Awara Badal
08-08-2012, 08:23 PM
isi liye mera saya mujhe gawara nahi ,,
ye mera dost hai lekin mera sahara nahi ,,
ye mehr o maah b aakhir ko doob jate hain ,,
hamare saath kisi ka yahan guzara nahi ,,
hr aik lafz nahi tere naam men shamil ,,
hr aik lafz muhabbat ka iste'aara nahi ,,
tum hi se chalte hain sb silsile ta'alluq k ,,
wo apna kaisa bane ga jo hamara nahi ,,
aur ab bar'hangi apni chupata phirta hun ,,
mera kheyaal tha main khud pe aashkara nahi ,,
abhi main nasha-e-la hasili men rehta hun ,,
abhi ye talkhi-e-duniya mujhe gawara nahi ,,
liye to phirta hun aankhon men na tmaam sa naqsh ,,
use mitaun ga kaise jise ubhaara nahi ,,
zameen ka husn mukammal na ho saka ___________
kahin chiraagh nahi hai .... kahin sitara nahi .....
****** TABISH ******