekhte.
Lekin diyaa jalaaney sey fursat nahi milli.
tuj ko tu khair sheher ke logo ka khof tha.
awar muj ko apne ghar se ijazat nahi milli.
Be raaz yoo hoye k tere ehed main hame.
sab kuch millaa sukoon ki dawlat nahi milli.
Hussain
03-13-2009, 02:18 PM
Mujh ko ruswaa sar-e-mehfil tu na karwaia karey.
kaash Aansoo meri Aankho main hi reh jaya karey.
Ae hawa main ne tu bas uss ka pata phocha tha.
abb kahaani tuo naa har baatt ki ban jaya karey.
aik mussibbat tuo nahi tootty soo ab iss dil sey.
Jiss Qayamat ney Guzarna hay guzar jaya karey.
jis ke khwabo ko main ankho may saja kar rakho.
uss ki khushbo bhi kabhi mujh ko mehkaya karey.
Hussain
03-13-2009, 02:18 PM
dil pe yak tarfa Qayaamat karna.
Muskuraate Hoye Rukhsat karan.
Achi Aankhein jo Milli Hay us ko.
Kuch tu lazim howa wehshar karna.
Jurm kis ka tha sazza kis ko milli.
Ab kissi sey na muhabbat karna.
ghar ka darwaaza kulaa raka hay.
waqt mill jaye tu zehmat karna.
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.