Awara Badal
08-07-2012, 08:25 PM
Yeh Aag, Yeh Pani, Yeh Hawaa Hei Kay Nahin Hei
Yeh Barq, Yeh Baaraan, Yeh Ghataa Hei Kay Nahin Hei
Yeh Phool, Yeh Kalyaan, Yeh Saba Hei Kay Nahin Hei
Har Rang Mein Wo Jalwa-Numa Hei Kay Nahin Hei
Ab Soch Meray Dost Khuda Hei Kay Nahin Hei
Yeh Chand, Yeh Sooraj, Yeh Sitaray Hein Safar Mein
Yeh Behr, Yeh Amwaaj, Yeh Dharay Hein Safar Mein
Fitrat Kay Dil-Aawaiz Nazaray Hein Safar Mein
Inka Bhi Koi Raah-Numa Hei Kay Nahin Hei

Yeh Daanay Kay Seenay Pay Shajar Rakh Diya Kiss Nein
Yeh Sang Kay Pahloo Mein Sharar Rakh Diya Kiss Nein
Yeh Qatra-E-Naisaan Mein Gohar Rakh Diya Kiss Nein
Yeh Mojza-E-Rabb-Ul-Ulaa Hei Kay Nahin Hei

Phailay Huay Har Samt Kamaalaat Hein Kiss Kay
Yeh Loh-O-Qalam, Arz-O-Samaawaat Hein Kiss Kay
Taa-Hadd-E-Nazar Masbat Nishaanaat Hein Kiss Kay
Ehsaas Tujhay Iss Ka Zara Hei Kay Nahin Hei

Kiss Zaat Ka Lahron Ki Zabaan Par Hei Wazeefa
Kiss Zaat Ki Haibat Ka Samunder Hei Saheefa?
Kiss Zaat Nein Insaan Ko Banaya Hei Khaleefa
Aye Kor-Nazar Deeda Waa Hei Kay Nahin Hei