Awara Badal
08-06-2012, 05:46 PM
Gum Sum Hawa Ka Darya Tha Jo Ik Shakhs
Pather Bhi Nhi Ab Wo Sitara Tha Jo Ik Shakhs
Shayad Wo Koi Harf-e-Wafa Dhoond Raha Tha
Chehron Ko Bare Ghor Se Parhta Tha Jo Ik Shakhs
Sehra Ki Tarah Dair Se Payasa Tha Wo Shayad
Badal Ki Tarah Toot K Barsa Tha Jo Ik Shakhs
Ay Taiz Hawa Koi Khaber Uss K Junon Ki
Tanha Safar Pe Nikla Tha Jo Ik Shakhs
Ab Aakhri Satron Mein Kahin Naam Hai Uss Ka
Ehbab Ki Fehrist Mein Pehla Tha Jo Ik Shakhs
Hathon Mein Chupaay Hue Phirta Hai Kai Zakham
Sheshay K Khailono Se Bahlta Tha Jo Ik Shakhs
Mur Mur K Ussay Dekhna Chahain Meri Aankhain
Koch Door Mujhe Chornay Aya Tha Jo Ik Shakhs
Har Zahain Mein Koch Naqsh-e-Wafa Chor Gaya Hai
Kahne Ko Bharay Shehar Mein Tanha Tha Jo Ik Shakhs
Munkir Hai Wohi Ab Meri Pehchan Ka
Akser Mujhe Khat Khoon Se Likhta Tha Jo Ik Shakhs...
****** MOHSIN NAQVI ******