ROSE
08-07-2012, 04:21 PM
Gham-e-firaaq se pehlay,shab-e-visaal ke bad,
Hai aur kya jisse dekhein tere jamal ke bad....
Tamaam umer kati intezar mein apni........
Koi bhi dukh na mila phir, tere malal ke bad....
Jawab mil gaya mujh ko teri khamoshi ka...,
Tumharey lafz jo khoye ,mere sawal ke bad...
Tumaray meray ta'aluq pe yun khizaan chayi
Koi urooj nahi hai jaisey ,iss zawal ke bad....
Main teri yaad ke chehray ko dhaanp doon lekin,
Bachay ga kya meri jholi mein,iss kamal ke baad...
woh ab ki bar mila iss qader takaluf say...,
K kuch na poch saka uss se,us ke haal ke bad.